न, मुझे बख़शीश न दो
मैं नहीं गाऊँगा नहीं कदापि नहीं
मैं तुम्हें वह सुनाने जा रहा हूँ
जिस पर मैं अभी तक चुप रहा
तुम्हें किसने बुलाया था
जेब में पैसे हैं
बरबाद करो चाहे लुटाओ
शराब पियो
वेश्याओं के तन ख़रीदो
पर मैं
मुझे तुम नहीं ख़रीद सकते
नहीं मुझे नहीं
मैं बिक्री के लिए नहीं हूँ
ये लाल-लाल यांकी
ये सभी शराब के बच्चे हैं
बोतलों से इनका जन्म हुआ
लाल रंग की बोतलों से
तुम्हें किसने बुलाया था
तुम चाहो जो खाओ
चाहे जो पियो
पर मुझे नहीं
नहीं मुझे नहीं
मैं खाए जाने के लिए नहीं हूँ
मैं तुम्हारे गले नहीं उतर सकूँगा
यद्यपि मैं एक ग़रीब अश्वेत व्यक्ति हूँ
मैं जानता हूँ कि दुनिया पर बर्बादी छाई है
और मैं उसे भी जानता हूँ
जो इसकी मरम्मत कर सकता
जब तुम वापस जाओ
न्यूयार्क को
तो वहाँ से
कुछ ग़रीब लोगों को भेजना
मेरी तरह ग़रीब
मेरी तरह भूखे
मेरी तरह नंगे
मैं उन्हें गले से लगा लूँगा
मैं उनके साथ गाऊँगा
क्योंकि उनका जो गीत है
वही मेरा गीत है।
मेरा जो दर्द है
वही उनका दर्द है।
na, mujhe bakhshish na do
main nahin gaunga nahin kadapi nahin
main tumhein wo sunane ja raha hoon
jis par main abhi tak chup raha
tumhein kisne bulaya tha
jeb mein paise hain
barbad karo chahe lutao
sharab piyo
veshyaon ke tan kharido
par main
mujhe tum nahin kharid sakte
nahin mujhe nahin
main bikri ke liye nahin hoon
ye laal laal yanki
ye sabhi sharab ke bachche hain
botlon se inka janm hua
laal rang ki botlon se
tumhein kisne bulaya tha
tum chaho jo khao
chahe jo piyo
par mujhe nahin
nahin mujhe nahin
main khaye jane ke liye nahin hoon
main tumhare gale nahin utar sakunga
yadyapi main ek gharib nigro hoon
main janta hoon ki duniya par barbadi chhai hai
aur main use bhi janta hoon
jo iski marammat kar sakta
jab tum vapas jao
nyuyark ko
to vahan se
kuch gharib logon ko bhejna
meri tarah gharib
meri tarah bhukhe
meri tarah nange
main unhen gale se laga lunga
main unke saath gaunga
kyonki unka jo geet hai
vahi mera geet hai.
mera jo dard hai
vahi unka dard hai.
na, mujhe bakhshish na do
main nahin gaunga nahin kadapi nahin
main tumhein wo sunane ja raha hoon
jis par main abhi tak chup raha
tumhein kisne bulaya tha
jeb mein paise hain
barbad karo chahe lutao
sharab piyo
veshyaon ke tan kharido
par main
mujhe tum nahin kharid sakte
nahin mujhe nahin
main bikri ke liye nahin hoon
ye laal laal yanki
ye sabhi sharab ke bachche hain
botlon se inka janm hua
laal rang ki botlon se
tumhein kisne bulaya tha
tum chaho jo khao
chahe jo piyo
par mujhe nahin
nahin mujhe nahin
main khaye jane ke liye nahin hoon
main tumhare gale nahin utar sakunga
yadyapi main ek gharib nigro hoon
main janta hoon ki duniya par barbadi chhai hai
aur main use bhi janta hoon
jo iski marammat kar sakta
jab tum vapas jao
nyuyark ko
to vahan se
kuch gharib logon ko bhejna
meri tarah gharib
meri tarah bhukhe
meri tarah nange
main unhen gale se laga lunga
main unke saath gaunga
kyonki unka jo geet hai
vahi mera geet hai.
mera jo dard hai
vahi unka dard hai.
स्रोत :
पुस्तक : देशान्तर (पृष्ठ 147)
संपादक : धर्मवीर भारती
रचनाकार : निकोलास गुइयेन
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ, काशी
संस्करण : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.