jaise upanyas ka sach sansar ke sach se zyada sachcha hota hai, usi tarah hamara puran satya, hamara mithak satya—apke itihas satya se kahin zyada uncha hai.

prem ki bhavna hum sabhi ko dusre vyakti ko janne ki bhramak mithya dharna deti hai.

raam ya krishn ki daivi chhavi ke bhaav ka ek parichit abhineta ke vyaktitv mein vightit ho jana us aadi mithak shakti ka avmulyan hai jise kavita ahvanatmak Dhang se istemal karti hai. kavita ka tariqa agar udbodhnatmak hai to tivi ya sinema ka sidha sidha vitran; inhen hum sharir ki ankhon se dekhte hain, jabki ek shabd rachna ko man aur kalpana ki ankhon se.

mithak mein na maatr smran sakshyon ke siddhant ka siddhant nihit hai varan saath hi vismran ka siddhant bhi.

jab prithvi nahin thi, surya tab bhi tha. kintu uska uday ast nahin tha, din raat nahin the, varsh nahin the, ritu parivartan bhi nahin tha. ye sabhi prithvi ke aane ke baad aaye. surya ko sarthakta prithvi ne di. agar prithvi na hoti to suraj akarath ho jata. prithvi na hoti to saur manDal mein maut ka sannta hota. surya ke aur bhi balak hain zarur, par ve to mare hue janme the! kisi mein bhi praan pratishtha na ho saki. surya ki jivit santan to hai ekmaatr prithvi!

parampara na mithak hoti hai, na itihas. donon ke tattv usmen ghule mile hote hain.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere