Font by Mehr Nastaliq Web

پر

quote

ahinsaa, satya bolnaa, kruurata tyaag denaa, man aur indriyo.n ko sanyam me.n rakhnaa tathaa sabke prati dayaabhaav banaaye rakhnaa inhii.n ko dhiir purusho.n ne tap maana hai, shariir ko sukhaanaa tap nahii.n hai।

  • विषय :
    اور 2 مزید
quote

snaan karne, daan dene, shaastr pa.Dhne, vedaadhyyan karne ko tap nahii.n kahte। na tap yog hii hai aur na yagya karnaa। tap ka arth hai vaasana ko chho.Dnaa, jisme.n kaam-krodh ka sansarg chhuuTtaa hai।

    اور 4 مزید
quote

man kii prasannataa, saumyata, maun, aatm-nigrah aur bhaavshuddhi ko maanasik tap kahaa jaataa hai।

  • विषय : 1
quote

yadi tapasyaa asaphal hu.ii to bal aur bal ke asaphal hone par tap।

tap paramtattv ka prakaashak pradiip kahaa gayaa hai। aachaar dharm ka saadhak hai। gyaan parabrahmasvruup hai। sannyaas uttam tap kahaa jaataa hai।

tap se hu.a kyaa laabh jab dushkarm me.n hii liin ho।

tap se hu.a kyaa laabh jab dushkarm me.n hii liin ho।

  • विषय :
quote

jo udveg na karne vaala, satya, priy aur hitkaarak bhaashaN hai, aur jo svaadhyaay ka abhyaas karnaa hai, usko vaachik tap kahte hain।

satya ke samaan ko.ii tap nahii.n hai।

satya ke samaan ko.ii tap nahii.n hai।

  • विषय : 1
quote

saadhan kii aavashyakta saamaanya logo.n kii hotii hai, yogiyo.n ke to sabhii kaam tap se hii puure hote hain।

devtaa, braahmaN, guru aur gyaanii jano.n ka puujan eva.n pavitartaa, saraltaa, brahmachaya.n aur ahinsaa ko shariir sambandhii tap kahaa jaataa hai।

nishchay hii abhaav me.n aanandaanubhav karnaa tap hai।

arth-sanchay kii apeksha tap-sanchay hii shreshTh hai।

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

متعلقہ موضوعات

हिन्दवी उत्सव, 27 जुलाई 2025, सीरी फ़ोर्ट ऑडिटोरियम, नई दिल्ली

रजिस्टर कीजिए