उनसे कोई नहीं पूछता
कहाँ रहते हो
नाम भी नहीं पूछा जाता
उनका
बदहाली के पन्ने फड़फड़ाते रहते हैं
क़द से बड़ी उनकी क़मीज़ों में
डोरी से कमर पर टिकाई
खुले मुँह वाली निक्करों से
धड़धड़ाती रेलगाड़ियाँ दहला नहीं पातीं
भले छौने से हैं कलेजे उनके
रेंगते डब्बों के नीचे से
निकाल लाते हैं
बची-खुची जूठन
जो फेंकी होती है किसी ने
अघा चुकने के बाद
जीवन का महत्व
मालूम नहीं जिनको
वही होते हैं
मृत्यु के भय से परे
न उनका कोई पता होता है
न आती है कभी चिट्ठी उनके नाम
बजबजाते फुटपाथ
गंधाते प्लेटफ़ार्म पढ़ते हैं
दैनंदिनी उनकी
सच तो यह है
वे किसी भी जगह के अनुकूल
ढाल लेते हैं ज़िंदगी को
और प्राप्त के अनुसार बना लेते हैं
आवश्यकताएँ अपनी
शोरगुल से भरी
भागती सड़क के कोनों में
भूख से भरे पेट से
घुटने सटाकर
ले लेते हैं अस्तव्यस्त नींद
और नींद में भी पहचान लेते हैं
खाली बोतल फेंके जाने की आवाज़
कच्ची कैरी सी एक भी याद
शामिल नहीं अनुभव की दराज़ में
रंगबिरंगी पन्नियों के हवाले है
उनका बदरंग बचपन
आकांक्षाएँ बिना उन्हें छुए
बढ़ जाती हैं आगे
उनके लिए त्यौहारों के पास
नहीं होता कुछ भी
छोटी हथेलियों पर
प्रश्न बड़े रखकर
गुज़र जाता है समय चुपचाप
स्कूल जाते बच्चों के अंदर
ख़ुद को उतारकर
ढूँढ़ते हैं ज़रा-सी ख़ुशी
वे अपने हैं पिता
और माँ हैं ख़ुद ही
unse koi nahin puchhta
kahan rahte ho
naam bhi nahin puchha jata
unka
badhali ke panne phaDaphDate rahte hain
kad se baDi unki qamizon mein
Dori se kamar par tikai
khule munh vali nikkron se
dhaDdhaDati relgaDiyan dahla nahin patin
bhale chhaune se hain kaleje unke
rengte Dabbon ke niche se
nikal late hain
bachi khuchi juthan
jo phenki hoti hai kisi ne
agha chukne ke baad
jivan ka mahatv
malum nahin jinko
vahi hote hain
mrityu ke bhay se pare
na unka koi pata hota hai
na aati hai kabhi chitthi unke naam
bajabjate phutpath
gandhate pletfarm paDhte hain
dainandini unki
sach to ye hai
ve kisi bhi jagah ke anukul
Dhaal lete hain zindagi ko
aur praapt ke anusar bana lete hain
avashyaktayen apni
shorgul se bhari
bhagti saDak ke konon men
bhookh se bhare pet se
ghutne satakar
le lete hain astavyast neend
aur neend mein bhi pahchan lete hain
khali botal phenke jane ki avaz
kachchi kairi si ek bhi yaad
shamil nahin anubhav ki daraz mein
rangabirangi panniyon ke havale hai
unka badrang bachpan
akankshayen bina unhen chhue
baDh jati hain aage
unke liye tyauharon ke paas
nahin hota kuch bhi
chhoti hatheliyon par
parashn baDe rakhkar
guzar jata hai samay chupchap
skool jate bachchon ke andar
khud ko utaar kar
DhunDhate hain zara si khushi
ve apne hain pita
aur maan hain khud hi
unse koi nahin puchhta
kahan rahte ho
naam bhi nahin puchha jata
unka
badhali ke panne phaDaphDate rahte hain
kad se baDi unki qamizon mein
Dori se kamar par tikai
khule munh vali nikkron se
dhaDdhaDati relgaDiyan dahla nahin patin
bhale chhaune se hain kaleje unke
rengte Dabbon ke niche se
nikal late hain
bachi khuchi juthan
jo phenki hoti hai kisi ne
agha chukne ke baad
jivan ka mahatv
malum nahin jinko
vahi hote hain
mrityu ke bhay se pare
na unka koi pata hota hai
na aati hai kabhi chitthi unke naam
bajabjate phutpath
gandhate pletfarm paDhte hain
dainandini unki
sach to ye hai
ve kisi bhi jagah ke anukul
Dhaal lete hain zindagi ko
aur praapt ke anusar bana lete hain
avashyaktayen apni
shorgul se bhari
bhagti saDak ke konon men
bhookh se bhare pet se
ghutne satakar
le lete hain astavyast neend
aur neend mein bhi pahchan lete hain
khali botal phenke jane ki avaz
kachchi kairi si ek bhi yaad
shamil nahin anubhav ki daraz mein
rangabirangi panniyon ke havale hai
unka badrang bachpan
akankshayen bina unhen chhue
baDh jati hain aage
unke liye tyauharon ke paas
nahin hota kuch bhi
chhoti hatheliyon par
parashn baDe rakhkar
guzar jata hai samay chupchap
skool jate bachchon ke andar
khud ko utaar kar
DhunDhate hain zara si khushi
ve apne hain pita
aur maan hain khud hi
स्रोत :
रचनाकार : दीप्ति कुशवाह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.