दुआ यही है ऐ सनम ये दोस्ती बनी रहे।
ख़ुशी का दौर हो या ग़म ये दोस्ती बनी रहे॥
ये साँस साँसतों में हो या अडचनों में धड़कनें।
बदन में जब तलक है दम ये दोस्ती बनी रहे॥
ये ज़र ज़मीं ये दौलतें बढ़ें घटें मिटें लुटें।
कभी न उलफ़तें हों कम ये दोस्ती बनी रहे॥
ज़ईफ़ हम हुए तो क्या ये दिल अभी जवान हैं।
थकें न औ' रुकें कदम ये दोस्ती बनी रहे॥
जनम हो बार-बार गर तो यार फिर यही मिलें।
इसी तरह जनम-जनम ये दोस्ती बनी रहे॥
हँसी मज़ाक दिल्लगी औ' मसखरी मखौल का।
ये सिलसिला न हो ख़त्म ये दोस्ती बनी रहे॥
पचास साल बाद फिर किले पे हम गले मिले।
किले की आँख भी है नम ये दोस्ती बनी रहे॥
भुला न पाएँगे कभी भी एक-दूसरे को हम।
किला हमें किले को हम ये दोस्ती बनी रहे॥
भूलना कभी भी तुम वो शोखियाँ शरारतें।
तुम्हें है ज्ञान की क़सम ये दोस्ती बनी रहे॥
dua yahi hai ai sanam ye dosti bani rahe.
khushi ka daur ho ya gham ye dosti bani rahe॥
ye saans sansaton mein ho ya aDachnon mein dhaDaknen.
badan mein jab talak hai dam ye dosti bani rahe॥
ye zar zamin ye daulten baDhen ghaten miten luten.
kabhi na ulaften hon kam ye dosti bani rahe॥
zaif hum hue to kya ye dil abhi javan hain.
thaken na au ruken kadam ye dosti bani rahe॥
janam ho baar baar gar to yaar phir yahi milen.
isi tarah janam janam ye dosti bani rahe॥
hansi mazak dillgi au masakhri makhaul ka.
ye silsila na ho khatm ye dosti bani rahe॥
pachas saal baad phir kile pe hum gale mile.
kile ki ankh bhi hai nam ye dosti bani rahe॥
bhula na payenge kabhi bhi ek dusre ko hum.
kila hamein kile ko hum ye dosti bani rahe॥
bhulna kabhi bhi tum wo shokhiyan shararten.
tumhein hai gyaan ki qasam ye dosti bani rahe॥

स्रोत :
रचनाकार : ज्ञानराज माणिकप्रभु
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.