उरूजे कामयाबी पर कभी हिंदोस्ताँ होगा।
रिहा सैयाद के हाथों से अपना आशियाँ होगा॥
चखाएँगे मज़ा बर्बादी-ए-गुलशन का गुलचीं को।
बहार आ जाएगी उस दम जब अपना बाग़बाँ होगा।
ये आए दिन की छेड़ अच्छी नहीं ऐ ख़ंजर-ए-क़ातिल।
पता कब फ़ैसला उनके हमारे दरमियाँ होगा॥
जुदा मत हो मेरे पहलू से ऐ दर्दे वतन हरगिज़।
न जाने बाद मुर्दन मैं कहाँ औ तू कहाँ होगा॥
वतन के आबरू का पास देखें कौन करता है।
सुना है आज मक़तल में हमारा इम्तहाँ होगा॥
शहीदों की चिताओं पर जुड़ेंगे हर बरस मेले।
वतन पर मरनेवालों का यही बाक़ी निशाँ होगा॥
कभी वह दिन भी आएगा जब अपना राज देखेंगे।
जब अपनी ही ज़मीं होगी और अपना आसमाँ होगा॥
uruje kamyabi par kabhi hindostan hoga
riha saiyad ke hathon se apna ashiyan hoga॥
chakhayenge maza barbadi e gulshan ka gulchin ko
bahar aa jayegi us dam jab apna baghban hoga
ye aaye din ki chheD achchhi nahin ai khanjar e qatil
pata kab faisla unke hamare darmiyan hoga॥
juda mat ho mere pahlu se ai darde watan hargiz
na jane baad murdan main kahan au tu kahan hoga॥
watan ke aabru ka pas dekhen kaun karta hai
suna hai aaj maqtal mein hamara imthan hoga॥
shahidon ki chitaon par juDenge har baras mele
watan par marnewalon ka yahi baqi nishan hoga॥
kabhi wo din bhi ayega jab apna raj dekhenge
jab apni hi zamin hogi aur apna asman hoga॥

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.