तुम भरोसा कर सकते हो
अब भी इस पेड़ पर जिसमें
तमाम कठिन मौसम के बावजूद
बौर आया है।
और अब भी
मन-सी चंचल गिलहरियाँ
पेड़ की टहनियों एवं तनों को
पहचानती हैं
और इससे संवाद करती हैं।
नदी में पानी भले ही कम हो
पर अब भी होती है
नदी की चाँद से गुफ़्तगू
तुम इस पर विश्वास कर सकते हो।
विश्वास कर सकते हो कि
फूलों के पास इस समय भी
पराग है और उनका आकर्षण
अब भी कम नहीं हुआ है।
इस चिल-चिलाती धूप में
खड़े और खिले गुलमोहर
और सन्नाटे को तोड़ती
कोयल की आवाज़ पर
विश्वास कर सकते हो।
इसलिए अब भी
विश्वास कर सकते हो
तमाम दुश्चिंताओं और ख़तरों के बाद भी
जोखिम लेने की अपनी शक्ति पर।
tum bharosa kar sakte ho
ab bhi is peD par jismen
tamam kathin mausam ke bavjud
baur aaya hai.
aur ab bhi
man si chanchal gilahriyan
peD ki tahniyon evan tanon ko
pahchanti hain
aur isse sanvad karti hain.
nadi mein pani bhale hi kam ho
par ab bhi hoti hai
nadi ki chaand se guftgu
tum is par vishvas kar sakte ho.
vishvas kar sakte ho ki
phulon ke paas is samay bhi
praag hai aur unka akarshan
ab bhi kam nahin hua hai.
is chil chilati dhoop men
khaड़e aur khile gulmohar
aur sannate ko toDti
koel ki avaz par
vishvas kar sakte ho.
isliye ab bhi
vishvas kar sakte ho
tamam dushchintaon aur khatron ke baad bhi
jokhim lene ki apni shakti par.
tum bharosa kar sakte ho
ab bhi is peD par jismen
tamam kathin mausam ke bavjud
baur aaya hai.
aur ab bhi
man si chanchal gilahriyan
peD ki tahniyon evan tanon ko
pahchanti hain
aur isse sanvad karti hain.
nadi mein pani bhale hi kam ho
par ab bhi hoti hai
nadi ki chaand se guftgu
tum is par vishvas kar sakte ho.
vishvas kar sakte ho ki
phulon ke paas is samay bhi
praag hai aur unka akarshan
ab bhi kam nahin hua hai.
is chil chilati dhoop men
khaड़e aur khile gulmohar
aur sannate ko toDti
koel ki avaz par
vishvas kar sakte ho.
isliye ab bhi
vishvas kar sakte ho
tamam dushchintaon aur khatron ke baad bhi
jokhim lene ki apni shakti par.
स्रोत :
रचनाकार : अनिल त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.