आख़िरी बार जब मैंने अपने बेटे को देखा
वह सिर्फ़ दलिया खाता था;
अब वह उदास है
अब वह रोटी और गोश्त छुरी-काँटे से खाता है
और वे सारे तौर-तरीक़े सीख गया है
जो पहले से ही उसे
शिष्टता और शांति के साथ मरने को तैयार कर सकें।
वह समझता है कि मैं कोई मल्लाह हूँ
लेकिन उसे यह भी मालूम है
कि मेरे पास न कोई जहाज़ है, न ही समंदर—
लंबी-चौड़ी दूरियों और हवाओं के सिवा।
प्रार्थना के वक़्त की मेरे वालिद की मुद्राएँ
और प्यार करते वक़्त की मेरी अपनी मुद्राएँ
उसके नन्हें जिस्म में पहले से ही रची-बसी हैं
बड़े होने का मतलब है
सारी-सारी रात, तमतमाए चेहरे के साथ
खुली भट्टी के सामने बैठ
हसरत की रोटी सेंकना।
मेरा बेटा सब कुछ देखता
और जानता-समझता है।
और 'फिर मिलेंगे' वाला सम्मोहक जुमला
उसने मश्क़ कर लिया है...
मुर्दों के बीच जायज़ भी वही है बस।
akhiri baar jab mainne apne bete ko dekha
wo sirf daliya khata tha;
ab wo udaas hai
ab wo roti aur gosht chhuri kante se khata hai
aur ve sare taur tariqe seekh gaya hai
jo pahle se hi use
shishtata aur shanti ke saath marne ko taiyar kar saken.
wo samajhta hai ki main koi mallah hoon
lekin use ye bhi malum hai
ki mere paas na koi jahaz hai, na hi samandar—
lambi chauDi duriyon aur havaon ke siva.
pararthna ke vaqt ki mere valid ki mudrayen
aur pyaar karte vaqt ki meri apni mudrayen
uske nanhen jism mein pahle se hi rachi basi hain
baDe hone ka matlab hai
sari sari raat, tamatmaye chehre ke saath
khuli bhatti ke samne baith
hasrat ki roti senkna.
mera beta sab kuch dekhta
aur janta samajhta hai.
aur phir milenge vala sammohak jumla
usne mashq kar liya hai. . .
murdon ke beech jayaz bhi vahi hai bas.
akhiri baar jab mainne apne bete ko dekha
wo sirf daliya khata tha;
ab wo udaas hai
ab wo roti aur gosht chhuri kante se khata hai
aur ve sare taur tariqe seekh gaya hai
jo pahle se hi use
shishtata aur shanti ke saath marne ko taiyar kar saken.
wo samajhta hai ki main koi mallah hoon
lekin use ye bhi malum hai
ki mere paas na koi jahaz hai, na hi samandar—
lambi chauDi duriyon aur havaon ke siva.
pararthna ke vaqt ki mere valid ki mudrayen
aur pyaar karte vaqt ki meri apni mudrayen
uske nanhen jism mein pahle se hi rachi basi hain
baDe hone ka matlab hai
sari sari raat, tamatmaye chehre ke saath
khuli bhatti ke samne baith
hasrat ki roti senkna.
mera beta sab kuch dekhta
aur janta samajhta hai.
aur phir milenge vala sammohak jumla
usne mashq kar liya hai. . .
murdon ke beech jayaz bhi vahi hai bas.
स्रोत :
पुस्तक : प्यास से मरती एक नदी (पृष्ठ 365)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : येहूदा आमिखाई
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.