शब्द मुझ तक आया
और बोला,
—मुझे अपनी भाषा नहीं
स्वत्व बनाओ।
और वह अपने भाषा-व्यक्तित्व पर से
अर्थ उतारने लगा।
जैसे अर्थ केंचुल था।
मैं नहीं समझ पा रहा था, कि
क्यों वृक्ष, सहसा अपनी छालें उतारने लगे थे।
क्यों नदी, अपनी देह पर से
जल निहारती लग रही थी
और फूल, वर्ण-गंध के अलंकार।
आकाश ने अपनी
शालीन तथा उद्दंड हवाएँ उतारकर
समुद्रों में रखनी चाहीं
तो वे अनायास ही ज्वारों से भर उठे।
अर्थ से मुक्त
शब्द—
तत्त्व बन गया था,
तभी अक्षरभाव से वह
एक क्षण के लिए प्रकाशित हुआ
और क्षणांत में मुझमें लीन हो गया।
अब जब कभी मैं शब्द होता हूँ
तो यह सृष्टि मेरा अर्थ
और जब कभी सृष्टि शब्द होती है
तो मैं उसका अर्थ।
shabd mujh tak aaya
aur bola,
—mujhe apni bhasha nahin
swatw banao
aur wo apne bhasha wyaktitw par se
arth utarne laga
jaise arth kenchul tha
main nahin samajh pa raha tha, ki
kyon wriksh, sahsa apni chhalen utarne lage the
kyon nadi, apni deh par se
jal niharti lag rahi thi
aur phool, warn gandh ke alankar
akash ne apni
shalin tatha uddanD hawayen utarkar
samudron mein rakhni chahin
to we anayas hi jwaron se bhar uthe
arth se mukt
shabd—
tattw ban gaya tha,
tabhi aksharbhaw se wo
ek kshan ke liye prakashit hua
aur kshnant mein mujhmen leen ho gaya
ab jab kabhi main shabd hota hoon
to ye sirishti mera arth
aur jab kabhi sirishti shabd hoti hai
to main uska arth
shabd mujh tak aaya
aur bola,
—mujhe apni bhasha nahin
swatw banao
aur wo apne bhasha wyaktitw par se
arth utarne laga
jaise arth kenchul tha
main nahin samajh pa raha tha, ki
kyon wriksh, sahsa apni chhalen utarne lage the
kyon nadi, apni deh par se
jal niharti lag rahi thi
aur phool, warn gandh ke alankar
akash ne apni
shalin tatha uddanD hawayen utarkar
samudron mein rakhni chahin
to we anayas hi jwaron se bhar uthe
arth se mukt
shabd—
tattw ban gaya tha,
tabhi aksharbhaw se wo
ek kshan ke liye prakashit hua
aur kshnant mein mujhmen leen ho gaya
ab jab kabhi main shabd hota hoon
to ye sirishti mera arth
aur jab kabhi sirishti shabd hoti hai
to main uska arth
स्रोत :
पुस्तक : रचना संचयन (पृष्ठ 96)
संपादक : प्रभाकर श्रोत्रिय
रचनाकार : श्रीनरेश मेहता
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.