जीवन में जो भी शख़्स मिला मुझे
मिला कम और बिछड़ा बहुत
सबसे पहले अपने पिता से बिछड़ा
जब मैं दूसरी क्लास में था
अगले साल चौथी के लिए कह रखा था उन्होंने
उनको लगता था मैं पढ़ने में तेज़ हूँ
परंतु ऐसा कभी नहीं हो पाया
फिर मेरे जीवन में प्रेम आया
लेकिन वह भी आता कम,
जाता अधिक दिखा
बिछड़ने के ग़म का
इतना ख़ौफ़ है मेरे मन में कि
मैं चाहकर भी बच्चे का स्कूल नहीं बदल पा रहा हूँ
मुझे लगता है उसके दोस्त बिछड़ जाएँगे
जो मैं कभी नहीं चाहता
क्योंकि उन्हें देखकर मुझे अपने दोस्तों की याद आती है
और रुलाई अधिक आती है
jivan mein jo bhi shakhs mila mujhe
mila kam aur bichhDa bahut
sabse pahle apne pita se bichhDa
jab main dusri klaas mein tha
agle saal chauthi ke liye kah rakha tha unhonne
unko lagta tha main paDhne mein tez hoon
parantu aisa kabhi nahin ho paya
phir mere jivan mein prem aaya
lekin wo bhi aata kam,
jata adhik dikha
bichhaDne ke gham ka
itna khauf hai mere man mein ki
main chahkar bhi bachche ka skool nahin badal pa raha hoon
mujhe lagta hai uske dost bichhaD jayenge
jo main kabhi nahin chahta
kyonki unhen dekhkar mujhe apne doston ki yaad aati hai
aur rulai adhik aati hai
jivan mein jo bhi shakhs mila mujhe
mila kam aur bichhDa bahut
sabse pahle apne pita se bichhDa
jab main dusri klaas mein tha
agle saal chauthi ke liye kah rakha tha unhonne
unko lagta tha main paDhne mein tez hoon
parantu aisa kabhi nahin ho paya
phir mere jivan mein prem aaya
lekin wo bhi aata kam,
jata adhik dikha
bichhaDne ke gham ka
itna khauf hai mere man mein ki
main chahkar bhi bachche ka skool nahin badal pa raha hoon
mujhe lagta hai uske dost bichhaD jayenge
jo main kabhi nahin chahta
kyonki unhen dekhkar mujhe apne doston ki yaad aati hai
aur rulai adhik aati hai
स्रोत :
रचनाकार : विजय राही
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.