Font by Mehr Nastaliq Web

پر

quote

ek achchha chitr ek achchhe karm ke saman hai

manushya duusre ke jis karm kii nindaa kare usko svaya.n bhii na kare। jo duusre kii nindaa kartaa hai kintu svaya.n usii nidya karm me.n laga rahtaa hai, vah uphaas ka paatr hotaa hai।

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

man, vachan aur karm se sab praaNiyo.n ke prati adroh, anugrah aur daan - yah sajjno.n ka sanaatan dharm hai।

pratham hriday hai, aur phir buddhi। pratham siddhaant aur phir prmaaN। pratham sphurNaa aur phir uske anukuul tark। pratham karm aur phir buddhi। isiili.e buddhi karmaanusaariNii kahii ga.ii hai। manushya jo bhii kartaa hai, ya karnaa chaahtaa hai uskaa samarthan karne ke li.e prmaaN bhii DhuunDh nikaaltaa hai।

    اور 2 مزید
quote

jo wastu bhawishya mein milne wali hai, use yahi mane ki wo meri nahin hai tatha jo milkar nasht ho chuki ho, uske wishay mein bhi yahi bhaw rakhe ki wo meri nahin thee jo aisa mante hain ki prarabdh hi sabse prabal hai, we hi widwan hain aur unhen satpurushon ka ashray kaha gaya hai

praaNii jis din se janm letaa hai, usii din uske piichhe karm, mrityu, sukh-duःkha, jay-paraajay, lobh, maaya, aadi lag jaate hai.n aur use chhedte hain।

  • विषय : 1
    اور 3 مزید
quote

sabko apne ki.e ka phal bhognaa pa.Dtaa hai—-vyakti ko bhii, jaati ko bhii, desh ko bhii।

sabko apne ki.e ka phal bhognaa pa.Dtaa hai—-vyakti ko bhii, jaati ko bhii, desh ko bhii।

  • विषय :
    اور 2 مزید
quote

he nishaachar! jaise vishmishrit ann ka pariNaam turant hii bhognaa pa.Dtaa hai, usii prakaar lok me.n ki.e ge paapkarmo.n ka phal bhii shiighr hii miltaa hai।

jo karm ke phal ka vichaar na kar keval karm kii or dau.Dtaa hain, vah uskaa phal milne ke samay usii prakaar shok kartaa hai jaise Dhaak ka vriksh siinchne vaala kartaa hai।

sansaar kuchh bhii kartaa phire, hal par hii aashrit hai।atev kashTaprad hone par bhii krishi karm hii shreshTh hai।

    اور 4 مزید
quote

ja.D-chetanmay, vish amritmay, andhkaar - prkaashmay jiivan me.n nyaay ke li.e karm karnaa hii gati hai। mujhe jiinaa hii hogaa, karm karnaa hii hogaa। yah bandhan hii merii mukti bhii hai। is andhkaar me.n hii parkaash paane ke li.e mujhe bhii jiinaa hai।

sabhii jantu apne-apne karm ke anusaar janm lete hain, karmaanusaar hii marte hai.n aur karmaanusaar hii vidyamaan rahte hain। jo vyakti jab jaisaa karm kartaa hai, vahii devtaa hai।

nyaay aur nishkaam karmayog hriday ka hai। buddhi se ham nishkaamtaa ko nahii.n pahu.nch sakte।

kavi kii drishTi to saundarya kii or jaatii hai, chaahe vah jahaa.n ho vastu.o.n ke ruup-rang me.n athvaa manushyo.n ke man, vachan aur karm men।

kavi kii drishTi to saundarya kii or jaatii hai, chaahe vah jahaa.n ho vastu.o.n ke ruup-rang me.n athvaa manushyo.n ke man, vachan aur karm men।

  • विषय :
    اور 4 مزید
quote

he nishaachar! jo lok-virodhii kaThor karm karne vaala hai, use sab log saamne aa.e hu.e dushT sarp kii bhaa.nti maarte hain।

gyaan kii pratham guru maata hai। karm ka pratham guru pitaa hai। prem ka pratham guru strii hai aur karttavya ka pratham guru santaan hai।

gyaan kii pratham guru maata hai। karm ka pratham guru pitaa hai। prem ka pratham guru strii hai aur karttavya ka pratham guru santaan hai।

  • विषय : 1
    اور 4 مزید
quote

yadi tuu chaahtaa hai ki tujhko bhagvaan ke bhed praapt ho jaa.e.n to a.ise kaarya kar ki jinse kisii ko kashT na pahu.nche। mrityu ka bhay mat kar aur roTiyo.n kii chitaa tyaag de kyonki ye dono.n vastu.e.n samay par svaya.n hii aa upasthit hotii hain।

jiskaa uddeshya kaarya ko samuchit riiti se karnaa hai, usko sarvottam upaadaano.n ka prayog karnaa chaahi.e।

sach, karm aur charitr ko kraanti ke baad kii chiij nahii.n samajhnaa chaahi.e। inhe.n to kraanti ke saath-saath chalnaa chaahi.e।

sach, karm aur charitr ko kraanti ke baad kii chiij nahii.n samajhnaa chaahi.e। inhe.n to kraanti ke saath-saath chalnaa chaahi.e।

  • विषय :
    اور 2 مزید
quote

bhuukh-pyaas se is deh ko ta.Dpaanaa nahiin। jyo.n hii bujhne lage, tyonhii ise sa.nbhaalanaa। tere vart-upvaas aur saaj-singaar par dhikkaar। upkaar kar yahii teraa param kartavya-karm hai।

hamaaraa kaam tabhii antraatmaa se prerit ho saktaa hai jab apne-aap me.n vah svachchh ho, uskaa hetu svachchh ho aur uskaa pariNaam bhii svachchh ho।

mahaaraaj! yah karm yadi abhimaanapuurvak kiya jaa.e to saphal nahii.n hotaa। tyaagpuurvak kiya hu.a karm mahaan phaldaayak hotaa hai।

vah karm sabse uttam hai jo adhiktam logo.n ko sabse ba.Dii prasannataa pradaan kartaa hai।

mujhmen na bhagwan ka prem hai, na shrwnadi bhakti hai, na waishnwon ka yog hai, na gyan hai, na shubh karm hai, aur kitne ashcharya ki baat hai ki uttam gati bhi nahin hai, phir bhi he bhagwan! heen arth ko bhi uttam bana dene wale aapke wishay mein abaddhmula meri aasha hi mujhko prayatnashil banaye rahti hai

ham durbal manushya raag-dvesh se u.upar rahkar karm karnaa nahii.n jaante, apne abhimaan ke aage jaati ke abhimaan ko tuchchh samajh baiThte hain।

kuliinata puurvajanm ke karmo.n ka phal hai, chaaritrya is janm ke karmo.n ka prakaashak hai।

jab gyaan se aalokit tathaa karm ke dvaara niyantrit aur bhiimshakti praapt prabal svbhaav parmaatmaa ke prati prem eva.n aaraadhanaa-bhaav me.n unnat hotaa hai, tab vahii bhakti Tik paatii hai tathaa aatma ko parmaatmaa se satat sambaddh banaa.e rakhtii hai।

he sanjay! gyaan ka vidhaan bhii karm ko saath lekar hii hai, atः gyaan me.n bhii karm vidyamaan hai। jo karm ke sthaan par karmo.n ke tyaag ko shreshTh maanata hai, vah durbal hai, uskaa kathan vyarth hii hai।

jo vidyaa.e.n karm ka sampaadan kartii hain, unhii.n ka phal drishTigochar hotaa hai, duusrii vidyaa.o.n ka nahiin। vidyaa tathaa karm me.n bhii karm ka hii phal yahaa.n pratyaksh dikhaa.ii detaa hai। pyaas se pii.Dit manushya jal piikar hii shaant hotaa hai।

maanav kii vaaNii kii apeksha uskaa karm adhik achchhaa netritv kar saktaa hai।

ko.ii bhii karm jab is bhaavnaa se kiya jaataa hai ki vah parmeshvar ka hai to maamuulii hone par bhii pavitra ban jaataa hai।

he arjun! jisne samatv buddhi ruup yog dvaara sab karmo.n ka sannyaas kar diyaa hai, jisne gyaan se sab sanshay duur ki.e hain, aur jo aatmabal se yukt hai, usko karm nahii.n baa.ndhte hain।

binaa pa.Dhe hii garv karne vaale, daridr hokar bhii ba.De-ba.De manorath karne vaale aur binaa karm kiye hii dhan paane kii ichchhaa rakhne vaale manushya ko panDit log muurkh kahte hain।

yah kahnaa ki jab sab karenge tab ham karenge, na karne ka bahaanaa hai। hame.n Thiik lagtaa hai, isli.e ham karen, jab duusro.n ko Thiik lagegaa, tab ve karenge —yahii karne ka maarg hai।

raajan! na to ko.ii karm karne se nashT hu.ii vastu mil saktii hai, na chintaa se hii। ko.ii a.isaa daataa bhii nahii.n hai jo manushya ko uskii vinshT vastu de de। vidhaata ke vidhaanaanusaar manushya baarii-baarii se samay par sab kuchh pa letaa hai।

jo kaarya karne se na to dharm hotaa ho aur na kiirti ba.Dhtii ho aur na akshay yash hii praapt hotaa ho, ulTe shariir ko kashT hotaa ho, us karm ka anushThaan kaun karegaa?

jo kaarya karne se na to dharm hotaa ho aur na kiirti ba.Dhtii ho aur na akshay yash hii praapt hotaa ho, ulTe shariir ko kashT hotaa ho, us karm ka anushThaan kaun karegaa?

  • विषय : 1
    اور 3 مزید
quote

janm ke baad se manushya lagaataar mrityu kii taraph ba.Dhtaa rahtaa hai। biich ke ye do din hii uske karm ke hote hain। yah karm vah kis tarah kartaa hai, isii par uskaa muulyaankan kiya jaataa hai।

sansaar ke saare karm iske paar karne ke setu hain। dekhne me.n ek karm duusre se bhinn hai par un sab ke milne se hii vah setu bantaa hai jo sansaar ke paar lagaataa hai।

is srishTi ka satya tark nahii.n karm hai satya aur dharm dono.n hii ka bahaav karm kii upatyaka ke bhiitar hii mil saktaa hai।

jiivan avikal karm hai, na bujhne vaalii pipaasaa hai। jiivan halchal hai, parivartan hai; aur halchal tathaa parivartan me.n sukh aur shaanti ka ko.ii sthaan nahiin।

paap karm ban jaane par sachche hriday se pashchaattaap karne vaala manushya us paap se chhuuT jaataa hai tathaa phir kabhii a.isaa karm nahii.n karuu.ngaa, a.isaa dri.Dh nishchay kar lene par bhavishya me.n hone vaale duusre paap se bhii mukt ho jaataa hai।

anurakti kii aa.nkh se guN dikhtaa hai। virakti kii aa.nkh se dosh dikhtaa hai। madhyasthata kii aa.nkh se guN aur dosh dono.n dikhte hain।

phal kii aasha ko tyaag kar karm karo।

phal kii aasha ko tyaag kar karm karo।

quote

yogii (karmayogii) aasakti ko tyaag kar antःkaraN kii shuddhi ke li.e karm karte hain।

karm vahii, parantu bhaavnaa-bhed se usme.n antar pa.D jaataa hai। parmaarthii manushya ka karm aatm-vikaasak hotaa hai, to sansaarii manushya ka karm aatm-bandhak siddh hotaa hai।

jab puurvajanm ke balvaan shubh ya ashubh karm aage-piichhe phal dene vaale hai.n hii to buddhimaan ko shok karne ka kyaa avsar hai?

duusro.n se gaalii sunkar bhii svaya.n unhe.n gaalii na de। gaalii sahn karne vaale ka rokaa hu.a krodh hii gaalii dene vaale ko jala Daaltaa hai aur uske punya bhii le letaa hai।

gyaan ke li.e kiya jaane vaala karm, sabhii karmo.n me.n shreshThatam hai।

binaa karnii ke sochte rahnaa hii kadaachit aslii paap hai।

jo apne pratikuul ho, use duusro.n ke prati bhii na kare—sankshep me.n yahii dharm hai। iske vipriit jisme.n kaamnaa se prvritti hotii hai, vah to adharm hai।

jo apne pratikuul ho, use duusro.n ke prati bhii na kare—sankshep me.n yahii dharm hai। iske vipriit jisme.n kaamnaa se prvritti hotii hai, vah to adharm hai।

  • विषय :
    اور 2 مزید

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

متعلقہ موضوعات

हिन्दवी उत्सव, 27 जुलाई 2025, सीरी फ़ोर्ट ऑडिटोरियम, नई दिल्ली

रजिस्टर कीजिए