सारी रात मैं सोया रहा तुम्हारे संग
सागर के पास, इस द्वीप पर ।
तुम उग्र और मधुर थी सुख-सपनों के बीच,
अग्नि और जल के बीच
कुछ पश्चात्
हमारे सपनों का मिलन हुआ
ऊँचाइयों पर या गहराइयों में,
एक-सी हवा से मानो ऊपर झूम रही हों टहनियाँ
नीचे मानो लाल जड़ों का आपस में हो रहा हो स्पर्श।
शायद तुम्हारे स्वप्न
बिछड़ गए मेरे स्वप्नों से और सागर के अंधकार में
तुम ढूँढ़ रही थी मुझे
पहले जैसे
जब तुम थी ही नहीं
जब तुम्हें देखे बिना
मैं तुम्हारी बग़ल से तैर कर गुज़रा
तुम्हारी आँखें ढूँढ़ती रहीं
वह जो अब
—रोटी, मदिरा, प्रेम और क्रोध—
मैं तुम्हें जी भर देता हूँ
क्योंकि तुम एक चषक हो
जो मेरे जीवन की प्रतिभा की प्रतीक्षा करता था।
मैं सोया था साथ तुम्हारे
सारी रात जब
अंधकार में डूबी पृथ्वी घूम रही थी
जीवित और मृत प्राणियों के साथ
और सहसा मेरे जागने पर
नीम अँधेरे
मेरी बाँहों ने घेरी तुम्हारी कमर
न रात्रि, न स्वप्न
हमें अलग कर पाए
मैं सोया था साथ तुम्हारे
और जागने पर
तुम्हारे सपनों से बाहर आकर
तुम्हारे मुख ने
मुझे चखाया स्वाद मिट्टी का,
समुद्र के जल का, समुद्री शैवाल का
अपने जीवन की गहराई का,
और मुझे मिला तुम्हारा चुंबन
भोर से भीगा हुआ
लगता है उमड़ कर आया हो उस समुद्र से
जिसने हमें घेरा है।
sari raat main soya raha tumhare sang
sagar ke paas, is dveep par.
tum ugr aur madhur thi sukh sapnon ke beech,
agni aur jal ke beech
kuch pashchat
hamare sapnon ka milan hua
uunchaiyon par ya gahraiyon mein,
ek si hava se mano uupar jhoom rahi hon tahniyan
niche mano laal jaDon ka aapas mein ho raha ho sparsh.
shayad tumhare svapn
bichhaD ge mere svapnon se aur sagar ke andhkar men
tum DhoonDh rahi thi mujhe
pahle jaise
jab tum thi hi nahin
jab tumhein dekhe bina
main tumhari baghal se tair kar guzra
main tumhari ankhen DhunDhati rahin
wo jo ab
—roti, madira, prem aur krodh—
main tumhein ji bhar deta hoon
kyonki tum ek chashak ho
jo mere jivan ki pratibha ki prtiksha karta tha.
main soya tha saath tumhare
sari raat jab
andhkar mein Dubi prithvi ghoom rahi thi
jivit aur mrit praniyon ke saath
aur sahsa mere jagne par
neem andhere
meri banhon ne gheri tumhari kamar
na ratri, na svapn
hamein alag kar pae
main soya tha saath tumhare
aur jagne par
tumhare sapnon se bahar aakar
tumhare mukh ne
mujhe chakhaya svaad mitti ka,
samudr ke jal ka, samudri shaival ka
apne jivan ki gahrai ka,
aur mujhe mila tumhara chumban
bhor se bhiga hua
lagta hai umaD kar aaya ho us samudr se
jis ne hamein ghera hai.
sari raat main soya raha tumhare sang
sagar ke paas, is dveep par.
tum ugr aur madhur thi sukh sapnon ke beech,
agni aur jal ke beech
kuch pashchat
hamare sapnon ka milan hua
uunchaiyon par ya gahraiyon mein,
ek si hava se mano uupar jhoom rahi hon tahniyan
niche mano laal jaDon ka aapas mein ho raha ho sparsh.
shayad tumhare svapn
bichhaD ge mere svapnon se aur sagar ke andhkar men
tum DhoonDh rahi thi mujhe
pahle jaise
jab tum thi hi nahin
jab tumhein dekhe bina
main tumhari baghal se tair kar guzra
main tumhari ankhen DhunDhati rahin
wo jo ab
—roti, madira, prem aur krodh—
main tumhein ji bhar deta hoon
kyonki tum ek chashak ho
jo mere jivan ki pratibha ki prtiksha karta tha.
main soya tha saath tumhare
sari raat jab
andhkar mein Dubi prithvi ghoom rahi thi
jivit aur mrit praniyon ke saath
aur sahsa mere jagne par
neem andhere
meri banhon ne gheri tumhari kamar
na ratri, na svapn
hamein alag kar pae
main soya tha saath tumhare
aur jagne par
tumhare sapnon se bahar aakar
tumhare mukh ne
mujhe chakhaya svaad mitti ka,
samudr ke jal ka, samudri shaival ka
apne jivan ki gahrai ka,
aur mujhe mila tumhara chumban
bhor se bhiga hua
lagta hai umaD kar aaya ho us samudr se
jis ne hamein ghera hai.
स्रोत :
पुस्तक : प्यास से मरती एक नदी (पृष्ठ 306)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक विभा मौर्य, मीना ठाकुर
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.