agar tum jina chahte ho to tumhein pahle apne antim sanskar mein shamil hona chahiye.

bhari puri shavyatra ke liye bahut basi jansampark kaam na dega; log bhool jate hain ya markar ek ajnabi piDhi chhoD jate hain.

agar aap chahte hain ki apaki shavyatra dhumdham se sampann ho to aapko marne se kafi pahle ek vishesh prakar ka jansampark chalana paDega.

mahapurushon ke nidhan par parkon mein honevali sarvajnik sabhayen ya bazar ki haDtal bahut had tak rasm adayagi hai. par rasmen bhi hamari sanskritik virasat aur samajik jivan ka avibhajya ang hai aur yadi yashpal jaise sahityakar ke na rahne par bhi aisi rasmen ada nahin ki jati to usse kuch aise nishkarsh nikalte hain jinse is desh ke sahitykarmiyon ko sahitya ki sthiti ke vishay mein yatharth drishti mil sakti hai.

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere