मेज़ इतनी पुरानी थी कि उसका कोई वर्तमान नहीं था।
हमारे बच्चे इतने नए थे कि उनका कोई अतीत नहीं था।
बच्चों का अतीत हमारे पाप में छुपा था।
मेज़ का वर्तमान किसमें था?
मेज़ का चौथा पाया तीन पीढ़ियों से ग़ायब है।
इससे तीन कथाएँ निकलती हैं। एक में चौथा पाया
चिता की लकड़ी बन जाता है। दूसरी में वह अपने
किसी जुड़वाँ को ढूँढ़ने एक दिन पूजा के समय घर
छोड़ देता है। तीसरी में वह हम सबकी सबसे पुरानी
तस्वीर का फ़्रेम बन जाता है।
चौथी कथा भी तीन पीढ़ियों से ग़ायब है।
हममें से अधिकांश नहीं जानते कि वे चौथी
कथा के पात्र हैं।
चौथा पाया किसी अदृश्य स्क्रीन पर चौथी कथा
रच रहा है।
शेष तीनों पाये धीरे-धीरे हिल रहे हैं।
mez itni purani thi ki uska koi wartaman nahin tha
hamare bachche itne nae the ki unka koi atit nahin tha
bachchon ka atit hamare pap mein chhupa tha
mez ka wartaman kismen tha?
mez ka chautha paya teen piDhiyon se ghayab hai
isse teen kathayen nikalti hain ek mein chautha paya
chita ki lakDi ban jata hai dusri mein wo apne
kisi juDwan ko DhunDhane ek din puja ke samay ghar
chhoD deta hai tisri mein wo hum sabki sabse purani
taswir ka frame ban jata hai
chauthi katha bhi teen piDhiyon se ghayab hai
hammen se adhikansh nahin jante ki we chauthi
katha ke patr hain
chautha paya kisi adrshy screen par chauthi katha
rach raha hai
shesh tinon paye dhire dhire hil rahe hain

स्रोत :
पुस्तक : उर्वर प्रदेश (पृष्ठ 240)
संपादक : अन्विता अब्बी
रचनाकार : गिरिराज किराडू
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.