प्रेम इस तरह किया जाए
कि प्रेम शब्द का कभी ज़िक्र तक न हो
चूमा इस तरह जाए
कि होंठ हमेशा ग़फ़लत में रहें
तुमने चूमा
या मेरे ही निचले होंठ ने औचक ऊपरी को छू लिया
छुआ इस तरह जाए
कि मीलों दूर तुम्हारी त्वचा पर
हरे-हरे सपने उग आएँ
तुम्हारी देह के छज्जे के नीचे
मुँहअँधेरे जलतरंग बजाएँ
रहा इस तरह जाए
कि नींद के भीतर एक मुस्कान
तुम्हारे चेहरे पर रहे
जब तुम आँख खोलो, वह भेस बदल ले
प्रेम इस तरह किया जाए
कि दुनिया का कारोबार चलता रहे
किसी को ख़बर तक न हो कि प्रेम हो गया
ख़ुद तुम्हें भी पता न चले
किसी को सुनाना अपने प्रेम की कहानी
तो कोई यक़ीन तक न करे
बचना प्रेमकथाओं का किरदार बनने से
वरना सब तुम्हारे प्रेम पर तरस खाएँगे
prem is tarah kiya jaye
ki prem shabd ka kabhi zikr tak na ho
chuma is tarah jaye
ki honth hamesha ghaflat mein rahen
tumne chuma
ya mere hi nichle honth ne auchak upri ko chhu liya
chhua is tarah jaye
ki milon door tumhari twacha par
hare hare sapne ug ayen
tumhari deh ke chhajje ke niche
munhandhere jalatrang bajayen
raha is tarah jaye
ki neend ke bhitar ek muskan
tumhare chehre par rahe
jab tum ankh kholo, wo bhes badal le
prem is tarah kiya jaye
ki duniya ka karobar chalta rahe
kisi ko khabar tak na ho ki prem ho gaya
khu tumhein bhi pata na chale
kisi ko sunana apne prem ki kahani
to koi yaqin tak na kare
bachna premakthaon ka kirdar banne se
warna sab tumhare prem par taras khayenge
prem is tarah kiya jaye
ki prem shabd ka kabhi zikr tak na ho
chuma is tarah jaye
ki honth hamesha ghaflat mein rahen
tumne chuma
ya mere hi nichle honth ne auchak upri ko chhu liya
chhua is tarah jaye
ki milon door tumhari twacha par
hare hare sapne ug ayen
tumhari deh ke chhajje ke niche
munhandhere jalatrang bajayen
raha is tarah jaye
ki neend ke bhitar ek muskan
tumhare chehre par rahe
jab tum ankh kholo, wo bhes badal le
prem is tarah kiya jaye
ki duniya ka karobar chalta rahe
kisi ko khabar tak na ho ki prem ho gaya
khu tumhein bhi pata na chale
kisi ko sunana apne prem ki kahani
to koi yaqin tak na kare
bachna premakthaon ka kirdar banne se
warna sab tumhare prem par taras khayenge
चोरी
गीत चतुर्वेदी
स्रोत :
रचनाकार : गीत चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.