मेरे होंठों को छीलकर
उन्होंने बनाई अपनी हँसी
चूमकर चूरा-चूरा किया हर बार
मोहब्बत को
मैं हँसता था जब उनके साथ
मेरे कितने हिस्से थे जो रोते थे
ठीक उसी समय
उनके ही सामने
इतने क़रीबी लोगों में
नहीं होनी चाहिए थीं इतनी दूरियाँ
कि एक आसमान की ओर देखकर
उड़ने की बात करे
और दूसरा कुदाल ढूँढ़ रहा हो
कि गड्ढा करे एक गहरा
उसमें जाकर लेट जाए
और मिट्टी डालने लगे अपने ऊपर
पूरी शर्मिंदगी से
ग़लतफ़हमियों का काम है
कि वे क़त्ल करती रहें रोज़
वर्षों तक
भविष्य के अँधेरों से अनजान
वे सब जो प्यार में थे उन्होंने
एक भरम अच्छा जिया।
mere honthon ko chhilkar
unhonne banai apni hansi
chumkar chura chura kiya har baar
mohabbat ko
main hansta tha jab unke saath
mere kitne hisse the jo rote the
theek usi samay
unke hi samne
itne qaribi logon men
nahin honi chahiye theen itni duriyan
ki ek asman ki or dekhkar
uDne ki baat kare
aur dusra kudal DhoonDh raha ho
ki gaDDha kare ek gahra
usmen jakar let jaye
aur mitti Dalne lage apne uupar
puri sharmindgi se
ghalatafahamiyon ka kaam hai
ki ve qatl karti rahen roz
varshon tak
bhavishya ke andheron se anjan
ve sab jo pyaar mein the unhonne
ek bharam achchha jiya.
mere honthon ko chhilkar
unhonne banai apni hansi
chumkar chura chura kiya har baar
mohabbat ko
main hansta tha jab unke saath
mere kitne hisse the jo rote the
theek usi samay
unke hi samne
itne qaribi logon men
nahin honi chahiye theen itni duriyan
ki ek asman ki or dekhkar
uDne ki baat kare
aur dusra kudal DhoonDh raha ho
ki gaDDha kare ek gahra
usmen jakar let jaye
aur mitti Dalne lage apne uupar
puri sharmindgi se
ghalatafahamiyon ka kaam hai
ki ve qatl karti rahen roz
varshon tak
bhavishya ke andheron se anjan
ve sab jo pyaar mein the unhonne
ek bharam achchha jiya.
स्रोत :
रचनाकार : प्रदीप अवस्थी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.