कुछ देकर जाना चाहिए
लौटकर जाने से पहले
प्रवेश निषिद्ध है इन रास्तों पर
इतने सारे पक्षी बात करने लगे हैं
हर शब्द में
हर वाक्य में
हर विन्यास में
भावनाएँ टूट रही हैं
असम्मत होकर भी
कुछ नहीं होता
कभी-कभी
समय तुम्हें
तूफ़ान समझता है
तूफ़ान में उड़े हुए
अति सामान्य दो-चार शब्द
खुले हुए पन्ने
क्यों नहीं मिट जाते
मरी हुई मछली की आँखों की तरह स्थिर
जीवन के सामने मृत्यु की तरह निश्चित
मुक्त होने से पहले
और अधिक
बंधन में
बँध जाता है प्रेम...
भारमुक्त एक भारी शब्द है।
kuch dekar jana chahiye
lautkar jane se pahle
pravesh nishiddh hai in raston par
itne sare pakshi baat karne lage hain
har shabd mein
har vakya mein
har vinyas mein
bhavnayen toot rahi hain
asammat hokar bhi
kuch nahin hota
kabhi kabhi
samay tumhein
tufan samajhta hai
tufan mein uDe hue
ati samanya do chaar shabd
khule hue panne
kyon nahin mit jate
mari hui machhli ki ankhon ki tarah sthir
jivan ke samne mrityu ki tarah nishchit
mukt hone se pahle
aur adhik
bandhan mein
bandh jata hai prem. . .
bharamukt ek bhari shabd hai.
kuch dekar jana chahiye
lautkar jane se pahle
pravesh nishiddh hai in raston par
itne sare pakshi baat karne lage hain
har shabd mein
har vakya mein
har vinyas mein
bhavnayen toot rahi hain
asammat hokar bhi
kuch nahin hota
kabhi kabhi
samay tumhein
tufan samajhta hai
tufan mein uDe hue
ati samanya do chaar shabd
khule hue panne
kyon nahin mit jate
mari hui machhli ki ankhon ki tarah sthir
jivan ke samne mrityu ki tarah nishchit
mukt hone se pahle
aur adhik
bandhan mein
bandh jata hai prem. . .
bharamukt ek bhari shabd hai.
स्रोत :
रचनाकार : बेबी शॉ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.