bharatiyata, samkalinata, sthaniyta, samajikta aadi ke hum kala mein kya arth lagate hain ye bahut kuch is par nirbhar karta hai ki inka aaj hamare jivan mein kya arth hai.

hindi ke varnvadi adhyapak isliye pareshan hai ki agar kabir dalit le ge to nirgun parampara ka kya hoga? samajik ekta samrasta ka kya hoga? dvivedi ji ka kya hoga? us udarta ka kya hoga jo hamare hindi sahitya ke itihas ne bhakti kaal mein paida ki jismen manav manav ek ho gaya?

jo bhi gyaan hai, usse chunkar manushya jine ke liye jis vyavastha ka nirman karta hai, usi ko sabhyata kahte hain.

jo dharm updesh dvara na sudharnevale dushton aur atyachariyon ko dushtata ke liye chhoD de, unke liye koi vyavastha na kare, wo lokadharm nahin, vyaktigat sadhana hai.

koi sthayi taraqqi tab tak sambhav nahin hai jab tak hum khud shuddhikran ki tristariy prakriya se nahin guzrenge. hamein apne achran ka samanya svar sudharana hoga, apne uchcharan ko sadhana hoga aur apne vicharon ko punarjivit karna hoga.

samaj ki bhumi hi vyakti ki bhumi hoti hai.

satta hi samajik pragti ki kunji hai.
satta hi samajik pragti ki kunji hai.
paristhiti, kaal aur samajik sthiti par abhivyakti nirbhar karti hai.

apne yahan samkalinata aur adhunikta ka saval uthana na to samsamayik hai aur na adhunik. kyonki yahan samkalinata aur adhunikta samajik star par samuhik jivan ke ek hi bindu par ek hi saath aur ek hi samay mein ankit hoti hai. unke liye alag alag kaal ya vyakti chun pana sambhav nahin ho sakta hai.

hindi mein samajik yatharthavad ka ek phoohD roop ek achal manak ki tarah svikrit hai.

surdasji apne bhaav mein magn rahnevale the, apne charon or ki paristhiti ki alochana karnevale nahin. sansar mein kya ho raha hai, lok ki prvritti kya hai, samaj kis or ja raha hai, in baton ki or unhonne adhik dhyaan nahin diya hai.

samjik mahattv ke liye avashyak hai ki ya to akarshit karo ya akarshit ho. jaise is akarshan vidhan ke bina anuon dvara vyakt pinDon ka avirbhav nahin ho sakta, vaise hi manav jivan ki vishad abhivyakti bhi nahin ho sakti.

shrey ki sadhana jahan kala ki samajikta ke liye paryapt jagah chhoDti hai, vahin prey ki saundarymulak utkrishtata ke liye.

uchchatam jivan mulya aksar kisi shikhar charitr, nayak ya neta, mein ghanibhut ya prtikit hokar niche ke samajik adhar ki or prabhavit hote hain.

mujhe nahin lagta hai ki samajik gyaan ke kshetr mein koi bharatiy ek qadam bhi aage baDha payega baghair us gyaan khanD ka upyog kiye jise vibhitr samuhon ke ektiviston ne utpann kiya hai.

samajik jivan mein nirbadh uchchhrinkhalta ke liye koi jagah nahin hai.

jahan adhunik yug ke abhibhavak apne bachchon ko ajanabiyon se baat na karne ki chetavni dete hain, vahin pragaitihas mein hamara poshan vishvas ki khurak se hota tha.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere