beimani itni purani baat ho gai hai ki ab koi beimani ki baat kare, to lagta hai, baDa pichhDa hua adami hai.

manushya ko chahiye ki wo jis sthiti mein bhi ho, mrityu ki parvah na karke kartavya ka palan kare. mrityu ki apeksha adharm se adhik Darna chahiye.

nakli bhakti yukt manushya updesh nahin le sakta, updeshta ke roop mein updesh de sakta hai; isiliye koi use updesh deta hai to uske chehre par kosh ke lakshan, virakti ke lakshan, sang chhoDne ki cheshta ityadi lakshan praayः aspasht parkash pate hain.

charitravan aur charitrahin mein kul itna farq hai—ek pakDa nahin jata aur dusra pakDa jata hai. jiski dabi hai, wo charitravan aur jiski khul gai wo charitrahin.

kusanskaron ki jaDen baDi gahri hoti hain.

sabse zyada anaitikta dharmik vishvas hi phailate hain.

dharmik kattarta sadharan manushya ko kisi kisi avsar par manushya nahin rahne deti, use pashu bana deti hai.

bharatiy baniya sanskriti ek alag hi sanskriti hai. is sanskriti ka lakshan hai ki kisi bhi mamle mein adami ke man mein pahile ye vichar aata hai ki main ismen kahan beimani kar sakta hoon.

naitik giravat svayan ek lakshan hai, jo anya ghatna krmon ya anya manasik vikar drishyon ka karan ho sakti hai.

ghalat lakshya vale vyakti ka chuna jana zyada behtar hai bajaye us vyakti ke jiska lakshya bhale achchha ho lekin wo sandigdh tariqon se jitna chahe.

anautik ka naitik ke prati vidroh naitikta ki unnati aur uske parishkar ka karan hai.

seva Dhang se ki jaye, to wo dhandha bhi ho jati hai.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere