घाट का अनुभवी बरगद
लिख रहा जातक कथाएँ
वेदना के पृष्ठ खोले
बाँचती बैठी व्यथाएँ
खो गया युगबोध बोझिल—
भीड़ की तनहाइयों में
आईने अस्तित्व खोजें
बिंब की परछाइयों में
सामने बिखरी पड़ी—
संवाद की संभावनाएँ
मूल्य गमलों में उगाए
दूरदर्शन देखते हैं
हम प्रफुल्लित मन प्रदर्शन में—
सुदर्शन लेखते हैं
हर सुबह विश्वास तोड़े
शाम तोड़े मान्यताएँ
भव्य के पूजा-भवन में
दिव्य का आसन नहीं है
आचरण के व्याकरण में
कहीं अनुशासन नहीं है
अगति के सोपान जीतीं
प्रगति की अभ्यर्थनाएँ
साधना के गर्भगृह में
बकों की धूनी रमी है
'जोग' साधे साधुता की
आँख मछली पर जमी है
सत्य की विभुता मिटाने
बैठती फिर-फिर सभाएँ
घाट का अनुभवी बरगद
लिख रहा जातक कथाएँ
ghaat ka anubhvi bargad
likh raha jatak kathayen
vedna ke prishth khole,
banchati baithi vydhayen
kho gaya yugbodh bojhil—
bheeD ki tanhaiyon mein
aine astitv khojen
bimb ki parchhaiyon mein
samne bikhri paDi—
sanvad ki sambhavnayen
mulya gamlon mein ugaye
durdarshan dekhte hain
hum praphullit man pradarshan men—
sudarshan lekhte hain
har subah vishvas toDe
shaam toDe manytayen
bhavya ke puja bhavan mein
divya ka aasan nahin hai
achran ke vyakran mein
kahin anushasan nahin hai
agti ke sopan jitin
pragti ki abhyarthnayen
sadhana ke garbhgrih mein
bakon ki dhuni ramin hai
jog sadhe sadhuta ki
ankh machhli par zamin hai
satya ki vibhuta mitane
baithtin phir phir sabhayen
ghaat ka anubhvi bargad
likh raha jatak kathayen
ghaat ka anubhvi bargad
likh raha jatak kathayen
vedna ke prishth khole,
banchati baithi vydhayen
kho gaya yugbodh bojhil—
bheeD ki tanhaiyon mein
aine astitv khojen
bimb ki parchhaiyon mein
samne bikhri paDi—
sanvad ki sambhavnayen
mulya gamlon mein ugaye
durdarshan dekhte hain
hum praphullit man pradarshan men—
sudarshan lekhte hain
har subah vishvas toDe
shaam toDe manytayen
bhavya ke puja bhavan mein
divya ka aasan nahin hai
achran ke vyakran mein
kahin anushasan nahin hai
agti ke sopan jitin
pragti ki abhyarthnayen
sadhana ke garbhgrih mein
bakon ki dhuni ramin hai
jog sadhe sadhuta ki
ankh machhli par zamin hai
satya ki vibhuta mitane
baithtin phir phir sabhayen
ghaat ka anubhvi bargad
likh raha jatak kathayen
स्रोत :
पुस्तक : आईने अँधरा गए (पृष्ठ 60)
रचनाकार : राम निहोर तिवारी
प्रकाशन : बोधि प्रकाशन
संस्करण : 2023
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.