निज चरणों से प्रभु ने मुझको जोड़ा औं' ब्रह्म बनाकर छोड़ा।
निज माया के गठबंधन को तोड़ा औं' भ्रम के घट को फोड़ा॥
मुझ पापी को प्रभु ने गले लगाया।
औ' बोधामृत चखवाया।
'वह तुम हो' ये महावाक्य समझाया।
औ' हर ली सारी माया॥
यह मन कितना चंचल था।
विक्षेप आवरण मल था।
मैं कामी क्रोधी खल था।
प्रभु ने मेरे जीवन पथ को मोड़ा।
औ' ब्रह्म बनाकर छोड़ा॥
प्रभु ने थामी बाँह मुझे अपनाया।
क्षण भाग्योदय का आया।
बहु सुकृत से अद्भुत अनुभव पाया।
जो जा न सके बतलाया।
वह कैसा भ्रम संभ्रम था।
तापत्रय था औ' श्रम था।
बस जनन मरण का क्रम था।
प्रभु ने मारा ज्ञानदृष्टि का कोड़ा।
औ' ब्रह्म बनाकर छोड़ा॥
nij charnon se prabhu ne mujhko joDa aun brahm banakar chhoDa.
nij maya ke gathbandhan ko toDa aun bhram ke ghat ko phoDa॥
mujh papi ko prabhu ne gale lagaya.
au bodhamrit chakhvaya.
wo tum ho ye mahavakya samjhaya.
au har li sari maya॥
ye man kitna chanchal tha.
vikshep avran mal tha.
main kami krodhi khal tha.
prabhu ne mere jivan path ko moDa.
au brahm banakar chhoDa॥
prabhu ne thami baanh mujhe apnaya.
kshan bhagyoday ka aaya.
bahu sukrit se adbhut anubhav paya.
jo ja na sake batlaya.
wo kaisa bhram sambhram tha.
tapatray tha au shram tha.
bas janan maran ka kram tha.
prabhu ne mara gyandrishti ka koDa.
au brahm banakar chhoDa॥
nij charnon se prabhu ne mujhko joDa aun brahm banakar chhoDa.
nij maya ke gathbandhan ko toDa aun bhram ke ghat ko phoDa॥
mujh papi ko prabhu ne gale lagaya.
au bodhamrit chakhvaya.
wo tum ho ye mahavakya samjhaya.
au har li sari maya॥
ye man kitna chanchal tha.
vikshep avran mal tha.
main kami krodhi khal tha.
prabhu ne mere jivan path ko moDa.
au brahm banakar chhoDa॥
prabhu ne thami baanh mujhe apnaya.
kshan bhagyoday ka aaya.
bahu sukrit se adbhut anubhav paya.
jo ja na sake batlaya.
wo kaisa bhram sambhram tha.
tapatray tha au shram tha.
bas janan maran ka kram tha.
prabhu ne mara gyandrishti ka koDa.
au brahm banakar chhoDa॥
स्रोत :
रचनाकार : ज्ञानराज माणिकप्रभु
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.