उन्हें क्षमा करना
जो आख़िरकार व्यवस्था के दास बन गए
वे लड़े थे
सपने देखे थे उन्होंने
आज भी उनके पाँवों में उन सफ़रों के निशान हैं
जो रात के ढले पहरों में तय होते हैं
उन सूर्यों के बिंब हैं
जो रेगिस्तानों में भरी दुपहरी दमकता है।
साथी, यह समय ही ऐसा है
सोचो तो, साम्राज्यवाद के कारिंदे
भगत सिंह की जय बोलते हैं
मुल्क बेचने वाले
राष्ट्रवाद के नुमाइंदे बनकर
लाल क़िले से चीख़ते हैं
चिढ़ नहीं, यह समझ ज़रूरी है कि
इतिहास में ऐसा वक़्त भी आता है—
गुलामी और पराजय का
जब सपनों के रंग उड़ जाते हैं
और सत्ताएँ ख़रीद लेती हैं
विरोधियों को
इसमें नया कुछ नहीं है
उन पर करुणा करो
जो आज दास बन गए हैं
पर उनके सफ़र किन्हीं और पैरों से जारी हैं।
unhen kshama karna
jo akhiraka vyavastha ke daas ban gaye
ve laDe the
sapne dekhe the unhonne
aaj bhi unke panvon mein un safron ke nishan hain
jo raat ke Dhale pahron mein tay hote hain
un suryon ke bimb hain
jo registanon mein bhari dopahri damakta hai.
sathi, ye samay hi aisa hai
socho to, samrajyavad ke karinde
bhagatsinh ki jay bolte hain
mulk bechne vale
rashtravad ke numainde bankar
laal kile se chikhte hain
chiDh nahin, ye samajh zaruri hai ki
itihas mein aisa vaqt bhi aata hai—
gulami aur parajay ka
jab sapnon ke rang uD jate hain
aur sattayen kharid leti hain
virodhiyon ko
ismen naya kuch nahin hai
un par karuna karo
jo aaj daas ban gaye hain
par unke safar kinhin aur pairon se jari hain.
unhen kshama karna
jo akhiraka vyavastha ke daas ban gaye
ve laDe the
sapne dekhe the unhonne
aaj bhi unke panvon mein un safron ke nishan hain
jo raat ke Dhale pahron mein tay hote hain
un suryon ke bimb hain
jo registanon mein bhari dopahri damakta hai.
sathi, ye samay hi aisa hai
socho to, samrajyavad ke karinde
bhagatsinh ki jay bolte hain
mulk bechne vale
rashtravad ke numainde bankar
laal kile se chikhte hain
chiDh nahin, ye samajh zaruri hai ki
itihas mein aisa vaqt bhi aata hai—
gulami aur parajay ka
jab sapnon ke rang uD jate hain
aur sattayen kharid leti hain
virodhiyon ko
ismen naya kuch nahin hai
un par karuna karo
jo aaj daas ban gaye hain
par unke safar kinhin aur pairon se jari hain.
स्रोत :
पुस्तक : यह धरती हमारा ही स्वप्न है (पृष्ठ 102)
रचनाकार : आलोक श्रीवास्तव
प्रकाशन : संवाद प्रकाशन
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.