यह ताक़तवरों के हमलावर होने का समय है
और निशाना इस बार सिर पर नहीं
सोच पर है
मैं हमलों से घिरी हुई ज़ुबान का
कवि हूँ जिसके
पन्नों से घाव रिसते हैं
मेरी सोच का वर्तमान
अपनी ज़मीन पर अजनबी होकर
अनजानी सरहदों में खो गया है
उधार की भाषा नहीं समझ पाती है मेरी बात
सदी दर सदी
वे मारते ही जाते हैं
अलग-अलग तरीक़ों से मुझे
अपनी मुट्ठी में जकड़ लेना चाहते हैं
मेरा आकाश।
जिन्हें मिट जाने का भय है
उनकी प्यासी देवी
मेरी बलि माँगती है हर बार।
न मैं थकता हूँ
न वे
और यह खेल खेलते हुए हम
पिछली सदियों से निकल आए हैं
इस सदी में
समय बदला पर
न जीने की जिद्दी ज़ुबाँ बदली
न ताक़त के तरीक़े...
ye taqatawron ke hamlawar hone ka samay hai
aur nishana is bar sir par nahin
soch par hai
main hamlon se ghiri hui zuban ka
kawi hoon jiske
pannon se ghaw riste hain
meri soch ka wartaman
apni zamin par ajnabi hokar
anjani sarahdon mein kho gaya hai
udhaar ki bhasha nahin samajh pati hai meri baat
sadi dar sadi
we marte hi jate hain
alag alag tariqon se mujhe
apni mutthi mein jakaD lena chahte hain
mera akash
jinhen mit jane ka bhay hai
unki pyasi dewi
meri bali mangti hai har bar
na main thakta hoon
na we
aur ye khel khelte hue hum
pichhli sadiyon se nikal aaye hain
is sadi mein
samay badla par
na jine ki jiddi zuban badli
na taqat ke tariqe
ye taqatawron ke hamlawar hone ka samay hai
aur nishana is bar sir par nahin
soch par hai
main hamlon se ghiri hui zuban ka
kawi hoon jiske
pannon se ghaw riste hain
meri soch ka wartaman
apni zamin par ajnabi hokar
anjani sarahdon mein kho gaya hai
udhaar ki bhasha nahin samajh pati hai meri baat
sadi dar sadi
we marte hi jate hain
alag alag tariqon se mujhe
apni mutthi mein jakaD lena chahte hain
mera akash
jinhen mit jane ka bhay hai
unki pyasi dewi
meri bali mangti hai har bar
na main thakta hoon
na we
aur ye khel khelte hue hum
pichhli sadiyon se nikal aaye hain
is sadi mein
samay badla par
na jine ki jiddi zuban badli
na taqat ke tariqe
स्रोत :
रचनाकार : तुषार धवल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.