Font by Mehr Nastaliq Web

1 پر

saa.nch baraabari tap nahii.n, jhuuTh baraabar paap।

jaake hirdai saa.nch hai taakai hriday aapa||

muwa hai mari jahuge,muye ki baji Dhol॥

sapan sanehi jag bhaya,sahidani rahigau bol॥

sab te sancha bhala,jo sancha dil hoy॥

sanch bina nahina,koti kare jo koy॥

sab te sancha bhala,jo sancha dil hoy॥

sanch bina nahina,koti kare jo koy॥

  • विषय : 1

fitrat hai insaan ki, sabke alag vichar.

kuch to sach ko sach kahen, kuch karte inkaar

  • विषय :
    اور 2 مزید

anrt vachan maya rachan, ratnavali bisari.

maya anrit karne, sati taji tripurari॥

anrt vachan maya rachan, ratnavali bisari.

maya anrit karne, sati taji tripurari॥

  • विषय : 1

aaj yahan to kal vahan, jag mein phire faqir॥

achchhe din ke aas mein, nainan barse neer॥

itna mat abhiman kar, kaun yahan hai saath.

sab marne ke baad mein, chhukar dhote haath॥

jhooth jhooth hai sach nahin, sach se jinda jhooth.

mite jhooth jab sach hate, jaise jal kar thoonth.

aaye sab bin vastra ke, laDen kafan ko aaj.

saath vahi jaye kafan, jaye takht na taaz॥

samajh samajh samjha nahin, samajh nahin thi yaar.

wo to mere paas hai, DhoonDh raha bekar॥

karm sahi to sab sahi, patri par hai rel.

bura bhala koi nahin, qudrat ka sab khel॥

saqi aisi mat pila, chaDhkar utre yaar.

ek baar aisi pila, bhav sagar ho paar॥

saqi aisi mat pila, chaDhkar utre yaar.

ek baar aisi pila, bhav sagar ho paar॥

  • विषय :

hua nahin hai kal kabhi, mat le kal ka naam.

jo kuch hai wo aaj hai, kal ka kal kya kaam॥

sach kahna hai ab bura, kahe yahan sach kaun.

sach ke dushman hain sabhi, achchha hai jo maun॥

sabko jana ek din, bhala bura kya sant.

raha sada koi nahin, sabka hoga ant॥

sabko jana ek din, bhala bura kya sant.

raha sada koi nahin, sabka hoga ant॥

  • विषय :

sach se fursat hai nahin, kaise bole jhooth.

uski dukan jhooth ki, dhandha hai mat rooth॥

sach se fursat hai nahin, kaise bole jhooth.

uski dukan jhooth ki, dhandha hai mat rooth॥

  • विषय : 1

himmat sab mein hai nahin, sach kahne ki baat.

sach ko sach kahta vahi, jo sach par din raat॥

kiDe khayen qabr mein, jab tak rahe sharir.

soch vahan ke drishya ko, kaisi hogi peer॥

sab sabke adhin hain, phir bhi bhed mahin

koi jan binu meen hai, koi jal, binu meen

baDhti umr kabhi nahin, ghatti hai har roz.

jag mein aaya kis liye, karo moksh ki khoj॥

neta ban mantri bano, Digri ka kya kaam.

paDhe likhe bekar sab, ghoom rahe gumnam

kuch din ka bas khel hai, maut hanse ik or.

bachna mushkil maut se, laakh laga le jor॥

kuch din ka bas khel hai, maut hanse ik or.

bachna mushkil maut se, laakh laga le jor॥

  • विषय : 1

jamla kapDa dho.iye, sat ka saabuu laay।

buu.nd j laagii prem kii, Tuuk Tuuk ho jaaya||

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

متعلقہ موضوعات