नम मिट्टी पत्थर हो जाए ऐसा कभी न हो
मेरा गाँव, शहर हो जाए ऐसा कभी न हो
हर इंसान में थोड़ी बहुत तो कमियाँ होती हैं
वो बिल्कुल ईश्वर हो जाये ऐसा कभी न हो
बेटा, बाप से आगे हो तो अच्छा लगता है
बाप के वो ऊपर हो जाए ऐसा कभी न हो
मेरे घर की छत नीची हो मुझे गवारा है
नीचा मेरा सर हो जाए ऐसा कभी न हो
खेत मेरा परती रह जाए कोई बात नहीं
खेत मेरा बंजर हो जाये ऐसा कभी न हो
गाँव में जब तक सरपत है बेघर नहीं है कोई
सरपत सँगमरमर हो जाये ऐसा कभी न हो
सागर जितनी पीड़ा मन में, धैर्य भी उतना ही
मेरा दर्द मुखर हो जाए ऐसा कभी न हो
nam mitti patthar ho jaye aisa kabhi na ho
mera gaanv, shahr ho jaye aisa kabhi na ho
har insaan mein thoDi bahut to kamiyan hoti hain
wo bilkul iishvar ho jaye aisa kabhi na ho
beta, baap se aage ho to achchha lagta hai
baap ke wo uupar ho jaye aisa kabhi na ho
mere ghar ki chhat nichi ho mujhe gavara hai
nicha mera sar ho jaye aisa kabhi na ho
khet mera parti rah jaye koi baat nahin
khet mera banjar ho jaye aisa kabhi na ho
gaanv mein jab tak sarpat hai beghar nahin hai koi
sarpat sangamaramar ho jaye aisa kabhi na ho
sagar jitni piDa man mein, dhairya bhi utna hi
mera dard mukhar ho jaye aisa kabhi na ho

स्रोत :
रचनाकार : डी. एम. मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.