jitne din tak manushya karmkanD aur samprdayik gyaan se mukt nahin hota, utne din tak wo sarvmanav ke upyukt nahin hota.

kabir aise kavi hain jinhen kisi tarah ki samprdayikta aur kattarta na to apna bana sakti hai aur na pacha sakti hai.

hindu muslim vidvesh ya rajnitik viDambna ko door karne ka pyatn tab tak saphal nahin ho sakta jab tak ki pratyek deshavasi bharatvarsh ke vatavran ko sauhard aur parasparik audarya se pariplavit na kar dega.

sari samasyayen muhavron, naron aur apilon se sulajh jati hain. samprdayikta ki samasya ko is nare se hal kar liya gaya—hindu muslim, bhai bhai!

hamare desh mein samprdayik dvesh ki jaD madhyayug ka itihas hai, jo arddhsatya aur ghalat najariye se pracharit kiya jata hai aur paDhaya jata hai.

samprday vishesh pujit kaath patthron ke pratik aur uski puja ya achar sanskar manushya mein manushya ko sada hi vichchhinn rakhte hain. isiliye apne antar mein satya svarup aur prem svarup ek ko uplabdh karne ke siva milan ka aur kya upaye ho sakta hai?

dharmik kattarta sadharan manushya ko kisi kisi avsar par manushya nahin rahne deti, use pashu bana deti hai.

bharat ko ek aisi taqat ka nirman karna hoga jo samprdayikta jaise un tamam ‘vadon’ se chhutkara pa chuki ho, jo uski taraqqi mein rukavat paida karte hain aur use bantte hain.

firqaprasti ki kisi bhi surat se talluq rakhne ka matlab hai hindustan mein pratikriyavadi taqton ko aur british samrajyavad ko mazbut banana.

kattarpanthiyon ne apne uddeshyon ke anusar tulsidasji ka upyog kiya, jis prakar aaj jansangh aur hindu mahasabha ne shivaji aur ramdas ka upyog kiya.

samprdayvad samantvad ka hi ek astra hai aur madhyakalin sant kaviyon ka samprdayvad virodh, unke vyapak samantvad virodhi sangharsh ka hi ek ang hai.

-
विषय : भक्ति काव्य
mainne apne samuche sahitya mein aisa koi chitran nahin dekha jahan kisi kattar sanatani hindu ko adarniy tatha adarsh vyakti samjha ja sake.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere