wo ek yuddh hai jo stri aur purush ke beech hamesha chalta rahta hai, jise bahut log prem kahkar pukarte hain.

sansaar me.n jitnii ba.Dii-ba.Dii jiite.n hu.ii hain, ba.De-ba.De aakrmaN hu.e hain, sabko mahaan banaayaa hai maataa.on, bahino.n aur patniyo.n ke tyaag ne। kis yuddh me.n kitne purusho.n ne rakt diyaa - yah itihaas me.n likhaa hu.a hai, lekin uske samiip me.n yah nahii.n likhaa hai ki kitnii striyo.n ne a

jab manushya apne andar yuddh karne lagtaa hai tab vah avashya hii kisii yogya hotaa hai।

hamare adhunik raashtr bhavishya ke dushman ko jane bina hi yuddh ki taiyari kar rahe hain.

yuddh ke beech kahi gai gita bhi yuddh mein upasthit dharm sankat ka hi samadhan batati hai. ye bhi kaha ja sakta hai ki vahan bhi yuddh ka ‘samarthan’ hai. par sach puchhen to gita dharm sankat ka utar karm ki dharna ko karm ke sadharan vyvahar nishth dharatal se hata kar hi deti hai—usse uupar arohan kar jati hai.

adami dhyaan akarshit karne ke liye yuddh karte hain. sabhi hatyayen aatm ghrina ki abhivyakti hain.

aap aise do parivaron mein mel kara sakte hain jinhonne ek dusre ko lagbhag khatm hi kar Dala hai, jaisaki grihayuddh ke dauran briteni aur la vendi mein hua; lekin lanchhan lagane vale aur lanchhit ke beech mel karana utna hi kathin hai, jitna balatkari aur balatkrit ke beech mel hona.

yuddh hamare bhaiyon ke khilaf sangthit hatya aur yatana hai.

tripattikaal men, pii.Daa ke avasro.n par, yuddho.n men, svyanvar men, yagya me.n athvaa vivaah ke avsar par striyo.n ka dikhaa.ii denaa unke li.e dosh kii baat nahii.n hai।

jab bhasha viphal ho jati hai, tab yuddh hota hai.

yuddh se pahle seb ka peD charch ke pichhe sthit tha. wo seb ka ek aisa peD tha jisne apne sebon ko kha liya tha.

do rashtron ke beech yuddh chhiDne par ahinsa mein vishvas rakhne vale vyakti ka dharm hai ki wo us yuddh ko roken.

yuddh mein manushya kroor banta hai, utavla hota hai, bavra hota hai, achanak pichhli baten yaad karta hai aur bhool bhi jata hai.

prem ka arambh aur ant us tarah nahin hota hai, jaisa ki hum sochte hain. prem ek laDai hai, yuddh hai; prem paripakv hona hai.

aisa koi yuddh nahin hai jo sabhi yuddhon ko samapt kar de.

main laDai ka pakshapati hoon aur talastauy aur mahatma gandhi poorn ahinsa ko jis arth mein dharmik siddhant mante hain, us arth mein main is par vishvas nahin karta. parantu main sashastr kranti karne par kisi ko sharirik hani pahunchane ki hinsa ko bhi apni varttman avastha mein theek nahin samajhta.

ashvatthama ko parajay ne bhaDkaya, ahankar ne nahin.

yuddh mein manushya ka kale se kala aur sundar se sundar svarup prakat hota hai.

manaviy sanvednayen jis had tak manaviy hoti hain, yuddh virodhi bhi hoti hain.

dhyaan ek yuddh hai.
dhyaan ek yuddh hai.
paraspar prem se shreshth hota hai yuddh ka mulya.

yuddh ka nayak kahan hota hai? yuddh hote to khalnaykon ke karan hi hain na!

haathii baa.ndhaa ja saktaa hai, sinh rokaa ja saktaa hai, yuddh me.n shatru senaa jiitii ja saktii hai kintu parpurush me.n aasakt dushchritraa strii ka man nahii.n rokaa ja saktaa।

akelaa duusre ke ghar me.n pravesh kare, dvitiiy aadamii se mantrNaa kare, bahut aadamii lekar yuddh kare, yahii shaastr ka nirNay hai।

mangal panDe ne sattawan ke is krantiyuddh ke liye apna ushn rakt pradan kiya tha kintu iske sath hi sath usne apna nam bhi amit rahne wale akshron mein kar diya swadharm aur swarajya hetu laDe ge 1857 ke swatantrya samar mein bhag lene wale sabhi krantikariyon ko bhi is kranti ke shatruon ne panDe nam se sambodhit kiya pratyek mata ka ye pawan dayitw hai ki apne balak ko is pawitra nam ka swabhiman sahit uchcharan karna sikhla de

yadi yuddh ko chho.Dne par mrityu ka bhay na ho tab to anyatr bhaag jaana uchit hai। kintu praaNii kii mrityu avashya hii hotii hai। to phir yash ko vyarth kyo.n kalankit kar rahe ho?

he arjun! napunsaktaa ko mat praapt ho। yah tere yogya nahii.n hai। he parantap! hriday kii tuchchh durbalta ko tyaag kar yuddh ke li.e kha.Daa ho।

la.Dte hu.e mar jaana jiit hai, dharm hai। la.Dne se bhaagnaa paraadhiinata hai, diintaa hai। shuddh kshatriyatv ke binaa shuddh svaadhiinata asambhav hai।

dharm-yuddh se ba.Dhkar anya kalyaaNkaarak karttavya kshatriy ke li.e nahii.n hai।

kshatriy yuddh me.n maaraa jaa.e to vah shok ke yogya nahii.n hai, yah nishchit baat hai।

yuddh me.n vishyo.n se praapt hone vaale sukh men, ya dhan-arjan me.n saathii sulabh hote hain, kintu aapatti me.n pa.Dne par ya dharm ka aashray lene me.n purush ke saathii durlabh hain।

galat yuddh, Galat sthaan par, Galat samay par aur Galat shatru ke saath।

kshatriy dharm ke anusaar yuddh karne vaale viir purusho.n ke li.e sangraam me.n hone vaalii mrityu hii sukhad hai।

jiivan kurukshetr hai, vahii isli.e yuddhakshetr aur dharmakshetr bhii hai। yahii jiivan kii vichitrata aur jaTilta hai ki yuddh ko aur dharm ko usme.n saath-saath saadhana pa.Dtaa hai। is saadhan me.n jiivan ka ruup aap hii aap dharmyuddh ka ho jaataa hai।

maraNdharmaa manushya ko gharo.n me.n bhii avashya marnaa pa.Degaa। atः kshatriy dharm ke anusaar yuddh karte hu.e hii jo mrityu hotii hai, vahii kshatriy ke li.e sanaatan mrityu hai।

sangraam me.n maare jaane mar svarg praapt hotaa hai aur jiitne par yash miltaa hai। lok me.n dono.n hii maananiiy hain। atः yuddh karne me.n nishphalta nahii.n hai।

ye ranbhumi wair ka awas hai, wirata ki kasauti hai, man aur pratishtha ka ghar hai, yuddhon mein apsraon ki swyanwar sabha hai, naron ki wirata ki pratishtha hai, rajaon ki antkal mein sone yogya wirshayya hai, pranon ka agnihotr namak yagya hai, rajaon ke swargalok jane ke liye setu hai—aise ran namak ashram mein hum aaye hue hain

mahabharat ka yuddh bharatiy itihas ki ek ati darun ghatna hai.

yuddh isi mez par shuru hue hain aur samapt bhi. ye atank ki parchhain se chhipne ki satik jagah hai. ek bhayavah jeet ka jashn manane ki jagah bhi.

luuT ke lobh se hatyaa - vyavsaayiyo.n ko ekatr karke unhe.n viir senaa kahnaa, raNaklaa ka uphaas karnaa hai।

yuddh ahankaar kii santaan hai aur ahankaar dhan-sampatti kii putrii hai।

ech. ji. vels ke anusar itihas bhar mein ashok hi ek aisa sainik raja hua hai, jisne vijay ke baad yuddh karna tyaag diya ho.

shayad ye sansar rasoi ki mez par hi samapt hoga, jabki hum hanste aur rote honge, aur nishchintta se apna antim mitha nivala khate hongen.

yadi krishn na hote to spardha ki spriha ka kamniy svrup prakat hi nahin hota.

yoddha ka avesh hamesha chaDha hua hota hai, lekin uska man bhola hota hai. shraddhalu hota hai.

janral yuddh sthal par dushmnon ke mritkon ki sankhya ginta hai jabki kavi is baat ka hisab lagata hai ki yuddh mein kitne jivit log mare ge.

yahudi sanhar aur bharat paak vibhajan ke saikDon sansmran batate hain ki bhayanak anubhvon ke baad bhi mata pita bachchon ke samne zindagi ki samanyata ka abhinay karte hain.

yuddh-kaal me.n qaanuun maun rahte hain।

sena kisi rashtra ke antrik shaury ka kul jama hasil hoti hai, us shaury se apne rashtra ko ‘sabaq’ nahin sikhaya jata

yuddh parisiima hai paratv ke vikaas kii।

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere