chekhab ki tarah mujhe bhi manushya ke bhavishya par astha hai. meri kala manushya ko nirash nahin kar sakti. ravindrnath thakur ka ye sandesh mein kabhi nahin bhool sakunga ki manusher vishvas haran paap.

is par bharosa mat karo ki koi bhi dost doshon ke bina hai, aur kisi stri se pyaar karo, pari se nahin.

pratibhashali logon ki prshansa ki jati hai, dhanvanon se iirshya ki jati hai, shaktishali logon se Dar lagta hai; lekin keval charitr vale logon par hi bharosa kiya jata hai.

prem naam ka koi shashvat sootr nahin hai jo jivan bhar apni upasthiti ka yaqin dilata rahe.

main jab paDhti hoon, tab main itni khushi aur azadi mahsus karti hoon ki mujhe vishvas ho jata hai ki agar mere paas har samay kitaben hon to main apne jivan ke pratyek kasht ko sah sakti hoon.

braahmaN, gau, kuTumbii, baalak, strii, anndaataa aur sharNaagat- ye avadhya hote hain।

jivan ke pavitra roop mein vishvas karo.

sapne kaise marte hain, is sachchai ka pata lagane ke liye, aapko sapne dekhne valon ke shabdon par vishvas nahin karna chahiye.

main samajhta hoon ki bekar rajya prbandhan bekar parivar prbandhan ko protsahit karta hai. hamesha haDtal par jane ko tatpar mazdur apne bachchon ko bhi vyavastha ke prati aadar bhaav nahin sikha sakta.

pyar—dekhbhal, pratibaddhata, gyaan, zimmedari, samman aur vishvas ka mel hai.

main jivan ke baad ke jivan ki kalpana nahin kar pata ha jaise iisai ya anya dharmon ke log vishvas rakhte hain aur mante hain jaise ki sage sambandhiyon aur doston ke saath hui batachit jise maut aakar badhit kar deti hai, aur jo aage bhi jari rahti hai.

logon ko chahiye shaitan jis par ve vishvas kar saken—ek sachcha, bhayanak dushman. ek shaitan jiske ve khilaf ho saken. nahin to, sab kuch hum banam hum hai.

sirf vishvas karne se kaam nahin chalta. ashvast bhi hona chahiye—anubhav se.

vishv tumhaaraa baahubal nahiin, balki niirav aashvaasan aur sukumaar hriday kii shakti ka nirjhar vishvaas hii chaahtaa hai।

samaaj dharm ke kaaraN se sangThit rahte hai.n chaahe log uskaa (dharm ka pradarshan kare.n ya use apne hriday me.n rakhen। jab dharm samaapt ho jaataa hai tab paarasparik vishvaas bhii nashT ho jaataa hai, logo.n ka aachraN bhrashT ho jaataa hai aur uskaa phal raashTr ko bhugatnaa pa.Dtaa hai। dharm sulaane vaala

bhagvan mein vishvas karne se inkaar karne mein bahut garv shamil hai.

jo nayak apne prati priti utpann karna, striyon ka aadar samman karna aur navoDha kanya mein vishvas utpann karna—janta hai wo striyon ka atyant priy hota hai.

shraddha hi parvton ko hila deti hai aur shraddha hi mahasagar ko kudkar paar kar jati hai.

mera vishvas karo, niras vyakti upaniveshvadiyon se adhik bhayanak hain.

aaj main prem ki sambhavna mein vishvas karta hoon; isiliye main iski khamiyon, iski vikritiyon ka pata lagane ka prayas karta hoon.

ye sarvavidit hai ki jo log khud par bharosa nahin karte hain, ve kabhi dusron par bharosa nahin karte hain.

Dar ke saath jhooth aur auchitya bhi aate hain, jo chahe kitne bhi vishvasniy kyon na hon; hamare aatm samman ko kam kar dete hain.

aapko vishvas karne ki avashyakta hai ki aap phir se so sakte hain.

bhay ka anubhav keval unhen hi hoga jinko vishvas nahin hai.

jab hum atit ke bare mein sochte hain, tab hum sundar chizon ko chunte hain. hum vishvas karna chahte hain ki sab kuch aisa hi tha.

prem jaisi nirmam wastu kya bhay se bandh kar rakhi ja sakti hai? wo to pura wishwas chahti hai, puri swadhinata chahti hai, puri zimmedari chahti hai uske pallawit hone ki shakti uske andar hai use parkash aur kshetr milna chahiye wo koi diwar nahin hai, jis par upar se inten rakhi jati hai usmen to pran hai, phailne ki asim shakti hai

ye mahatvpurn hai ki logon par bahut adhik bharosa na kiya jaye.

aap jo kahte hain, main us par vishvas nahin kar sakta; kyonki main dekhta hoon ki aap kya karte hain.

iishvar nahin, balki usmen vishvas mayne rakhta hai.

avyakt satya ‘shraddha’ ke roop mein rahta hai. shraddha us satya rakhti hai jo satya ‘hona chahiye’.

kya shaitan mein vishvas ka ye arth hota hai ki hamari prernaon ke sabhi udgam sthal shubh nahin hote?

kuch log apne vishvas ka upyog bas svabhavajanya tark ke shabdansh ke roop mein karte hain; iske bina ve sahi aur ghalat ki dharmanirpeksh niymavali ke anusar apni dharmik aur naitik viphaltaon ka iimandari se samna karne ke liye majbur ho jayenge.

jabhi apne kukarm ke liye tum anutapt hoge, tabhi parampita tumhein kshama karenge; aur, kshama milne par hi samjhoge, tumhare hriday mein pavitra santvna aa rahi hai; aur, tabhi tum vinit, shaant aur anandit hoge.

main nark ki tulna mein punarjanm mein vishvas karti hoon. agar lautne ka vikalp ho, tab punarjanm ka vichar aur bhi adhik sahniy ho jata hai.

ye mera vishvas hai ki aam taur par sach jhooth se behtar hota hai.

jab aap vishvas aur taqat ke padon par pahunchte hain, to sochne se pahle sapna dekhen.

‘kala ke liye kala’ khokhla vakyansh hai. satya ke liye kala, shubh aur sundar ke liye kala—mujhe isi vishvas ki talash hai.

sansar mein dharm ke sambandh mein sarvatr samanyatः aisi shiksha milti hai ki dharm keval shraddha aur vishvas par sthapit hai, aur adhikansh sthlon mein to wo bhinn bhinn maton ki samshti maatr hai. yahi karan hai ki dharmon ke beech keval laDai jhagDa dikhai deta hai.

tumhare man se jis pariman mein vishvas hatega, jagat tum par usi pariman mein sandeh karega ya avishvas karega evan durdasha bhi tum par usi pariman mein akrman karegi, ye nishchit hai. avishvas kshetr durdasha ya durgati ka rajatv hai.

apne aapko dhokha na dene jaisa koi mushkil kaam nahin hota.

yadi koi iishvar par pura bharosa kar sakta hai to dusron ke man (ki satta) par kyon nahin?

yadi aap tarkashastr mein chalbazi karte hain to aap apne sivay kise dhokha dete hain?

behtarin ke liye meri lalak itni zyada hai ki sirf adbhut hi mujhe shaktishali lagta hai. koi bhi cheez, jise main adbhut mein nahin badal sakti hoon, main use chhoD deti hoon. asliyat mujhe prabhavit nahin karti hai. main keval unmaad mein, bhavatirek mein vishvas karti hoon, aur jab samanya jivan mujhe rokta hai, to main, is taraf ya dusri taraf palayan kar jati hoon. aur divaren nahin chahiye.

tum panDit ho sakte ho, kintu yadi avishvasi ho, tab tum nishchay gramofon ke rekarD athva bhashavahi bel ki tarah ho.

apni durbalta par hamein jo vismay hota hai vahi apni shaktiyon ke prati hamare vishvas ka prmaan hai, ye kahna atishyokti na hogi, kyonki apni shakti mein vishvas na karne vala vyakti apni durbalta mein vishvas karta hai, us par vismay nahin.

dharm vishvaas kii apeksha vyvahaar adhik hai।

kora vishvas aur andhvishvas khatarnak hota hai, kyonki wo dimagh ko kund karta hai aur adami ko pratikriyavadi bana deta hai.

prem ki asadhya sadhini shakti par vishvas karo.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere