क़तारें लगी हैं
ख़ुदाओं की
बिल्कुल नई
हाल ही की बनी हुई...
वो देखो ज़मीन पर बैठा है कुम्हार बाल
कुछ सस्ती
मिट्टी की मुर्तियाँ लिए
ग़रीब लोग ख़रीदेंगे उन्हें...
वो जो ठेले पर
सजी हैं पत्थरों की मूर्तियाँ
थोड़ी महँगी हैं
मध्यवर्गीय लोगों के लिए हैं...
और वो जो दुकानों में
लोहे और पीतल की मूर्तियाँ हैं...
सोने-चाँदी-सी चमकती हुई
वो अमीरों के लिए हैं...
हर साल नए ख़ुदाओं को
घरों में पनाह मिलती है
और पुराने ख़ुदाओं को
फेंक दिया जाता है
सड़कों के किनारे,
कूड़े में, नदी-नालों में।
हमने ख़ुदाओं की औक़ात बता दी है
बाज़ार में उनकी क़ीमत लगाकर
और उन्हें हर साल
सड़कों के किनारे कूड़ों में
या फिर
नदी-नालों में फेंककर।
qataren lagi hain
khudaon ki
bilkul nai
haal hi ki bani hui
wo dekho zamin par baitha hai kumhar baal
kuch sasti
mitti ki murtiyan liye
gharib log kharidenge unhen
wo jo thele par
saji hain patthron ki murtiyan
thoDi mahngi hain
madhywargiy logon ke liye hain
aur wo jo dukanon mein
lohe aur pital ki murtiyan hain
sone chandi si chamakti hui
wo amiron ke liye hain
har sal nae khudaon ko
gharon mein panah milti hai
aur purane khudaon ko
phenk diya jata hai
saDkon ke kinare,
kuDe mein, nadi nalon mein
hamne khudaon ki auqat bata di hai
bazar mein unki qimat lagakar
aur unhen har sal
saDkon ke kinare kuDon mein
ya phir
nadi nalon mein phenkkar
qataren lagi hain
khudaon ki
bilkul nai
haal hi ki bani hui
wo dekho zamin par baitha hai kumhar baal
kuch sasti
mitti ki murtiyan liye
gharib log kharidenge unhen
wo jo thele par
saji hain patthron ki murtiyan
thoDi mahngi hain
madhywargiy logon ke liye hain
aur wo jo dukanon mein
lohe aur pital ki murtiyan hain
sone chandi si chamakti hui
wo amiron ke liye hain
har sal nae khudaon ko
gharon mein panah milti hai
aur purane khudaon ko
phenk diya jata hai
saDkon ke kinare,
kuDe mein, nadi nalon mein
hamne khudaon ki auqat bata di hai
bazar mein unki qimat lagakar
aur unhen har sal
saDkon ke kinare kuDon mein
ya phir
nadi nalon mein phenkkar
स्रोत :
रचनाकार : वसीम अकरम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.