युद्ध और धर्म का
बहुत गहरा रिश्ता है
धर्मग्रंथों में लिखा है
युद्ध ज़रूरी है धर्म की रक्षा के लिए
कितना अर्थहीन लगता है इतिहास
इन बातों से
जब यह समझ में आता है
कि युद्ध के मैदान में
कभी सत्संग नहीं हो सकता
घायलों की चीख़ से
अजान मुकम्मल नहीं होती
युद्ध के बारूद से लंगर नहीं लगते
जंग के चश्मे से देखने पर
बाइबिल के वचन भी
परमेश्वर से दूर
और युद्ध के बहुत क़रीब होते हैं
युद्ध से कुछ बचाया नहीं जा सकता
युद्ध किसी न किसी को मिटा देता है
धर्म जिसकी आड़ में युद्ध किया जाता है
वह भी युद्ध में मर जाता है।
yuddh aur dharm ka
bahut gahra rishta hai
dharmagranthon mein likha hai
yuddh zaruri hai dharm ki raksha ke liye
kitna arthahin lagta hai itihas
in baton se
jab ye samajh mein aata hai
ki yuddh ke maidan men
kabhi satsang nahin ho sakta
ghaylon ki cheekh se
ajan mukammal nahin hoti
yuddh ke barud se langar nahin lagte
jang ke chashme se dekhne par
baibil ke vachan bhi
parmeshvar se door
aur yuddh ke bahut qarib hote hain
yuddh se kuch bachaya nahin ja sakta
yuddh kisi na kisi ko mita deta hai
dharm jiski aaD mein yuddh kiya jata hai
wo bhi yuddh mein mar jata hai.
yuddh aur dharm ka
bahut gahra rishta hai
dharmagranthon mein likha hai
yuddh zaruri hai dharm ki raksha ke liye
kitna arthahin lagta hai itihas
in baton se
jab ye samajh mein aata hai
ki yuddh ke maidan men
kabhi satsang nahin ho sakta
ghaylon ki cheekh se
ajan mukammal nahin hoti
yuddh ke barud se langar nahin lagte
jang ke chashme se dekhne par
baibil ke vachan bhi
parmeshvar se door
aur yuddh ke bahut qarib hote hain
yuddh se kuch bachaya nahin ja sakta
yuddh kisi na kisi ko mita deta hai
dharm jiski aaD mein yuddh kiya jata hai
wo bhi yuddh mein mar jata hai.
स्रोत :
रचनाकार : धनंजय मल्लिक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.