जीवन इतना ख़ूबसूरत है
जितना फूलों का खिलना
तितली के पंख
इंद्रधनुष के रंग
हल्की बारिश
किसी चिड़िया का कंठ
किसी बूढ़े दादा का ठहाका।
यह इतना अनिश्चित है
कि हर इक क़दम पर
मौत जैसे आपको माफ़ी दे रही हो
और हम इतने निश्चिंत कि जैसे मान बैठे हों—
यह जीवन हमेशा से हमारा था और रहेगा।
शिकारी हर पल शिकार पर है
हिरण की गर्दन दबोच शेर जैसे चलता है
मौत हमें ले चलेगी एक दिन।
मगर ओह मेरी महत्वाकांक्षाएँ
ख़ून पीती हैं हर इक दिन हर इक पल
यह जानते हुए भी कि एक दिन
मेरी प्यारी चदरिया कफ़न की तरह दिखेगी।
काश कोई रास्ता होता
जिसमें दर्द-रक्त-आँसू-अवसाद की जगहें कम होतीं
और तमाम ज़रूरतों के लिए उठाए गए हाथों को हरदम
यह भी याद होता कि
आग, मिट्टी, क़ब्रें इंतज़ार में बैठी हैं हमारे।
शिकारी हमारे पैदा होते ही
शिकार पर निकल चुका है
जितना नेह होगा
दर्द का खाता उतना लंबा होगा।
jiwan itna khubsurat hai
jitna phulon ka khilna
titli ke pankh
indradhnush ke rang
halki barish
kisi chiDiya ka kanth
kisi buDhe dada ka thahaka
ye itna anishchit hai
ki har ek qadam par
maut jaise aapko mafi de rahi ho
aur hum itne nishchint ki jaise man baithe hon—
ye jiwan hamesha se hamara tha aur rahega
shikari har pal shikar par hai
hirn ki gardan daboch sher jaise chalta hai
maut hamein le chalegi ek din
magar oh meri mahatwakankshayen
khoon piti hain har ek din har ek pal
ye jante hue bhi ki ek din
meri pyari chadariya kafan ki tarah dikhegi
kash koi rasta hota
jismen dard rakt ansu awsad ki jaghen kam hotin
aur tamam zarurton ke liye uthaye gaye hathon ko hardam
ye bhi yaad hota ki
ag, mitti, qabren intzar mein baithi hain hamare
shikari hamare paida hote hi
shikar par nikal chuka hai
jitna neh hoga
dard ka khata utna lamba hoga
jiwan itna khubsurat hai
jitna phulon ka khilna
titli ke pankh
indradhnush ke rang
halki barish
kisi chiDiya ka kanth
kisi buDhe dada ka thahaka
ye itna anishchit hai
ki har ek qadam par
maut jaise aapko mafi de rahi ho
aur hum itne nishchint ki jaise man baithe hon—
ye jiwan hamesha se hamara tha aur rahega
shikari har pal shikar par hai
hirn ki gardan daboch sher jaise chalta hai
maut hamein le chalegi ek din
magar oh meri mahatwakankshayen
khoon piti hain har ek din har ek pal
ye jante hue bhi ki ek din
meri pyari chadariya kafan ki tarah dikhegi
kash koi rasta hota
jismen dard rakt ansu awsad ki jaghen kam hotin
aur tamam zarurton ke liye uthaye gaye hathon ko hardam
ye bhi yaad hota ki
ag, mitti, qabren intzar mein baithi hain hamare
shikari hamare paida hote hi
shikar par nikal chuka hai
jitna neh hoga
dard ka khata utna lamba hoga
स्रोत :
रचनाकार : दीपक जायसवाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.