samaaj ne striimaryaadaa ka jo muulya nishchit kar diyaa hai, keval vahii uskii guruta ka maapdanD nahiin। strii kii aatma me.n uskii maryaada kii jo siimaa ankit rahtii hai, vah samaaj ke muulya se bahut adhik guru aur nishchit hai, isii se sansaar bhar ka samarthan paakar jiivan ka saudaa karne vaalii

tumhaare haath svaarthamyii prithvii kii kalush-kaalimaa ponchh dete hain। prem ke diip jalaakar, kartavya kii tapasyaa se tum sansaar-path me.n garima ka vitraN kartii ho।

ghar kii diivaaro.n me.n strii ko maryaadit rakhnaa kis kaam ka? vaastavik maryaada to uskaa satiitv hii hai।

bolne me.n maryaada mat chho.Dnaa। gaaliyaa.n denaa to kaayro.n ka kaam hai।

pariwar maryadaon se banta hai paraspar karttawya hote hain, anushasan hota hai aur us niyat parampara mein kuch janon ki ikai ek hit ke asapas jutkar wyooh mein chalti hai us ikai ke prati har sadasya apna atmadan karta hai, izzat khandan ki hoti hai har ek usse labh leta hai aur apna tyag deta hai

bhauhen teDhi karne par bhi drishti aur adhik utsuk hokar udhar dekhne lagti hai, wani ruddh hone par bhi ye dagdh mukh muskraye bina nahin rahta, chitt ko kathor karne par bhi sharir pulkit ho jata hai bhala uski drishti ke samne man ka nirwah kis tarah hoga?

aagyaa ka ullanghan karne vaalii prajaa jo man me.n aataa hai, boltii hai aur jo man me.n aataa hai, kartii hai tathaa is prakaar sabhii maryaadaa.o.n ko ast-vyast kar detii hai। maryaadaarhit samaaj is lok aur parlok se svaamii aur svaya.n ko gira detaa hai।

koi kalakriti ab wo nahin rah gai hai jo wo hua karti thi. uski satta nasht ho chuki hai.

mitr ko kritagya, dharmanishTh, satyavaadii, ksh udrtaahit, dri.Dh nishTha vaala, jitendriy, maryaada me.n sthit aur mitr ko na tyaagne vaala honaa chaahi.e।

satii kii sthiti (maryaada) mriNaaltantu ke samaan hai jo tho.Dii bhii chapaltaa se TuuT jaatii hai।

uchit paabandii ko nibhaakar chalnaa utnaa hii kalyaaN-kaarii hai, jitna anuchit paabandii ko to.D kar chalnaa।

maryaada? bhaagya ne jhukne ke li.e jinhe.n parvash kar diyaa hai, un logo.n ke man me.n maryaada ka dhyaan aur bhii adhik rahtaa hai yah unkii dayniiy dashaa hai।

duusro.n ko maryaada dekar, duusro.n se maryaada praapt karnaa chaahi.e।

jahaa.n Diing samaapt hotii hai, vahaa.n pratishThaa praarambh hotii hai।

ham maryaada ko to.Dte hain, to uchchhrinkhal ho jaate hai.n aur bandhan ko to.Dte hai.n to vidrohii।

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere