गाँव लौट आने से याद आया
गाँव में बीता बचपन
गाँव का स्कूल, यूरिया के कट्टे का बना स्कूल का बैग
उसमें ठुंसी हुई बेतरतीब किताबें, कापियाँ
खाकी रंग की पैंट और नीले रंग की बुशर्ट
जो चलती थी कई साल,
पैंट जब हो जाती थी छोटी
मेरी माँ करती थी एक जुगाड़
खोलती थी उसका पोंचा और बढ़ा देती थी उसका जीवन एक और साल
मगर वह दिखता था अजीब, जैसे किसी ने लगा दी हो थेगली
पैर तो ठीक, मगर पिछले हिस्से में उभर आता था एक त्रिभुज आकार का धब्बा
खाकी और कम खाकी रंग का
स्कूल तक तो ठीक
मगर यही बेढंगी पैंट पहन के जाना होता रिश्तेदारी में
किसी की बारात में
लगन में
छूछक में,
भात में
मामा के
भुआ के
मुझे याद आती है गाँव की एक शादी
बज रहे थे ढोल
लोग रहे थे नाच, औरतें रही थीं चहक
वातावरण में फैली थी किसी सस्ते इत्र की ख़ुशबू
नाचते-नाचते किसी शराबी ने उड़ाए दस-दस के कई नोट
हम बच्चे शिकारी कुत्तों की तरह झपट पड़े उन पर
मच गई भगदड़, किसी का पैर टिका मेरे हाथ पर
हाथ आया मेरे हाथ में नोट का एक हिस्सा
मगर तब तक देखूँ कि क्या है
तब तक कान के नीचे पड़ा एक तमाचा और साथ में गाली
“ये साले चमार धानकों के बच्चे”
gaanv laut aane se yaad aaya
gaanv mein bita bachpan
gaanv ka skool, yuriya ke katte ka bana skool ka baig
usmen thunsi hui betartib kitaben, kapiyan
khaki rang ki paint aur nile rang ki bushart
jo chalti thi kai saal,
paint jab ho jati thi chhoti
meri maan karti thi ek jugaD
kholti thi uska poncha aur baDha deti thi uska jivan ek aur saal
magar wo dikhta tha ajib, jaise kisi ne laga di ho thegli
pair to theek, magar pichhle hisse mein ubhar aata tha ek tribhuj akar ka dhabba
khaki aur kam khaki rang ka
skool tak to theek
magar yahi beDhangi paint pahan ke jana hota rishtedari men
kisi ki barat men
lagan men
chhuchhak mein,
bhaat men
mama ke
bhua ke
mujhe yaad aati hai gaanv ki ek shadi
baj rahe the Dhol
log rahe the naach, aurten rahi theen chahak
vatavran mein phaili thi kisi saste itr ki khushbu
nachte nachte kisi sharabi ne uDaye das das ke kai not
hum bachche shikari kutton ki tarah jhapat paDe un par
mach gai bhagdaD, kisi ka pair tika mere haath par
haath aaya mere haath mein not ka ek hissa
magar tab tak dekhun ki kya hai
tab tak kaan ke niche paDa ek tamacha aur saath mein gali
“ye sale chamar dhankon ke bachche”

स्रोत :
रचनाकार : रविंद्र कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.