Font by Mehr Nastaliq Web

پر

quote

bhaagya se ba.Dhkar shakti kaun sii hai?

  • विषय :
quote

हर किसी का समय तय है। एक व्यक्ति कब प्यार में पड़ेगा और कब इस दुनिया को अलविदा कहेगा, इन सबका समय तय है।

quote

arth parimit hota hai kintu anarth yadi ek baar prarambh ho jaye to ye nahin kaha ja sakta ki uska ant kahan jakar hoga.

karm mein meri akanksha nahin hai— vishram evan shanti ke liye main lalayit hoon. sthaan aur kaal ka tattv mujhse yadyapi chhipa hua nahin hai, phir bhi mera bhagya tatha karmaphal mujhe nirantar karm ki hi or le ja raha hai.

    اور 1 مزید
quote

abhineta hi imandar Dhongi hote hain unka jiwan ek sankalpit swapn hai aur unki akankshaon ki charam parinati hai swayan ke atirikt kuch hona we dusre manushyon ke bhagyon ki poshaken pahante hain unke apne wichar bhi apne nahin hote

pure mahabharat mein yadi niyti dvara puri tarah se ghira hua koi vyakti hai to wo karn hi hai.

jaisii honii hotii hai, vaisii hii buddhi va indriyaa.n bhii ho jaatii hain

sanyog kii bikhrii hu.ii i.inTo.n se is sansaar ka nirmaaN nahii.n hu.a hai। ko.ii andhaa i.ishvar bhaagya-nirmaata nahii.n hai। ek sachet shakti ne jiivan kii yojnaa banaa.ii hai। har vakrata aur rekhaa ka apnaa arth hai।

he bhaarat! purushaarth karne par bhii yadi siddhi na praapt ho to khinn nahii honaa chaahi.e, kyonki phal-siddhi me.n purushaarth ke atirikt bhii praarabdh tathaa i.ishvar kripaa do anya kaaraN hain।

  • विषय : 1
    اور 2 مزید
quote

udyam na karne par bhii bhaagya dvaara niyojit puurv janmo.n me.n kiya hu.a karm shubhaashubh phal pradaan kartaa hai।

udyam na karne par bhii bhaagya dvaara niyojit puurv janmo.n me.n kiya hu.a karm shubhaashubh phal pradaan kartaa hai।

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

manushya ko har sthaan par bhagya ka samna karna hota hai, uske paas aisa avsar hamesha hota hai ki wo apne hi kashton se svayan kuch hasil kar le.

भाग्य का मतलब यह नहीं है कि हमारे जीवन में जो कुछ भी होने वाला है, वह पहले से लिखा हुआ है। इसलिए सब कुछ संयोग पर छोड़ देना और दुनिया के तौर-तरीकों में भाग लेना मूर्खता है।

quote

bhaagyarhit purushaarth aur purushaartharhit bhaagya sarvatr vyarth ho jaate hain। in dono.n me.n pahlaa paksh hii siddhaantbhuut eva.n shreshTh hai arthaat daiv ke sahyog ke binaa purushaarth kaam nahii.n detaa hai।

purush ko jo vastu jis prakaar milne vaalii hotii hai, vah us prakaar mil hii jaatii hai। jis vastu kii jaisii honhaar hotii hai vah vaisii hotii hii hai।

purushaarthii sarvatr bhaagya ke anusaar pratishThaa praapt kartaa hai, parantu purushaarthhiin sammaan se bhrashT hokar ghaav par namak chhi.Dakne ke samaan kashT paata hai।

nirdhan bhii sukhii dekhe jaate hai.n tathaa dhanvaan bhii adhik dukhii। manushya ke sukh aur duःkha ka uday bhaagya ke adhiin hai, atः dhan se kyaa?

bhaagya ke haath me.n sab kuchh hai, lekin ruknaa kabhii shreyaskar hu.a hai? saa.ns ruktii hai, use maut kahte hain, gati ruktii hai, tab bhii maut kahte hain, havaa ruktii hai vah bhii maut hai, ruknaa sada maut hai। jiivan naam chalne ka hai।

har guru ka ek hii shishya hotaa hai aur vah uske prati nishThaahiin ho jaataa hai, kyonki uskii niyti bhii gurupan hai।

purusho.n ke bhaagya ke kaarya achintniiy hain

purushaarthhiin bhaagya athvaa bhaagyhiin purushaarth in do hii kaarNo.n se manushya ka udyog nishphal hotaa hai।

purushaarthhiin bhaagya athvaa bhaagyhiin purushaarth in do hii kaarNo.n se manushya ka udyog nishphal hotaa hai।

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

hum mein se koi nahin janta ki hamare liye kya intzaar kar raha hai, koi baDa pal, asadharan kaam karne ka koi anokha mauqa.

lakshmi udyogi purush ko prapt hoti hai kayar log kahte hain ki jo bhagya mein hoga wo milega bhagya ko chhoDkar, apni shaktibhar yatn karo, phir bhi yadi karya siddh na ho to ismen koi dosh nahin hai (ya ye dekho ki mere purusharth mein kya dosh rah gaya

niyti to kshama nahii.n kartii, uskaa vidhaan to danD hai।

buddhi praarabdh ko apnaa graas nahii.n banaa saktii। praarabdh hii buddhi ko apnaa graas banaa letaa hai। praarabdh se praapt hone vaale artho.n ko buddhimaan purush bhii nahii.n jaan paata।

purushaarthhiin manushya is sansaar me.n kabhii phaltaa phuultaa nahiin। manushya ko kumaarg se haTaakar sumaarg me.n laga de— a.isii bhaagya me.n shakti nahii.n hai। pahle kiya hu.a purushaarth hii ekatrit hokar bhaagya bankar guru ke samaan apne abhiipsit sthaan par le jaataa hai।

haa.n jiivan ke li.e kritagya, upkrit aur aabhaarii hokar kisii ke abhimaan puurN aatm-vigyaan ka bhaar Dhotii rahuu.n,—yahii kyaa vidhaata ka nishThur vidhaan hai? chhuTkaaraa nahiin?

manushya kii aatma uske bhaagya se adhik ba.Dii hotii hai

manushya kii aatma uske bhaagya se adhik ba.Dii hotii hai

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

jagat me.n niyti hii sab ka kaaraN hai। niyti hii samast karmo.n ka saadhan hai। niyti hii samast praaNiyo.n ko vibhinn karmo.n me.n niyukt karne ka kaaraN hai।

kisi bhi mamle mein, prasannata pane ki chaah rakhne vale sabhi manushya is arth mein asaphal hote hi hain ki achchha bhagya khojne se nahin milta, wo keval god mein apne aap gir sakta hai.

samay kii gati ke anusaar badalne vaalii jagat kii bhaagya dashaa pahi.e ke aro.n kii bhaa.nti (u.upar-niiche) hotii rahtii hai।

आपका भाग्य वह स्तर है, जहाँ आप अपनी धुन बजाते हैं। आप अपना वाद्ययंत्र नहीं बदल सकते, लेकिन आप अपने पास मौजूद वाद्ययंत्र से कितनी अच्छी धुन बनाते हैं, यह पूरी तरह आप पर निर्भर करता है।

quote

purushaarth ka sahaara paakar hii bhaagya bhalii bhaa.nti ba.Dhtaa hai।

nirantar athak parishram karne vaale bhaagya ko bhii paraast kar denge।

nirantar athak parishram karne vaale bhaagya ko bhii paraast kar denge।

  • विषय : 1
quote

niyti dustar samudr ko paar karaatii, chirkaal ke atiit ko vartamaan se kshaN bhar me.n jo.D detii hai aur parichit maanavta - sindhu me.n se usii ek se parichay kara detii hai jisse jiivan kii agrgaaminii dhaara apnaa path nirdishT kartii hai।

manushya ko tapasyaa se ruup, saubhaagya aur naana prakaar ke ratn praapt hote hain। is prakaar karm se sab kuchh praapt hotaa hai, lekin jo bhaagya ke bharose rahtaa hai, us akarmanya ko kuchh nahii.n miltaa

kaantihiin ke ang par alankaar bhii apne bhaagya ko rote hain।

kisi bhi manushya tatha uske bhagya ki tulna, dusre manushya ya uske bhagya se nahin ki ja sakti.

ba.De logo.n ke man me.n jin vastu.o.n kii abhilaasha utpann hotii hai, bhaagya unhe.n upasthit karne me.n der nahii.n lagaataa maano vah bhii pahle se unkii sevaa kartaa rahtaa hai

saare dviipo.n me.n jiske guNo.n kii prshansaa hotii hai, ratnasmuuh ka jo upaarjan kar letaa hai, a.isaa purush ko vidhi asamay usii prakaar paTak detaa hai jaise vaayu jahaaj ko।

vidhaan kii syaahii ka ek bindu girkar bhaagyalipi par kaalimaa cha.Dhaa detaa hai।

bhavishya ka vichaar kar kaarya karne vaala aur upasthit vipatti ke pratikaar me.n samarth buddhivaalaa - ye dono.n vyakti sukh praapt karte hai.n lekin jo honaa hai vah hogaa - is prakaar bhaagya par nirbhar rahne vaala vyakti nashT ho jaataa hai।

"mujhe bhi vahi bhagya milega, aur auDbaul ko, aur bahar ke mrig ko; ek din hum sabhi sirf shav honge. "

jo kaayar hai, jisme.n paraakram ka naam nahii.n hai, vahii ka bharosaa kartaa hai।

prkriti badli nahin ja sakti. bhagya ka parivartan sambhav nahin hai. kaal ruk nahin sakta. "tao" ka pratibodh nahin ho sakta. tao ke praapt karne par aisi koi vastu nahin hai jo praapt nahin ho jati. uske praapt na hone par koi bhi vastu praapt nahin kahi ja sakti.

bhaagya vichitr hotaa hain।

bhaagya vichitr hotaa hain।

quote

jaise chanchal bijlii kshaN bhar apnii chamak dikhaakaranhii.n bajrpaat karne lag jaatii hai, usii prakaar niyti bhii pahle logo.n par sukh kii chamak dikhaatii hai aur phir bajr ke samaan bhiishaN duःkha giraane lag jaatii hai

mai.n niyti ke chakkar me.n hii ghuum rahii huun-vishraam kii manjil mujhe kab tak milegii

bhaagya ko purushaarth ke dvaara kaun miTaa saktaa hai

kastuurii bahut kaalii aur karuup hotii hai par kaa.nTe par tolii jaatii hai। parantu he raajiyaa! shakkar bahut sundar hone par bhii patthro.n se tolii jaatii hai।

bhaagya ka lekh kaun Taal saktaa hai?

bhaagya ka lekh kaun Taal saktaa hai?

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

متعلقہ موضوعات

हिन्दवी उत्सव, 27 जुलाई 2025, सीरी फ़ोर्ट ऑडिटोरियम, नई दिल्ली

रजिस्टर कीजिए