Font by Mehr Nastaliq Web

پر

quote

bina shikayat ke sahna, ekmaatr sabaq hai jo hamein is jivan mein sikhna hai.

chizon ko sahna hi tumhara sabse achchha kaam hai. apne daant piskar unhen sah lena.

  • विषय : 1
quote

kisi adami se kaha jaye, “tum thag ho,” to shayad wo ise mazaq ke roop mein lega, lekin use thagi karte hue pakaD liya jaye aur uski peeth par chhaDi lagakar use ye bataya jaye, use pulis adalat ki dhamki di jaye aur phir us dhamki par amal na kiya jaye to ye use paristhitiyon ki asmanata ki hi yaad dilayega. agar jansadharan kisi qism ki nasli shreshthta ko bardasht nahin karenge, to kya ye mumkin hai ki koi thag iimandar adami ki nasl ko sahn kar lega?

yuddh hamare bhaiyon ke khilaf sangthit hatya aur yatana hai.

yuddh hamare bhaiyon ke khilaf sangthit hatya aur yatana hai.

  • विषय : 1
    اور 1 مزید
quote

sachche sanvad ke liye akshamata ka arth hai—sahishnuta, aatm chintan aur sahanubhuti ki akshamata.

  • विषय :
    اور 2 مزید
quote

bees varsh ki avastha mein main atyant ashishnu aur kattar tha. kalkatte mein saDkon ke jis kinare par thiyetar hain, main us or ke paidal maarg se hi nahin chalta tha. ab taintis varsh ki umr mein main veshyaon ke saath ek hi makan mein thahar sakta hoon aur unse tiraskar ka ek shabd kahne ka vichar bhi mere man mein nahin ayega. kya ye adhogati hai? athva mera hriday vistrit hota hua mujhe us vishvavyapi prem ki or le ja raha hai, jo sakshat bhagvan hai?

main jitne dharmon ko janta hoon, un sab mein hindu dharm sabse adhik sahishnu hai ismen kattarta ka jo abhaw hai, wo mujhe bahut pasand aata hai kyonki isse uske anuyayi ko atmabhiwyakti ke liye adhik se adhik awsar milta hai

kisaan ke baraabar sardii, garmii, meh, aur machchhar-pissuu vagairaa ka upadrav kaun sahn kartaa hai?

kisaan ke baraabar sardii, garmii, meh, aur machchhar-pissuu vagairaa ka upadrav kaun sahn kartaa hai?

  • विषय :
    اور 2 مزید
quote

sahanshilata jismen nahin hai, wo sheeghr hi toot jata hai.

ye satya hai ki ant mein vahi jitta hai, jo choton ko dhairya se svikar karta hai.

main nahin manata ki bhagya ka khushi se kuch jyada lena dena hai.

main nahin manata ki bhagya ka khushi se kuch jyada lena dena hai.

  • विषय : 1
quote

sahanshilata ek aisi kshamata hai, jahan hum dusron aur unke drishtikon se asahmat hote hue bhi unhen svikar karte hain.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

متعلقہ موضوعات

हिन्दवी उत्सव, 27 जुलाई 2025, सीरी फ़ोर्ट ऑडिटोरियम, नई दिल्ली

रजिस्टर कीजिए