घटते समय के साथ
धीरे-धीरे धुँधलाने लगा है यह समय भी।
अविराम घटनाओं की रेखा में
एक और सावन—
बिना शोर,
बिना स्मृति—
भीतर ही भीतर रिसकर बह गया।
लेकिन इस निरंतर गिरावट में
सब कुछ घट रहा है—
भीतर कुछ भी नहीं बदल रहा—
न बदल पाने की विवशता में,
बस बढ़ता जा रहा है
बढ़ने का क्रम—
बढ़ रही है उम्र—
जैसे किसी दीवार पर
चुपचाप फैलता हो
नमी का एक अदृश्य धब्बा।
बढ़ रही हैं साँसें—
हर नई साँस,
पिछली से अधिक बोझिल।
बढ़ रही हैं त्रासदियाँ, महामारियाँ—
मानो हर भूख, हर भय, हर प्रेत
काल के कंधों पर चढ़
हर देह में उतर रहा हो।
और
बढ़ रही है हृदय में—
उमस—
एक ऐसी गंधहीन चिपचिपाहट,
जो समय को छूकर
भीतर गीला कर जाती है।
वर्षा के बाद भी
हृदय में नहीं उतर रही शरद—
टूट रही है धीरे-धीरे
वर्षा के बाद शरद के आगमन की परंपरा।
अब वर्षा,
शरद को जन्म नहीं देती—
वह स्वयं ही थकी हुई दाई बन गई है,
जो पुराने कपड़े समेटकर
मौन बैठी रहती है।
इन भीगे दिनों में,
जब मैं बालकनी से देखता हूँ—
तो दिखता है
पशु-पक्षियों का संघर्ष,
क्रूरता भरी बिजली की कड़कड़ाहटों में
कुत्तों का रुदन—
चूहों के घरों का दमन।
छिपते चूहे—
रोते कुत्ते—
और उनके डर के बीच
डूबती जा रही है—
मिट्टी से उठने वाली
पहली वर्षा की सुगंध की परंपरा।
अब प्रेम में भी नहीं उतरती शरद—
वहाँ भी पसरी हैं
उमस की परतें—
जो छूने पर
छोड़ जाती हैं
स्मृतियों की गंध।
अब विरह, तकिए पर नहीं—
कमरे की हर दीवार पर उग आया है—
जैसे कोई फफूँदी—
धीरे-धीरे आत्मा तक
चढ़ती हुई।
ghatte samay ke saath
dhire dhire dhundhlane laga hai ye samay bhi.
aviram ghatnaon ki rekha men
ek aur savan—
bina shor,
bina smriti—
bhitar hi bhitar riskar bah gaya.
lekin is nirantar giravat men
sab kuch ghat raha hai—
bhitar kuch bhi nahin badal raha—
na badal pane ki vivashta mein,
bas baDhta ja raha hai
baDhne ka kram—
baDh rahi hai umr—
jaise kisi divar par
chupchap phailta ho
nami ka ek adrishya dhabba.
baDh rahi hain sansen—
har nai saans,
pichhli se adhik bojhil.
baDh rahi hain trasadiyan, mahamariyan—
mano har bhookh, har bhay, har pret
kaal ke kandhon par chaDh
har deh mein utar raha ho.
aur
baDh rahi hai hriday men—
umas—
ek aisi gandhhin chipachipahat,
jo samay ko chhukar
bhitar gila kar jati hai.
varsha ke baad bhi
hriday mein nahin utar rahi sharad—
toot rahi hai dhire dhire
varsha ke baad sharad ke agaman ki parampara.
ab varsha,
sharad ko janm nahin deti—
wo svayan hi thaki hui dai ban gai hai,
jo purane kapDe sametkar
maun baithi rahti hai.
in bhige dinon mein,
jab main balakni se dekhta hoon—
to dikhta hai
pashu pakshiyon ka sangharsh,
krurata bhari bijli ki kaDakDahton men
kutton ka rudan—
chuhon ke gharon ka daman.
chhipte chuhe—
rote kutte—
aur unke Dar ke beech
Dubti ja rahi hai—
mitti se uthne vali
pahli varsha ki sugandh ki parampara.
ab prem mein bhi nahin utarti sharad—
vahan bhi pasri hain
umas ki parten—
jo chhune par
chhoD jati hain
smritiyon ki gandh.
ab virah, takiye par nahin—
kamre ki har divar par ug aaya hai—
jaise koi phaphundi—
dhire dhire aatma tak
chaDhti hui.
ghatte samay ke saath
dhire dhire dhundhlane laga hai ye samay bhi.
aviram ghatnaon ki rekha men
ek aur savan—
bina shor,
bina smriti—
bhitar hi bhitar riskar bah gaya.
lekin is nirantar giravat men
sab kuch ghat raha hai—
bhitar kuch bhi nahin badal raha—
na badal pane ki vivashta mein,
bas baDhta ja raha hai
baDhne ka kram—
baDh rahi hai umr—
jaise kisi divar par
chupchap phailta ho
nami ka ek adrishya dhabba.
baDh rahi hain sansen—
har nai saans,
pichhli se adhik bojhil.
baDh rahi hain trasadiyan, mahamariyan—
mano har bhookh, har bhay, har pret
kaal ke kandhon par chaDh
har deh mein utar raha ho.
aur
baDh rahi hai hriday men—
umas—
ek aisi gandhhin chipachipahat,
jo samay ko chhukar
bhitar gila kar jati hai.
varsha ke baad bhi
hriday mein nahin utar rahi sharad—
toot rahi hai dhire dhire
varsha ke baad sharad ke agaman ki parampara.
ab varsha,
sharad ko janm nahin deti—
wo svayan hi thaki hui dai ban gai hai,
jo purane kapDe sametkar
maun baithi rahti hai.
in bhige dinon mein,
jab main balakni se dekhta hoon—
to dikhta hai
pashu pakshiyon ka sangharsh,
krurata bhari bijli ki kaDakDahton men
kutton ka rudan—
chuhon ke gharon ka daman.
chhipte chuhe—
rote kutte—
aur unke Dar ke beech
Dubti ja rahi hai—
mitti se uthne vali
pahli varsha ki sugandh ki parampara.
ab prem mein bhi nahin utarti sharad—
vahan bhi pasri hain
umas ki parten—
jo chhune par
chhoD jati hain
smritiyon ki gandh.
ab virah, takiye par nahin—
kamre ki har divar par ug aaya hai—
jaise koi phaphundi—
dhire dhire aatma tak
chaDhti hui.
स्रोत :
रचनाकार : हर्षित मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.