जब मैं प्रेम करता हूँ अपने से
अच्छा लगता है पानी का दरख़्त
और मेरे भीतर से उछलकर कुछ बीज
प्रवेश करते हैं शब्दों के भीतर
जब मैं प्रेम करता हूँ तुमसे-सबसे
अच्छी लगती है भरी-पूरी नदी
और नक्षत्र-लोक से बरसती दुआएँ
जोत जगाती हैं आँगन के दियों में
जब हम प्रेम करते हैं पृथ्वी से
आँखों में तैरते हैं सातों समुद्र
और पुरखों के सपनों की पताकाएँ
फहराने लगती हैं समय के आकाश में
पानी का दरख़्त नदी में
और नदी समुद्र में मिल जाती है
फिर भी पूरी नहीं होती प्रेम की परिक्रमा
क्षितिजों के पार कुछ ढूँढ़ती ही रहती हैं
कवियों की आँखें।
jab main prem karta hoon apne se
achchha lagta hai pani ka darakht
aur mere bhitar se uchhalkar kuch beej
prawesh karte hain shabdon ke bhitar
jab main prem karta hoon tumse sabse
achchhi lagti hai bhari puri nadi
aur nakshatr lok se barasti duaen
jot jagati hain angan ke diyon mein
jab hum prem karte hain prithwi se
ankhon mein tairte hain saton samudr
aur purkhon ke sapnon ki patakayen
phahrane lagti hain samay ke akash mein
pani ka darakht nadi mein
aur nadi samudr mein mil jati hai
phir bhi puri nahin hoti prem ki parikrama
kshitijon ke par kuch DhunDhati hi rahti hain
kawiyon ki ankhen
jab main prem karta hoon apne se
achchha lagta hai pani ka darakht
aur mere bhitar se uchhalkar kuch beej
prawesh karte hain shabdon ke bhitar
jab main prem karta hoon tumse sabse
achchhi lagti hai bhari puri nadi
aur nakshatr lok se barasti duaen
jot jagati hain angan ke diyon mein
jab hum prem karte hain prithwi se
ankhon mein tairte hain saton samudr
aur purkhon ke sapnon ki patakayen
phahrane lagti hain samay ke akash mein
pani ka darakht nadi mein
aur nadi samudr mein mil jati hai
phir bhi puri nahin hoti prem ki parikrama
kshitijon ke par kuch DhunDhati hi rahti hain
kawiyon ki ankhen
स्रोत :
पुस्तक : जहाँ थोड़ा-सा सूर्योदय होगा (पृष्ठ 175)
रचनाकार : चंद्रकांत देवताले
प्रकाशन : संवाद प्रकाशन
संस्करण : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.