शांत हो गया
कोलाहल सब
मैं आ गया हूँ
मंच पर अब
द्वार के सानिध्य में होकर खड़ा
मैं कर रहा कोशिश समझने की
दूर की उस गूँज को
क्या भला होकर रहेगा
ज़िंदगी में
रात की छाया असित
जो सहस्रों नाट्य-शाला पार कर आई
हो गई अब स्वयं मुझ पर केंद्रित
ऐ पिता
यदि हो सके संभव कहीं तो
मेरे हाथ से विष-पात्र ले लो
है नहीं इंकार मुझको
आपकी जो भी सुनिश्चित योजना
खेल खेलूँगा वही
जो भी मिलेगी भूमिका
किंतु यह तो दूसरा ही खेल है
माफ़ कर दो
इसलिए इस बार मुझको
पूर्वनिर्धारित हुए हैं दृश्य सारे
अंत भी
मैं अकेला
डूबती पाखंड में हैं
वस्तु सब
ज़िंदगी का पार करना
है नहीं ऐसा
कि जैसे खेत का।
'ज़िंदगी काटना खेत पार करने जैसा नहीं होता' : यह एक रूसी कहावत है।
shaant ho gaya
kolahal sab
main aa gaya hoon
manch par ab
dvaar ke sanidhya mein hokar khaDa
main kar raha koshish samajhne ki
door ki us goonj ko
kya bhala hokar rahega
zindagi men
raat ki chhaya asit
jo sahasron natya shala paar kar aai
ho gai ab svayan mujh par kendrit
ai pita
yadi ho sake sambhav kahin to
mere haath se vish paatr le lo
hai nahin inkaar mujhko
apaki jo bhi sunishchit yojna
khel khelunga vahi
jo bhi milegi bhumika
kintu ye to dusra hi khel hai
maaf kar do
isliye is baar mujhko
poorv nirdharit hue hain drishya sare
ant bhi
main akela
Dubti pakhanD mein hain
vastu sab
zindagi ka paar karna
hai nahin aisa
ki jaise khet ka1
1. ye ek rusi kahavat hai.
shaant ho gaya
kolahal sab
main aa gaya hoon
manch par ab
dvaar ke sanidhya mein hokar khaDa
main kar raha koshish samajhne ki
door ki us goonj ko
kya bhala hokar rahega
zindagi men
raat ki chhaya asit
jo sahasron natya shala paar kar aai
ho gai ab svayan mujh par kendrit
ai pita
yadi ho sake sambhav kahin to
mere haath se vish paatr le lo
hai nahin inkaar mujhko
apaki jo bhi sunishchit yojna
khel khelunga vahi
jo bhi milegi bhumika
kintu ye to dusra hi khel hai
maaf kar do
isliye is baar mujhko
poorv nirdharit hue hain drishya sare
ant bhi
main akela
Dubti pakhanD mein hain
vastu sab
zindagi ka paar karna
hai nahin aisa
ki jaise khet ka1
1. ye ek rusi kahavat hai.
स्रोत :
पुस्तक : एक सौ एक सोवियत कविताएँ (पृष्ठ 71)
रचनाकार : बोरीस पस्तेरनाक
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस, दिल्ली
संस्करण : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.