उसकी आँखें हरे कँचों-सी चमकी
जब उसने मुझे बुझती-डूबती साँसों की लहरों में
सीने से लगाया कि मैं उससे दूर रहा जीवन भर
तब मैंने देखा उसने कर ली है तैयारी अंतिम यात्रा की
अभी चूल्हा ठंडा है
रसोई में हम माँ-बेटा उसमें फूँक मारेंगे
कटोरदान में तीन दिन पुरानी रोटी फूल जाएगी
अभी उसके गहनों में देवता अपना शृंगार करेंगे
अभी उसकी चप्पलों में मेरी बेटी की नींद का पैर है
अभी बीस साल पहले मरा बेटा
चालीस साल पहले लापता उसका भाई
उसे थाली परोसने का कहेंगे
अभी
अभी
अभी
अभी
अभी
थाली पर बैठे पिता थाली पर लुढ़क जाएँगे
पत्नी से बातें करता मैं अँधेरे आँगन में छाती के बल जा गिरूँगा
uski ankhen hare kanchon si chamki
jab usne mujhe bujhti Dubti sanson ki lahron mein
sine se lagaya ki main usse door raha jiwan bhar
tab mainne dekha usne kar li hai taiyari antim yatra ki
abhi chulha thanDa hai
rasoi mein hum man beta usmen phoonk marenge
katordan mein teen din purani roti phool jayegi
abhi uske gahnon mein dewta apna shringar karenge
abhi uski chapplon mein meri beti ki neend ka pair hai
abhi bees sal pahle mara beta
chalis sal pahle lapata uska bhai
use thali parosne ka kahenge
abhi
abhi
abhi
abhi
abhi
thali par baithe pita thali par luDhak jayenge
patni se baten karta main andhere angan mein chhati ke bal ja girunga

स्रोत :
रचनाकार : अनिरूद्ध उमट
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.