apne mein vishvas, aur jisko dushman manen uska uddhaar karne mein hamari raksha hoti hai.

bharat mein yadi koi granth jhompaDiyon se mahlon tak mein sthaan pa saka hai, to wo tulsikrit ramayan hai.

jo hindustan mein paida hua hai uska sthaan hindustan mein hai, chahe phir wo kisi dharmka ho.

shuddh banne ka arth hai man se, wachan se aur kaya se nirwikar banna, rag dweshadi se rahit hona

dil mein jo jyoti honi chahiye usko prakat karne ki koshish hamein karni hai hamare dil mein ram wirajman hain aur wahan bhi yuddh chalta hai ram aur rawan ke beech mein agar hriday mein, uske bahar nahin, ram par rawan ki jeet hoti hai to uska matlab hai ki hriday mein jyoti nahin hai, andhera hai agar ram ki rawan par jay hoti hai aur rawan bekar ho jata hai ya parast ho jata hai, tab hamare bhitar to jyoti hai hi, bahar bhi diya batti jalane ka hamko haq ho jata hai

jo alpamat mein hain unki hamein zyada darkar honi chahiye, yahi talim main abtak deta aaya hoon.

bina atmashuddhi ke pranimatr ke saath ekta ka anubhav nahin kiya ja sakta hai aur atmashuddhi ke abhav se ahinsa dharm ka palan karna bhi har tarah namumkin hai.

insaan aisa bana hai ki agar wo apne banane vale ko samajh le aur ye samajh le ki main usi bhagvan ka pratibimb hoon to duniya ki koi taqat uske svmaan ko chheen hi nahin sakti. uske svmaan ka hanan koi kar sakta hai to wo khud hi kar sakta hai

svdeshabhiman ka arth main desh ka hit samajhta hoon.

satyagrah duniya mein sabse baDi taqat hai, jiske samne aapka bataya hua virodhi sangthan lambe samay tak tik nahin sakta.

har ek ko apni antratmaki avaz hukm manna chahiye. antratmaki avaz na sun saken to jaisa theek samjhen vaisa karna uchit hoga, lekin kisi bhi surat mein dusron ki nakal nahin karni chahiye.

hammen se har ek ko bhangi bankar seva karni chahiye. jo manushya pahle bhangi banta wo zinda rah nahin sakta hai. aur na rahne ka use haq hai.

adami jab bigaDta hai to svbhaav se hi kuch aisa hai ki jab wo ek cheez mein bigaDta hai to pichhe sab chizon mein hi bigaD jata hai.

ek faltu vichar koi vichar nahin hota.
ek faltu vichar koi vichar nahin hota.
sabko hindi aur urdu donon lipiyon mein likhna sikhna chahiye.

mujhe duniya ko koi nai cheez nahin sikhani hai. satya aur ahinsa anadi kaal se chale aaye hain.

sabki bhalai mein hamari bhalai nihit hai.

jo prauDh aur tajurbekar hain, ve hi svarajya bhugat sakte hain, na ki be lagam log.

samaj mein rahne vala manushya samaj ki anichchha se hi kyon na ho, sajhedar banta hai.

akhbar ka ek kaam to hai logon ki bhavnayen janna aur unhen zahir karna, dusra kaam hai logon mein amuk jaruri bhavnayen paida karna aur tisra kaam hai logon mein dosh hon to chahe jitni musibten aane par bedhaDak hokar unhen dikhana.

hum jo baten paDhte hain ve sabhyata ki himayat karne valon ki likhi baten hoti hain. unmen bahut hoshiyar aur bhale adami hain. unke lekhon se hum chaundhiya jate hain. yon ek ke baad dusra adami usmen phansta jata hai.

kisi bhi dharm mein hue prasiddh wyaktiyon ke jiwan charitr mein dosh malum hone par, us par zor dekar us dharm ko kosna nindkon ka tariqa hai, parantu aise dosh ko dusron ke liye achran mein lane ke niyam ki bhanti pesh karna adharm hain aur uska wirodh kiya ja sakta hai

svadeshi wo hai jo atmako bhata hain.
svadeshi wo hai jo atmako bhata hain.
antःkaraN ke vishyo.n men, bahumat ke niyam ka ko.ii sthaan nahii.n hai।

aatm vishvas ravan jaisa nahin hona chahiye jo samajhta tha ki meri barabari ka koi hai nahin. aatm vishvas hona chahiye vibhishan jaisa, prahlad jaisa. unke ji mein ye bhaav tha ki hum nirbal hain magar iishvar hamare saath hai aur hamari shakti anant hai.

main iishvar ki puja bhi keval satya ke roop mein karta hoon.

vidyarthiyon ko apne apne dharm ke mool tattv janne chahiye, apne apne dharm granthon ka sadharan gyaan hona chahiye.

hum paida hue hain seva karne ke liye. hum tay karen ki hum apne mulk ko uncha le jayenge, girayenge nahin.

ahinsa koi haldi mirch to hai nahin jo bazar se mol aa jayegi.

mahlon mein rahne vala adami rajya nahin chala sakta.

satya ka agrah hamesha aur har haalat mein karna hi chahiye.

virodhi ko samjhakar samadhani se kaam karne ka prayatn karan satyagrahi ka pahla lakshan aur satyagrah ki pahli siDhi hai.

go-sevaa ke baare me.n dil kii baat kahuu.n to aap rone lag jaa.e.n, aur mai.n rone lag jaa.uu.n- itnaa dard mere dil me.n bhara hu.a hai।

hum ek dasre ka bhalai mein muqabala karen to hum sab uunche hokar kaam kar sakte hain.

satyagrah ka arth hai virodhi ko piDa dekar nahin, apitu svayan kasht uthakar satya ki raksha karna.

sahi bartav hi jivan ka sahi rasta hai, jo use jine layak aur sudanr banata hai.

samacharpatr ek zabardast shakti hai, kintu jis prakar nirankush pani ka pravah gaanv ke gaanv Dubo deta hai aur phasal ko nasht kar deta hai, usi prakar kalamka nirankush pravah bhi nashki srishti karta hai

meri raay mein hindu dharm mein dikhai paDne vali asprishyata ka vartaman roop iishvar aur manushya ke khilaf kiya gaya bhayankar apradh hai aur isliye wo ek aisa vish hai jo dhire dhire hindu dharm ke praan ko hi niःshesh kiye de raha hai.

jahan par bahumatvale alpamatvalon ko maar Dalen, wo to jalik hukumat kahlayegi. use svarajya nahin kaha ja sakta.

atmavishvas ravan ka sa nahin hona chahiye, jo samajhta tha ki meri barabari ka koi hai hi nahin. atmavishvas hona chahiye vibhishan jaisa, prahlad jaisa. unke ji mein ye bhaav tha ki hum nirbal hain magar iishvar hamare saath hai aur is karan hamari shakti anant hai.

apne dal ko balvan banane ke liye prdhanmantri parliyament se kaise kaise kaam karvata hai—iski misalen jitni chahiye utni mil sakti hain. ye sab sochne layak hai.

shuddh banne ka arth hai man se, vachan se aur kaya se nirvikar banna, raag dveshadi se rahit hona.

laarD karjan ne chaay piine ka faishan shuruu kiya aur aaj yah hatyaarii buuTii saare raashTr ko nigal lene par utaaruu hai। yah laakho.n strii-purusho.n ka haajama bigaa.D chukii hai aur unkii tangadilii ko ba.Dhaa rahii hai।

hame.n angrezii kii aavashyakta hai, kintu apnii bhaashaa ka naash karne ke li.e nahiin।

manushya ko uske karya se janchna chahiye na ki us bhavna se jisse wo prerit hua hai. keval parmatma hi manushya ke hriday ko janta hai.

jaise jaise main nirvikar banta gaya, vaise vaise meri grihasthi shaant, nirmal aur sukhi hoti gai hai aur aaj bhi hoti ja rahi hai.

hum apne hriday ko saaf karen, gandi cheez ko pasand na karen. gandi cheez ko paDhna chhoD den. agar aisa karenge to akhbar apna sachcha dharm palan karenge.

do rashtron ke beech yuddh chhiDne par ahinsa mein vishvas rakhne vale vyakti ka dharm hai ki wo us yuddh ko roken.

main apne ko sanatani hindu mamanta hoon, to bhi aisa sanatani nahin ki siva hindu ke aur kisi ko hindustan mein rahne nahin doon. koi kisi dharm ka ho, lekin hindustani hai aur usko yahan rahne ka utna hi haq hai jitna mujhko hai.

hum duniya mein kisi ko dushman banana nahin chahte aur na hum kisi ke dushman banna chahte hain, ye meri vyakhya ka svarajya hai.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere