vartaman samaj jis stri ko nirvasan danD dena chahta hai, uske phute kapal ko aise lohe se daag deta hai jiska chihn janm janmantar ke ansuon se bhi nahin dhul pata.

madhya yug ke jivan ki halki si samajh bhi ye batati hai ki nirblon ki paradhinata ko kitna prakritik samjha jata tha, aur unmen se kisi ki samanata ki ichchha ko kitna aprakritik.

bina kisi jhijhak ke ye kaha ja sakta hai ki taqat ke qanun ke tahat jitna zyada antar stri ke mulabhut charitr mein aaya hai, utna kisi bhi dusre damit varg ke charitr mein nahin aaya.

lingon ke beech adhikaron ki asmanata ka srot kuch aur nahin, sirf sabse taqatvar ka qanun hai.

agar ye kaha jaye ki donon lingon ki samanata ki avdharna sirf ek siddhant hai, to ye bhi yaad rakhna hoga ki isse ulti avdharna bhi sirf ek siddhant hai.

jise aaj stri ka svbhaav kaha jata hai, wo ek naqli cheez hai, aur kuch dishaon mein badhytapurn daman aur kuch dishaon mein aprakritik phailav ka parinam hai.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere