कभी-कभी
मैं तुम्हें याद करती हूँ
इसलिए नहीं
कि भाग्य तुम्हारे से सम्मोहित मैं हूँ
बल्कि इसलिए
नहीं मिटा पाई हूँ अब तक
छाप आत्मा से मैं अपनी
छोड़ गया है
जो छोटा-सा मिलन हमारा
गुज़रा करती जान-बूझकर
लाल-मकां के पास तुम्हारे
बना हुआ है जो गंदली-सी नदी किनारे
मुझे पता है निर्दयता से
धूप-सनी नीरवता प्रिय की
भंग किया करती हूँ
नहीं भले ही हो अब तुम वह
झुके कभी थे प्रेम-पिपासा में जो
मेरे इन अधरों पर
नहीं भले ही हो अब तुम वह
जिसने मेरी इच्छाओं को
अमर किया स्वर्णिम गीतों में
जब शामें होती हैं गीली
और दुबारा मिलन हमारा
हो उठता है बहुत ज़रूरी
(किंतु करूँ क्या)
जब निषिद्ध यह
मैं भविष्य पर गुप्त रूप से
मोहन-मंत्र चलाती हूँ।
kabhi kabhi
main tumhein yaad karti hoon
isliye nahin
ki bhagya tumhare se sammohit main hoon
balki isliye
nahin mita pai hoon ab tak
chhaap aatma se main apni
chhoD gaya hai
jo chhota sa milan hamara
guzra karti jaan bujhkar
laal makan ke paas tumhare
bana hua hai jo gandli si nadi kinare
mujhe pata hai nirdayta se
dhoop sani niravta priy ki
bhang kiya karti hoon
nahin bhale hi ho ab tum wo
jhuke kabhi the prem pipasa mein jo
mere in adhron par
nahin bhale hi ho ab tum wo
jisne meri ichchhaon ko
amar kiya svarnim giton men
jab shamen hoti hain gili
aur dubara milan hamara
ho uthta hai bahut zaruri
(kintu karun kyaa)
jab nishiddh ye
main bhavishya par gupt roop se
mohan mantr chalati hoon
kabhi kabhi
main tumhein yaad karti hoon
isliye nahin
ki bhagya tumhare se sammohit main hoon
balki isliye
nahin mita pai hoon ab tak
chhaap aatma se main apni
chhoD gaya hai
jo chhota sa milan hamara
guzra karti jaan bujhkar
laal makan ke paas tumhare
bana hua hai jo gandli si nadi kinare
mujhe pata hai nirdayta se
dhoop sani niravta priy ki
bhang kiya karti hoon
nahin bhale hi ho ab tum wo
jhuke kabhi the prem pipasa mein jo
mere in adhron par
nahin bhale hi ho ab tum wo
jisne meri ichchhaon ko
amar kiya svarnim giton men
jab shamen hoti hain gili
aur dubara milan hamara
ho uthta hai bahut zaruri
(kintu karun kyaa)
jab nishiddh ye
main bhavishya par gupt roop se
mohan mantr chalati hoon
स्रोत :
पुस्तक : एक सौ एक सोवियत कविताएँ (पृष्ठ 66)
रचनाकार : अन्ना अख्मातोवा
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस, दिल्ली
संस्करण : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.