Font by Mehr Nastaliq Web

پر

quote

janta ki, janta ke dvara, janta ke liye sarkar kaise apne hi liye ho jati hai, ye abraham linkan ko nahin malum tha. hamein malum hai.

  • विषय :
    اور 2 مزید
quote

tabadale ki ek bandhi bandhai naitik paddhati hai. afsar ya mantri se sambandh hone se tabadale hote hain. phir tabadale karne ke ret bandhe hain. lokkarm vibhag ke ret uunche hain. shiksha vibhag ke ret kam hain. ye ek iimandar prakriya hai.

  • विषय : 1
    اور 2 مزید
quote

koi koi sanki raja aise hote the ki apne naukar ko koDon se khoob pitte the, magar unki chikitsa ke liye Dauktar taiyar rakhte the. apni sarkar bhi sanki zamindar hai. shikshak ko khoob kasht hone degi, magar kalyan nidhi zarur khol degi.

    اور 3 مزید
quote

striyon ko sarkar ke vichar vimarsh mein bina kisi pratyaksh hissedari ke manmane Dhang se shasit kiye jane ke bajay unke pratinidhi sarkar mein hone chahiye.

    اور 1 مزید
quote

samast atyaachaarii sarkaare.n ek duusre ka upkaar karne ke li.e sada taiyaar rahtii hii hain।

sarkar ka virodh karna bhi sarkar se laabh lene aur usmen sanrakshan praapt karne ki ek tarqib hai. lekhak na ab bechara rah gaya hai, na bhola. wo janta hai ki sarkar ka virodh karne se kabhi kabhi samarthan se adhik fayde milte hain.

aaj raja ka rajya us samay tak hai, jab tak wo praja ke anusar chalta hai.

aaj raja ka rajya us samay tak hai, jab tak wo praja ke anusar chalta hai.

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

ab koi adami surakshit nahin hai. ek din aisa aayeg, jab is desh ke aadhe adamiyon ki jaanch ho rahi hogi; aur baqi aadhe jaanch kamishnon mein honge.

kisi sarkar ya parti ko ve log milte hain, jinke ve haqdar hote hain aur jald ya baad mein logon ko wo sarkar milti hai, jiske ve haqdar hote hain.

yadi sarkar sahishnu hoti hai to janta bure margon se door rahti hai. yadi sarkar ki taraf se anavashyak hastakshep hota hai to log shasan ko niymon ka ulanghan karne lagte hain.

jo sarkar apne qanun toD deti hai, wo aapko bhi asani se toD sakti hai.

sarkar se bhrashtachar ki shikayat karoge to, bhrashtachar band nahin karegi, kameti bithayegi. annabhav ki shikayat karoge to ann paida nahin karayegi, ann kameti bithayegi. sarkari kaam aisa hi hota hai.

bhavishya parmeshvar ke haath me.n hai, sarkaar ke haath me.n nahii.n hai।

bhavishya parmeshvar ke haath me.n hai, sarkaar ke haath me.n nahii.n hai।

  • विषय : 1
    اور 1 مزید
quote

janta apne bhagya ki aap malik hai. wo apne kamon ko aap karegi, vyakti ya samuh us par aagya nahin chala sakenge. uski aagya ke samne samrat aur bhikhari donon barabar honge.

chatur sarkar munh par kapDa Dalkar, lachakti phachakti, furti a kamishan ki gali se nikal jati hai aur udhar samasyayen huDdang karti rahti hain.

sarkar ne harijnon va adamiyon ki samasya par is tarah kamishan bithaya hai, jaise abhi pahli baar malum hua hai ki kuch aise prani bhi hain jo harijan aur adivasi kahlate hain.

saDak par danga hota ho to chatur adami gali mein se nikal jata hai. kamishan wo gali hai, jismen se sarkar chhipkar nikal jati kyonki aam saDak par samasyayen jamghat kiye hain.

jis raja ka vyvahar aise pratyek karya se bhara hai jo atyachar ki vyakhya hai, wo svtantr jati ka shasak hone yogya nahin hai.

anant skenDal hain is pavitra bhumi mein. himalay jiska mukut hai, jiske charan sagar dhota hai, ganga yamuna jiske hriday pardesh mein shobhit hain, jismen raam aur krishn jaise avtar hue, jismen duryodhan, shakuni, vibhishan paida hue, us dev bhumi mein sarkar badalne se skenDal nahin ruk sakte.

sarkar is tarah kamishan bithati hai, jaise hum kulla karte hain. jaanch kamishan sarkar ka kulla hi hai. munh saaf karne ke liye kulla kar liya, aur naqli danton ka set laga liya.

sarkar kahti hai, makkhi maro. magar makkhi bachi hon to maren. sachivalay se lekar tahsil tak itne karmachari makkhi mara karte hain ki ab marne ke liye makkhi DhunDhani paDegi.

parliyament ka kaam itna saral hona chahiye ki din ba din uska tej baDhta jaye aur logon par uska asar hota jaye, lekin isse ulte itna to sab qubul karte hain ki parliyament ke membar dikhavati aur svarthi paye jate hain.

jab mai.n videsh me.n rahtaa huu.n, to mera yah niyam hai ki apne desh kii sarkaar kii aalochana ya us par prahaar nahii.n kartaa। jab mai.n svadesh vaapas aataa huu.n to kho.e samay kii kamii puurii kar letaa huu.n।

sattatantr dvara tathakathit ‘sanskritik vikas’ ke naam par sanskriti ko sanrakshan diye jane ke khatre aspasht hain.

sattatantr dvara tathakathit ‘sanskritik vikas’ ke naam par sanskriti ko sanrakshan diye jane ke khatre aspasht hain.

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

sarkari vyavastha mein kaam karne vale log taqat ke uunche padon tak pahunchne se bahut pahle hi maan lete hain ki koi baDa parivartan karna sambhav nahin hai.

hinsa ki bhookh aur pyaas baDhana satta ka kartavya ban gaya hai.

jitna samay aur paisa parliyament kharch karti hai, utna samay aur paisa agar achchhe logon ko mile to praja ka uddhaar ho jaye.

janta gharibi se ubarne ka rasta puchhti hai, sarkar uske haath mein nirodh ka paiket thama deti hai.

janta gharibi se ubarne ka rasta puchhti hai, sarkar uske haath mein nirodh ka paiket thama deti hai.

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

nissandeh sashakt sarkaar aur raajabhakt jantaa se utkrishT raajya ka nirmaaN hotaa hai। parantu bahrii sarkaar aur guunge logo.n se loktantr ka nirmaaN nahii.n hotaa।

praaN lene ka adhikaar to i.ishvar ko hai। sarkaar kii top banduuke.n hamaaraa kuchh nahii.n kar saktiin।

sanskriti ke udat pakshon ke sanrakshan aur uske swasth wikas mein, uparyukt khatron ke bawjud, satta ki ek nishchit bhumika hai par wikriti wahan se shuru hoti hai jab sattatantr aur uska ek wishisht purja, yani naukarshahi apne ko sanskriti ka shasta aur uddharak manne lagti hai aur ye tay karne lagti hai ki kise ubhara jaye aur kise pachhaDa jaye

pul paar utarne ke liye nahin, balki udghatan ke liye banaye jate hain. paar utarne ke liye uska upyog ho jata hai, prasangik baat hai.

sarkari kampyutar mein sirf ek batan hai ha Dilit.

paisa khane vala sabse Darta hai. jo sarkari karmachari jitna namr hota hai, wo utne hi paise khata hai.

sattatantr koi kaam kewal ‘karniyta ke karan hi karya hai’—ke siddhant par karya nahin karta

sharaabiyo.n kii sarkaar sharaabbandii nahii.n karegii। use apnii aamdanii kii chintaa hai। sharaab to hame.n hii band karnii hogii। iske li.e sharaab piine vaalo.n ka bahishkaar kiiji.e।

upaay antatः vahii adhik saarthak hogaa jisme.n sarkaarii prashaasan se aatmaanushaasan ke muulya par adhik bal ho।

sharaab piine vaale ka, pilaane vaalii sarkaar ka hame.n bahishkaar karnaa chaahi.e।

sharaab piine vaale ka, pilaane vaalii sarkaar ka hame.n bahishkaar karnaa chaahi.e।

  • विषय : 1
quote

jantaa ke li.e, jantaa dvaara, jantaa kii sarkaar।

jantaa ke li.e, jantaa dvaara, jantaa kii sarkaar।

  • विषय :

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

متعلقہ موضوعات

हिन्दवी उत्सव, 27 जुलाई 2025, सीरी फ़ोर्ट ऑडिटोरियम, नई दिल्ली

रजिस्टर कीजिए