Font by Mehr Nastaliq Web

پر

quote

darshan tark-vitark kar saktaa hai aur shikshaa de saktaa hai, dharm updesh de saktaa hai aur aadesh de saktaa hai; kintu kala keval aanand detii hai aur prasann kartii hai।

buddhimaan purush gyaanvaan hone par bhii binaa puuchhe ya anyaayapuurvak puuchhne par kisii ko ko.ii updesh na kare, ja.D kii bhaa.nti chupchaap baiThaa rahe।

  • विषय :
    اور 1 مزید
quote

updesh karo apne liye, tabhii tumhaaraa updesh saarthak hogaa। jo kuchh duusro.n se karvaanaa chaahte ho, use pahle svaya.n karo; nahii.n to tumhaare naaTk ke abhinay ke sivaa aur kuchh bhii nahii.n hai।

shabdo.n kii apeksha karm adhik pukaar-pukaar kar updesh dete hain।

guru ka updesh nirmal hone par bhii asaadhu purush ke kaan me.n jaane par usii prakaar dard utpann kartaa hai jaise jal।

  • विषय : 1
    اور 1 مزید
quote

sahridyo.n kii uktiyaa.n tarko.n se yukt, updesho.n se paripuurN aur svaanubhuuti se anyo.n ko bhii parichit kara dene me.n samarth hotii hain।

praayः buddhimaan hii updesh ke yogya hote hain, muurkh nahiin।

ham maa.n ka stanpaan karke ba.De hote hain, isli.e maa.n ke updesh aur shikshaa jitna prabhaav Daal sakte hain, utnaa anya baate.n nahiin।

yathaarthavaad bhale kii upeksha karke bure ke chitraN ko nahii.n kahaa ja saktaa, phir vah chitraN kitnaa bhii yathaarth kyo.n na ho। isii prakaar us chiiz ko aadarshavaad nahii.n kah sakte jo keval ruu.Dhi samarpit sadaachaar ke updesh ka naamaantar hai।

anya kisii vastu ko ham itnii anichchha se nahii.n sviikaarte jitna updesh ko।

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

متعلقہ موضوعات

हिन्दवी उत्सव, 27 जुलाई 2025, सीरी फ़ोर्ट ऑडिटोरियम, नई दिल्ली

रजिस्टर कीजिए