Font by Mehr Nastaliq Web

پر

quote

यदि मनुष्य का जन्म लेकर मैं मानवीय अस्तित्व के उद्देश्य को प्राप्त नहीं कर सकूँ, यदि मैं उसकी नियति को चरितार्थ नहीं कर सकूँ, तो उसकी सार्थकता ही क्या है?

quote

ek susanskrit dimagh ko apne darvaze aur khiDkiyan khuli rakhni chahiye.

  • विषय :
    اور 2 مزید
quote

virata se aage baDho. ek din ya ek saal mein siddhi ki aasha na rakho. uchchatam adarsh par driDh raho. svarthaparta aur iirshya se bacho. aagya palan karo. satya, manushya jati aur apne desh ke paksh par sada ke liye atal raho, aur tum sansar ko hila doge.

svayan achchhe bano aur jo kasht pa rahe hain, unke prati daya sampann hoo. joD gaanth karne ki cheshta mat karo, usse bhavrog door nahin hoga. vastav mein hamein jagat ke atit jana paDega.

manaviy mulya manushya ke jaivik aatm mein upajta hai.

manaviy mulya manushya ke jaivik aatm mein upajta hai.

  • विषय :
    اور 3 مزید
quote

jab sankat aata hai—jab bam girte hain ya baaDh aati hai—tabhi hum manushya apne shreshthatam roop mein prakat hote hain.

    اور 4 مزید
quote

itihas vigyan hai. kalp katha nahin hai. jab tak vaigyanik drishti se dharmik dvesh se mukt, tathyaprak itihas nahin paDhaya jayega, tav tak samprdayik dvesh ja nahin sakta.

udarta, satya, kritagyta, santosh, karuna aur maitri—ye divya jivan praapt karne ke shreshth saghan hai.

yadi desh ka pratyek shikshit yuvak uunch neech ke ghrinit vicharon ko chhoDkar apne aas paas rahne vale chaar balkon athva balikaon ko bhi prativarsh ashikshit se shikshit bana dene ka sankalp kar leve to parinam atyant utsahvarddhak ho.

rashtriyata jatiyata nahin hai. rashtriyata dharmik siddhanton ka dayara nahin hai. rashtriyata samajik bandhnon ka ghera nahin hai. rashtriyata ka janm desh ke svarup se hota hai. uski simayen desh ki simayen hain.

pavitarta hi adhyatmik satya hai. “pavitra hridayvale dhanya hain, kyonki ve iishvar ka darshan karenge. is ek vakya mein sab dharmon ka nichoD hai. yadi tum itna hi seekh lo, to bhutakal mein jo kuch is vishay mein kaha gaya hai aur bhavishyakal mein jo kuch kaha ja sakta hai, us sabka gyaan tum praapt kar loge. tumhein aur kisi or drishtipat karne ki zarurat nahin, kyonki tumhein us ek vakya se hi sabhi avashyak vastuon ki prapti ho chuki. yadi sansar ke sabhi dharm shaastr nasht ho jayen, to akele is vakya se hi sansar ka uddhaar ho sakta hai.

jaise pashu balvan hokar nirblon ko duःkha dete aur maar bhi Dalte hain. jab manushya sharir pa ke vaisa hi karm karte hain to ve manushya svbhavyukt nahin, kintu pashuvat hain. aur jo balvan hokar nirblon ki raksha karta hai vahi manushya kahata hai aur jo svarthvash hokar parhani maatr karta rahta hai, wo jano pashuon ka bhi baDa bhai hai.

    اور 1 مزید
quote

har ek manushya ko chahiye ki wo dusre manushya ko isi tarah, arthat iishvar samajhkar, soche aur usse usi tarah arthat iishvar drishti se bartav kare; use ghrina na kare, use kalankit na kare aur na uski ninda hi kare. kisi bhi tarah se use hani pahunchane ki cheshta bhi na kare. ye keval sannyasi ka hi nahin; varan sabhi nar nariyon ka karttavya hai.

manav mein jo kuch bhi shreshth hai wo kisi desh ke sankirn dayre mein abaddh nahin

vishvbandhutv dvara shanti ki sthapana sansar ka sarvochch adarsh hai.

  • विषय : 1
    اور 2 مزید
quote

sankirnta ke nikat jane se man sankirn ho jata hai evan vistriti ke nikat jane se man vistriti laabh karta hai; usi prakar bhakt ke nikat jane se man udaar hota hai, aur jitni udarta hai utni hi shanti.

manav mein roop, gun aur yauvan ke hote hue bhi yadi udarta nahin hai to sabhi visheshtayen nirarthak ho jati hain.

manav mein roop, gun aur yauvan ke hote hue bhi yadi udarta nahin hai to sabhi visheshtayen nirarthak ho jati hain.

  • विषय :
    اور 2 مزید
quote

hindu muslim vidvesh ya rajnitik viDambna ko door karne ka pyatn tab tak saphal nahin ho sakta jab tak ki pratyek deshavasi bharatvarsh ke vatavran ko sauhard aur parasparik audarya se pariplavit na kar dega.

bhakti la deti hai gyaan; gyaan se hota hai sarvbhuton mein atmabodh, sarvbhuton mein atmabodh hone se hi aati hai ahinsa; aur ahinsa se hi aata hai prem. tum jitna bhar inmen se jis kisi ek ka adhikari hoge, utna hi bhar in sabhi ke adhikari hoge.

shiksha ke kshetr mein ek purush apni svbhaav sulabh kathorta se asaphal rah sakta hai, parantu mata ke sahj sneh se poorn hriday lekar jab ek stri usi ugrata ka anukran karke apne uttardayitv ko bhool jati hai tab uski sthiti dayniy ke atirikt aur kuch nahin rahti.

manushyatv ke parabhav ko anthin, pratikarhin aur charam samajhna meri drishti mein apradh hai.

manav samaj ka sarv pardhan tattv hai manushya maatr ka aikya. sabhyata ka arth hai ekatr hone ka anushilan.

manav samaj ka sarv pardhan tattv hai manushya maatr ka aikya. sabhyata ka arth hai ekatr hone ka anushilan.

  • विषय :
    اور 3 مزید
quote

jahan kahin mahanta, hriday ki vishalata, man ki pavitarta evan shanti pata hoon, vahan mera mastak shraddha se nat ho jata hai.

ek vyakti ko udaatt banne ke liye teevr aur vyapak kalpana shakti se yukt hona chahiye; use svayan ko dusron ki sthiti mein rakhna aana chahiyeh use apne samaj ke sukh duःkha ko apna manna chahiye.

manushya ke kathor, madhur aur teekshn, do paksh hain aur barabar rahenge. kavyakla ki puri ramniyta in donon pakshon ke samanvay ke beech mangal ya saundarya ke vikas mein dikhai paDti hai.

na sankhya shakti, na dhan, na panDitya, na vakchaturya kuch bhi nahin, balki pavitarta, shuddh jivan, ek shabd mein anubhuti, aatm sakshatkar ko vijay milegi.

manushya ka sarvopari uddeshya, sarvashreshth parakram dharm hi hai aur ye sab se asan hai.

manushya ka sarvopari uddeshya, sarvashreshth parakram dharm hi hai aur ye sab se asan hai.

  • विषय :
    اور 4 مزید
quote

samanya manushya mein jo tyaag, karuna, sahanubhuti, paropakar, sahas aadi hote hain, unhin par ye duniya tiki hai.

har raashtr ke liye aur har vyakti ke liye jisko baDhna hai, kaam kaaj aur soch vichar ke un sankare gheron ko, jinmen zyadatar log bahut arse se rahte aaye hain, chhoDna hogi, aur samanvay par khaas dhyaan dena hoga.

kisi moort adarsh mein jinki karmmay atut asakti ne—samay ya sima ko atikram kar unhen sahj bhaav se bhagvan bana diya hai—jinke kavya, darshan evan vigyan man ke bhale bure vichchhinn sanskaron ko bhed kar us adarsh mein hi sarthak ho uthe hain—ye hi hain sad‌guru.

satya hi mera iishvar hai tatha samagr vishv mera desh hai.

jinki bhavna kisi baat ke marmik paksh ka chitranubhav karne mein tatpar rahti hai, jinke bhaav charachar ke beech kisi ko bhi alambnopyukt roop ya dasha mein pate hi uski or dauD paDte hain, ve sada apne laabh ke dhyaan se ya svarthbuddhi dvara hi parichalit nahin hote.

bhakt ve hi kahla sakte hain jo apne jivan ka bahut ansh svaarth (parivar va sharirik sukh aadi) se vibhakt karke kisi ke ashray se kisi or laga sakte hain. isi ka naam hai aatm nivedan.

samprday vishesh pujit kaath patthron ke pratik aur uski puja ya achar sanskar manushya mein manushya ko sada hi vichchhinn rakhte hain. isiliye apne antar mein satya svarup aur prem svarup ek ko uplabdh karne ke siva milan ka aur kya upaye ho sakta hai?

sahj ke bhitar hi manushya ka milan hai. shashvat aur shaant satya ke bhitar hi sarvmanav ka sada bharosa hai.

mainne do ek baten sikhi hain ha prem aur priytam—tark, panDitya aur vagaDambar ke bahut pare.

mainne do ek baten sikhi hain ha prem aur priytam—tark, panDitya aur vagaDambar ke bahut pare.

  • विषय : 1
    اور 1 مزید
quote

prkrit satya parcharak hi jagat ke prkrit manglakankshi hain. unki daya se kitne jivon ka jo atmonnyan hota hai uski iyatta nahin.

prkrit satya parcharak hi jagat ke prkrit manglakankshi hain. unki daya se kitne jivon ka jo atmonnyan hota hai uski iyatta nahin.

  • विषय :
    اور 3 مزید
quote

stri ke vyaktitv mein komalta aur sahanubhuti ke saath sahas tatha vivek ka ek aisa samanjasya hona avashyak hai jisse hriday ke sahj sneh ki ajastr varsha karte hue bhi wo kisi anyay ko prashray na dekar uske pratikar mein tatpar rah sake.

jinhonne rakt ki jagah pasina bhi na bahaya ho, jo svayan nirankush hon aur jinhonne karoDon bhai bahnon ko ghulami ki beDi se jakaD rakha ho, unhen haath pair hilaye aur uunche uthe bina aasha bhi rakhni chahiye ki sansar ki sansar unhen manushya bhi samjhega.

मेरी परिकल्पना और मेरी रूझान के अनुकूल, आकर्षण के केन्द्र हैं आरंभ से ही—त्यागी की वृत्ति, सादा जीवन और उच्च विचार, तथा देश-सेवा के लिए हार्दिक अनुरक्ति।

quote

kisi dharm ke siddhant kitne hi udaatt evan uska darshan kitna hi sugthit kyon na ho, jab tak wo kuch granthon aur maton tak hi parimit hai, main use nahin manata.

kisi dharm ke siddhant kitne hi udaatt evan uska darshan kitna hi sugthit kyon na ho, jab tak wo kuch granthon aur maton tak hi parimit hai, main use nahin manata.

  • विषय : 1
    اور 1 مزید
quote

anrishansya param dharm hai.

anrishansya param dharm hai.

quote

jitne dinon tak tumhare sharir aur man mein vyatha lagti hai, utne dinon tak tum ek chinti ki bhi vyatha ke nirakran ki or cheshta rakho, aur aisa yadi nahin karte ho, to tumse baDhkar heen aur kaun hai?

mazahbi karmkanD tatha rasmo rivaj ki raksha karne ke sthaan par desh tatha raashtr ki raksha karna apni tatha manushya jati ki unnati ke liye kahin adhik avashyak hai.

tamogan se hamara desh chhaya hua hai—jahan dekho vahin tam; rajogun chahiye, uske baad satv; wo to atyant door ki baat hai.

tumhare charitr ke kisi bhi udahran se yadi kisi ka mangal ho, to usse usko gupt mat rakho. tumhara satsvbhav karm mein prasfutit ho, kintu apni bhasha mein vyakt na ho, nazar rakho.

kisi parimit varg ke kalyan se sambandh rakhnevale dharm ki apeksha vistrit janasmuh ke kalyan se sambandh rakhnevale dharm uchch koti ka hai.

kisi parimit varg ke kalyan se sambandh rakhnevale dharm ki apeksha vistrit janasmuh ke kalyan se sambandh rakhnevale dharm uchch koti ka hai.

  • विषय : 1
    اور 2 مزید
quote

anant shakti ke saath dhirta, gambhirta aur komalta raam ka pardhan lakshan hai. yahi unka ramatv hai.

anant shakti ke saath dhirta, gambhirta aur komalta raam ka pardhan lakshan hai. yahi unka ramatv hai.

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

koi avashyak nahin ki manushya uttam kavi va darshanik ho par ye uska pardhan kartavya hai ki wo satvikshil hai.

sansar ke manav samuday mein vahi vyakti sthaan aur samman pa sakta hai, vahi jivit kaha ja sakta hai jisse hriday aur mastishk ne samuchit vikas paya ho aur jo apne vyaktitv dvara manushya samaj se ragatmak ke atirikt bauddhik sambandh bhi sthapit kar sakne mein samarth ho.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

متعلقہ موضوعات

हिन्दवी उत्सव, 27 जुलाई 2025, सीरी फ़ोर्ट ऑडिटोरियम, नई दिल्ली

रजिस्टर कीजिए