sansaar me.n sabse shaktishaalii manushya vahii hai jo sabse adhik akelaa kha.Daa rahtaa hai।

pratibhashali logon ki prshansa ki jati hai, dhanvanon se iirshya ki jati hai, shaktishali logon se Dar lagta hai; lekin keval charitr vale logon par hi bharosa kiya jata hai.

keval kisi stri ke paas hi ye chunne ki shakti hai ki arpan karna hai ya nahin.

yathaarth pyaar karne me.n striyo.n kii shakti aur saahas purush se kahii.n adhik hai। ve kuchh nahii.n maantiin। purush jahaa.n bhay vihval ho jaate hain, striyaa.n vahaa.n aspashT baate.n uchch svar se ghoshit karne me.n duvidha nahii.n kartiin।

maanav svatv mila nahii.n karte। unhe.n lenaa pa.Dtaa hai। bal chaahi.e - bal।

mujhse sikhen, yadi mere updeshon se nahin, to mere udahran se sikhen ki gyaan ki khoj kitni khatarnak hai aur wo vyakti jo apne mool shahr ko hi duniya manata hai, wo us vyakti ki tulna mein kitna khush hai jo apni shakti se baDa hone ki akanksha rakhta hai.

taqat ke viruddh manushya ka sangharsh bhulne ke viruddh smriti ka sangharsh hai.

purush sanskriti parasparikta ke bina striyon ki bhavanatmak taqat par poshit hone vali parjivi sanskriti thi aur hai.

haath ko dhyaan se dekho to tumhein dikhega ki wo adami ki sachchi tasvir hai, wo manav pragti ki kahani hai, sansar ki shakti aur nirbalta ka maap hai.

jab taqatvar log itne kamzor the ki ve kamzor ko nuqsan nahin pahuncha sakte the, tab kamzor vyaktiyon ko itna mazbut hona chahiye tha ki ve chale jate.

vishv tumhaaraa baahubal nahiin, balki niirav aashvaasan aur sukumaar hriday kii shakti ka nirjhar vishvaas hii chaahtaa hai।

manav ko jo bahut baDe baDe angon vala bahut mazbut prani nahin banaya gaya, wo keval isliye ki wo apni duniya svayan sankuchit karne ka prayatn kare; jahan uske liye theek ho, divar khaDi kar le.

shakti ka prayog atyant avashyak hone par hi uchit hai aur aam janta ke tamam andolnon ke liye ahinsa ki niti apriharya hai.

gyaan, prem aur shakti in teen dharaon ka jahan ek saath sangam hota hai vahin par anandtirth ban jata hai.

sajjanta kathorta se adhik, pani chattan se adhik aur pyaar taqat se adhik mazbut hai.

pahli sharm kitni pyari hoti hai, halanki log ise akshamata maan jald se jald door karne ki koshish karte hain. wo is jadu ki barf ko toDne ke liye apni puri taqat se koshish karte hain.

pyaar bahut saral ghatna hai—yah asman shakti santulan ke chalte jatil, vikrit ya badhit ho jata hai.

duniya ki samasyaon par dhyaan kendrit karne ke bajay vishvas, prem, prachurta, shiksha aur shanti par dhyaan va uurja lagayen.

samaaj dharm ke kaaraN se sangThit rahte hai.n chaahe log uskaa (dharm ka pradarshan kare.n ya use apne hriday me.n rakhen। jab dharm samaapt ho jaataa hai tab paarasparik vishvaas bhii nashT ho jaataa hai, logo.n ka aachraN bhrashT ho jaataa hai aur uskaa phal raashTr ko bhugatnaa pa.Dtaa hai। dharm sulaane vaala

dayaa aur kshama bhii maanav ke dharm hain, to shaktivaan honaa aur upyukt samay par desh aur dharm kii rakshaa ke li.e shakti ka prayog karnaa bhii dharm hai।

prem vyakti ke bhitar ek sakriy shakti ka naam hai. ye wo shakti hai jo vyakti aur duniya ke beech ki divaron ko toD Dalti hai, use dusron se joD deti hai.

mera manna hai ki kuch aise log hain jinmen chizon ko aapas mein milakar unhen punarjivit karne ki taqat hoti hai.

prem karna suraksha ka koi sthaan pradan nahin karta hai. hum nuqsan, chot, dard ka jokhim uthate hain. hum apne niyantran se bahar ki taqton dvara karya kiye jane ka jokhim uthate hain.

pratibha lamba dhairya hai aur maulikta ichchhashakti aur gahan avlokan ka prayas hai.

yugo.n se purush strii ko uskii shakti ke li.e nahiin, sahanshakti ke li.e ho danD detaa aa rahaa hai।

shikshak ko apne shishya ki sambhavit shakti mein vishvas karna chahiye, aur use apni sari kala ko apne shishya ko is shakti ka anubhav karane ki koshish mein laga dena chahiye.

log ab bhi taqatvar purush ko janmajat neta aur taqatvar stri ko visangati mante hain.

prem jaisi nirmam wastu kya bhay se bandh kar rakhi ja sakti hai? wo to pura wishwas chahti hai, puri swadhinata chahti hai, puri zimmedari chahti hai uske pallawit hone ki shakti uske andar hai use parkash aur kshetr milna chahiye wo koi diwar nahin hai, jis par upar se inten rakhi jati hai usmen to pran hai, phailne ki asim shakti hai

ye satya hai—jagat ki anant shakti tumhare bhitar hai.

khud ke prati samarpan hi sachchi shakti hai—vah shakti jo bhitar se aati hai.

bhasha par maharat asadharan shakti pradan karti hai.

bina kisi jhijhak ke ye kaha ja sakta hai ki taqat ke qanun ke tahat jitna zyada antar stri ke mulabhut charitr mein aaya hai, utna kisi bhi dusre damit varg ke charitr mein nahin aaya.

jab aapne mere jitna jivan dekha liya hoga, tab aap jununi prem ki shakti ko kam nahin ankenge.

koi bhi utna shaktishali nahin hai, jitna hum use bana dete hain.

strii ahinsaa kii muurti hai। ahinsaa ka arth hai anant prem aur uskaa arth hai kashT sahne kii anant shakti।

aap mere sharir par bandhan laga sakte hain, mere hathon ko baandh sakte hain, mere karyon ko niyantrit kar sakte hain ha aap sabse mazbut hain, aur samaj apaki shakti ko baDha deta hai; lekin meri ichchha ke saath, aap kuch nahin kar sakte hain.

logon ke dvara apni taqat ko tyaag dene ka sabse aam tariqa ye soch lena hai ki unke paas taqat hai hi nahin.

aap achchhe se jante hain, apne bhitar gahrai se, ki keval ek jadu, ek shakti, ek mukti hai, aur use pyaar karna kaha jata hai.

meri vyavaharikta ismen nihit hai—is gyaan men—ki agar aap divar par apna sir pitte hain, to wo aapka sir hai jo ki chotil hota hai; divar nahin. yahi meri taqat hai—meri ekmaatr taqat.

jab samaj siddhant ki antrik shakti se vimukh hokar keval uske bahya roop ya sharir se mohavash bandh jata hai to jivan aur jivan ke niyamak sinddhanton mein virodh utpann ho jata hai.

jab aap vishvas aur taqat ke padon par pahunchte hain, to sochne se pahle sapna dekhen.

buDha ho jana javani ko kho dena nahin hai, balki avsar aur taqat ka naya karyakshetr hai.

krantikari krantiyan nahin karte hain. krantikari ve hote hain jo jante hain ki taqat kab galiyon mein giri hoti hai aur phir ve ise utha sakte hain.

-
विषय : क्रांतिकारी
diipaavalii ka parv aadya shakti ke vibhinn ruupo.n ke smraN ka din hai।

purush strii ko shakti samajhkar hii puurN ho saktaa hai; par strii strii kii shakti samajhkar adhuurii rah jaatii hai।

diipaavalii parkaash ka parv hai। is din jis lakshmii kii puujaa hotii hai। vah garu.Dvaahinii hai— shakti, sevaa aur gatishiilat uske mukhya guN hain।

kya karan hai ki sansar ke sab deshon mein hamara desh hi sabse adham hai, shaktihin hai, pichhDa hua hai? iska karan yahi hai ki vahan shakti ki avmanana hoti hai.

vyakti aur uska jivan hi shakti ka strot hai, iske sivaye anya kuch bhi nahin.

aap brahmanD ke sabse shaktishali chumbak hain. apmen aisi chumbkiy shakti hai, jo duniya ki kisi bhi cheez se zyada shaktishali hai aur ye abujh chumbkiy shakti aapke vicharon se sampreshit hoti hai.

jyonhi aatma ko dharm ki avashyakta hoti hai, tyonhi dharmik shakti ka denevala koi na koi aana hi chahiye.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere