Font by Mehr Nastaliq Web

پر

quote

sansar ke utkrisht mastishk vale sankalpvan prani mein aur ek sadharan manushya mein bhi jo bhed hai, wo man ki shaktiyon ke bhed ke karan hai.

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

manasik tasvir dekhana apne mastishk mein tasviren banane ki prakriya hai. is prakriya mein aap apni manchahi chizon ka anand lete hain. jab aap kalpana karte hain, to aap us cheez ke apne paas hone ke sashakt vichar aur bhavnayen utpann karte hain. phir akarshan ka niyam usi cheez ko sach karke aapke jivan mein bhej deta hai, jis roop mein aapne use apne mastishk mein dekha tha.

vicharon ki asimit apurti aapke liye uplabdh hai. samucha gyaan, avishkar aur khojen brahmanDiy mastishk mein sambhavnaon ke roop mein maujud hain aur manaviy mastishk dvara unhen bahar nikalne ka intzaar kar rahin hain. har cheez apaki chetna mein hai.

manasik shreshthta, aam mamlon mein ya kinhin khaas mamlon mein, aur charitr ki driDhta hamesha apna Danka bajvakar rahengi.

    اور 2 مزید
quote

saiddhantik roop se ye sambhav hai ki hum jaise jaise umr ko maat dena seekh len, vaise vaise hum apni ghatti manasik kshamtaon ke bare mein bhi kuch kar saken, lekin abhi tak, mastishk ko jitna sabse mushkil kaam sabit hua hai.

apne dil ka kaha mano, lekin apne dimagh ko saath lekar chalo.

  • विषय : 1
quote

aapka mastishk aapke aas paas ki duniya ko akar de raha hai.

kisi bhi sakriy aur uurjavan mastishk ko agar svtantrta se vanchit rakha jayega, to wo ghalat disha mein vikas karega, wo kisi bhi tarah satta praapt karne ka prayas karega.

kisi bhi sakriy aur uurjavan mastishk ko agar svtantrta se vanchit rakha jayega, to wo ghalat disha mein vikas karega, wo kisi bhi tarah satta praapt karne ka prayas karega.

  • विषय : 1
    اور 1 مزید
quote

vyaktigat sampatti ki shuruat us samay se shuru hui jab kisi ne apna khud ka dimagh rakhna shuru kiya.

hindu mastishk ka jhukav sada nigamniy athva sadharan satya ke sahare vishesh satya tak pahunchne ki or raha hai, na ki agamnik athva vishesh satya ke sahare sadharan satya ki or.

hamara mastishk smriti ka upakran hai—un ghatnaon ki smriti jo ghatit ho chuki hain, hamara anubhav, ityadi yani smriti ki puri prishthabhumi.

jiska vishvas jitna kam hai wo utna undeveloped (aviksit) hai, buddhi utni kam teekshn hain.

satya ka maarg khojne ke liye hamein dimagh ki nahin, balki dil ki zarurat hoti hai. sachcha maarg khojne ke liye hamein apne dimagh ki nahin, balki dil ki raah par chalna chahiye. chunautiyon ke samne khaDe hokar aur dil se unka samna karke hum apne ahankar ko niyantrit kar sakte hain. aur hamein pata hona chahiye ki hamara ahankar hamein iishvar ke gyaan ki or le jayega.

yatharth indriy chakshu ke pichhe hai— wo mastishk mein avasthit naDikendr hai.

yogi dava karte hain ki manushydeh mein jitni shaktiyan hain, unmen oj sab se utkrisht koti ki shakti hai. ye oj mastishk mein sanchit rahta hai. jiske mastishk mein oj jitne adhik pariman mein rahta hai, wo utna hi adhik buddhiman aur adhyatmik bal se bali hota hai.

jis mastishk ko uske khud ke niyantran se vanchit rakha jayega, wo dusron ka niyantran praapt karne ka prayas karke apni ichchhaon ko santusht karega.

jis mastishk ko uske khud ke niyantran se vanchit rakha jayega, wo dusron ka niyantran praapt karne ka prayas karke apni ichchhaon ko santusht karega.

  • विषय :
    اور 2 مزید
quote

mastishk dvara kiya gaya koi bhi arthpurn utpadan apni ek maulikta rakhta hi hai.

manushya ka gyaan kitna kalsapeksh aur sthitisapeksh hai, ye chintan ke itihas se jana ja sakta hai.

man—jismen mastishk aur hriday samavisht hai—ko poorn sangati mein hona chahiye.

simit logon se parichay ho, zindagi mein khud ke liye vaqt ho, bina matlab dusron ki dakhalandazi na ho, dimagh shaant rahe to dil khush rahta hai.

brahmacharya ke bina rajayog ki sadhana baDe khatre ki hai; kyonki usse ant mein mastishk mein visham vikar paida ho sakta hai.

brahmacharya ke bina rajayog ki sadhana baDe khatre ki hai; kyonki usse ant mein mastishk mein visham vikar paida ho sakta hai.

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

mastishk ke hajaaro.n netr hote hain, aur hriday ka ek, parantu prem ke samaapt hote hii sampuurN jiivan ka parkaash samaapt ho jaataa hai।

mastishk ke hajaaro.n netr hote hain, aur hriday ka ek, parantu prem ke samaapt hote hii sampuurN jiivan ka parkaash samaapt ho jaataa hai।

  • विषय : 1
    اور 2 مزید
quote

mastishk me.n aaya hu.a vichaar manushya ke charitr ka aarambh hai।

mastishk me.n aaya hu.a vichaar manushya ke charitr ka aarambh hai।

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

jiivan kanTakmay hai eva.n yovan nirarthak। aur premii ka rushT ho jaana mastishk me.n paagalpan ka saa kaam kartaa hai।

bhaashaa maanav mastishk kii vah shastrashaala hai jisme.n atiit kii saphaltaa.o.n ke jayasmaarak aur bhaavii saphaltaa.o.n ke li.e astra-shastr, ek sikke ke do pahalu.o.n kii tarah saath saath rahte hain।

dimagh to vastav mein bimar ho nahin sakta, sangyanatmak ayam hi sahi ya ghalat vaidh ya avaidh ho sakta hai, lekin bimar nahin ho sakta. jo cheez bimar ho sakti hai, rogi ho sakti hai, wo manasikta hai.

बुद्धि से किया गया कोई भी काम आसानी से नहीं टूटता, जबकि प्यार आसानी से टूट कर बिखर जाता है।

  • विषय : 1
quote

mastishk - vah yantr jisse ham sochte hai.n ki ham sochte

mastishk - vah yantr jisse ham sochte hai.n ki ham sochte

  • विषय :
quote

tumhare gyan ki qimat tumhare kamon se hogi sainkDon kitaben dimagh mein bhar lene se kuch labh mil sakta hai kintu uski tulna mein kaam ki qimat kai guna zyada hai dimagh mein bhare hue gyan ki qimat uske anusar kiye ge kaam ke barabar hi hai baqi ka sab gyan dimagh ke liye wyarth ka bojh hai

bahut udrasth karne ke bajaye thoDa kanthasth karna zyada achchha hai.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

متعلقہ موضوعات

हिन्दवी उत्सव, 27 जुलाई 2025, सीरी फ़ोर्ट ऑडिटोरियम, नई दिल्ली

रजिस्टर कीजिए