yadi ankh na hi khule to achchha hai
mere priytam, jo svapan mein aate hai
mujhse kabhi nahin bichhuDenge
yadi ankh na hi khule to achchha hai
mere priytam, jo svapan mein aate hai
mujhse kabhi nahin bichhuDenge
nayika se bichhuDne par jala deti hai
uske nikat jane par shitalta pradan karti hai
is bala ne is prakar
vichitr aag kahan se payi ?
nayika se bichhuDne par jala deti hai
uske nikat jane par shitalta pradan karti hai
is bala ne is prakar
vichitr aag kahan se payi ?
dekhana, sparsh karna,
sunghna, sunna, anubhav karna—
panchendriyon ka sukh
nayika se poorn roop se mil jata hai
dekhana, sparsh karna,
sunghna, sunna, anubhav karna—
panchendriyon ka sukh
nayika se poorn roop se mil jata hai
jitna uske bare mein jante hain
utna hi uske bare mein kam jankari milti hai
us nayika se adhikadhik sukh milne par
utna hi uske bare mein jaan pate hain
jitna uske bare mein jante hain
utna hi uske bare mein kam jankari milti hai
us nayika se adhikadhik sukh milne par
utna hi uske bare mein jaan pate hain
aag to chhune par hi jala sakti hai
kintu kaam jvar to bichhuDne par jalata hai
aag to chhune par hi jala sakti hai
kintu kaam jvar to bichhuDne par jalata hai
apni priy nayika ke sukomal kandhon par
sone vale ko jo annad milta hai
wo apne aap mein param sukhoplabdhi hai
apni priy nayika ke sukomal kandhon par
sone vale ko jo annad milta hai
wo apne aap mein param sukhoplabdhi hai
iske poorv
mutyu ke bare men; main nahin jaan paya
ab main isko jaan gaya—
wo us nayika ki baDi baDi akramak ankhen hi hain
iske poorv
mutyu ke bare men; main nahin jaan paya
ab main isko jaan gaya—
wo us nayika ki baDi baDi akramak ankhen hi hain
priytam ka doot
mere svapn mein aaya
main uska atithi satkar kis prakar karu?
priytam ka doot
mere svapn mein aaya
main uska atithi satkar kis prakar karu?
jo dava bimari ko door kar deti hai,
vahi dava kabhi ulta asar bhi karti hai
lekin jo rog us nayika ke karan hua
uski dava to vahi hai
jo dava bimari ko door kar deti hai,
vahi dava kabhi ulta asar bhi karti hai
lekin jo rog us nayika ke karan hua
uski dava to vahi hai
harini sadrish uski ankhen
baDi lajvanti hain
usko abhushan kyon pahnaven?
harini sadrish uski ankhen
baDi lajvanti hain
usko abhushan kyon pahnaven?
mainne apni priyatma se kaha,
main tumko sabse baDhkar pyaar karta hoon
ise sunkar,
wo bahut gusse mein bhar gayi
aur rooth gayi
kahne lagi—
phir tum kis kisko pyaar karte ho bhala ?
mainne apni priyatma se kaha,
main tumko sabse baDhkar pyaar karta hoon
ise sunkar,
wo bahut gusse mein bhar gayi
aur rooth gayi
kahne lagi—
phir tum kis kisko pyaar karte ho bhala ?
jab main priytam ko dekhti hoon
uska kuch bhi dosh dikhai nahin paDta
aur usko na dekh paun
to dosh ko chhoDkar
mujhe kuch bhi nahin dikhai paDta
jab main priytam ko dekhti hoon
uska kuch bhi dosh dikhai nahin paDta
aur usko na dekh paun
to dosh ko chhoDkar
mujhe kuch bhi nahin dikhai paDta
main uski or drishtipat karun
to wo sar jhukakar
zamin ko dekhti hai.
uski or na dekhne par
wo mujhe dekh gadgad ho uthti hai
main uski or drishtipat karun
to wo sar jhukakar
zamin ko dekhti hai.
uski or na dekhne par
wo mujhe dekh gadgad ho uthti hai
sabhi striyan, saman bhaav se
tumhare saundarya paan ke liye nihara karti hai;
isliye tumhare vaksh se lagkar
main tumhara alingan nahin karungi
sabhi striyan, saman bhaav se
tumhare saundarya paan ke liye nihara karti hai;
isliye tumhare vaksh se lagkar
main tumhara alingan nahin karungi
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere