पीपल की पगड़ी से खेले
बाहुबली महुआ,
बरगद के आँगन में पसरी
रात रही अँखुआ,
कल्पवास कर कुंभ नहाया
बहती गंगा में
डूब-डूबकर कलुष बहाया
बहती गंगा में
फिर भी मैला मन मैला का—
मैला रहा मुआ
अधुनातन सुविधा सज्जित हैं
आश्रम संतों के
होड़ धनेशों से लेते असबाब—
महंतों के
त्यागी जी के बालभोग में
लगता मालपुआ
श्रद्धा के घर छली 'अहल्या'
फिर पाषाण हुई
अख़बारों के रँगे पृष्ठ—
चर्चित आख्यान हुई
एक बार फिर परंपरा
का ऊँचा ग्राफ हुआ
संविधान के नियम-क़ायदे—
धरे हथेली में
क्या-क्या होता नहीं, समझ से—
परे हवेली में
नाक रगड़ते हैं ड्योढ़ी पर—
बड़े-बड़े 'ददुआ'
मन मसोस इस अनाचार को
ऐसे नहीं सहो
उठो, समय के मुँह पर खुलकर
अपनी बात कहो,
हारेगा ख़रगोश, दौड़ में—
जीतेगा कछुआ
पीपल की पगड़ी से खेले
बाहुबली महुआ
pipal ki pagDi se khele
bahubli mahua,
bargad ke angan mein pasri
raat rahi ankhua,
kalpavas kar kumbh nahaya
bahti ganga mein
Doob Dubkar kalush bahaya
bahti ganga mein
phir bhi maila man maila ka—
maila raha mua
adhunatan suvidha sajjit hain
ashram santon ke
hoD dhaneshon se lete asbab—
mahanton ke
tyagi ji ke balabhog mein
lagta malapua
shraddha ke ghar chhali ahalya
phir pashan hui
akhbaron ke range prishth—
charchit akhyan hui
ek baar phir parampara
ka uncha graaph hua
sanvidhan ke niyam kayde—
dhare hatheli mein
kya kya hota nahin, samajh se—
pare haveli mein
naak ragaDte hain DyoDhi par—
baDe baDe dadua
man masos is anachar ko
aise nahin saho
utho, samay ke munh par khulkar
apni baat kaho,
harega khargosh, dauD men—
jitega kachhua
pipal ki pagDi se khele
bahubli mahua
pipal ki pagDi se khele
bahubli mahua,
bargad ke angan mein pasri
raat rahi ankhua,
kalpavas kar kumbh nahaya
bahti ganga mein
Doob Dubkar kalush bahaya
bahti ganga mein
phir bhi maila man maila ka—
maila raha mua
adhunatan suvidha sajjit hain
ashram santon ke
hoD dhaneshon se lete asbab—
mahanton ke
tyagi ji ke balabhog mein
lagta malapua
shraddha ke ghar chhali ahalya
phir pashan hui
akhbaron ke range prishth—
charchit akhyan hui
ek baar phir parampara
ka uncha graaph hua
sanvidhan ke niyam kayde—
dhare hatheli mein
kya kya hota nahin, samajh se—
pare haveli mein
naak ragaDte hain DyoDhi par—
baDe baDe dadua
man masos is anachar ko
aise nahin saho
utho, samay ke munh par khulkar
apni baat kaho,
harega khargosh, dauD men—
jitega kachhua
pipal ki pagDi se khele
bahubli mahua
स्रोत :
पुस्तक : आईने अँधरा गए (पृष्ठ 35)
रचनाकार : राम निहोर तिवारी
प्रकाशन : बोधि प्रकाशन
संस्करण : 2023
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.