बार-बार पूरा लौटने के क्रम में
आधे से ज्यादा कुछ पीछे ही छूटा रह जाता है।
दूर रहता हूँ, तो—
केवल आँखों से छू पाता हूँ दृश्य
पास होता हूँ तो नहीं दिखाई देता कुछ भी।
फ़िर वही जगह, वही ऋतु है।
फिर देख रहा हूँ
नाव बनाने वाला कारीगर
ठोंक रहा कील लकड़ी में।
कुरेद रहा है लकड़ी के घावों को पुनः पुनः
उभर रहा पेड़ का वही पुराना दर्द।
देख रहा हूँ पुनः फूल बेचने वाली बच्ची को
जिसकी निरीह आँखें उसके पेट से झाँक रहीं
कह रहीं कितनी कहानियाँ।
वहीं बैठा हूँ पुनः जहाँ सरसराती हवाएँ
घूँघुरू की तरह बजाती थीं
पीपल की पत्तियों को!
अब वे भी ताली पीट पीट कर हँस रहीं।
गंगा अब भी कोई चार इंच घटी है
पर हम में दूरी कितनी हो गई है!
सब देख रहा हूँ सिवाय—
तुम्हारे।
baar baar pura lautne ke kram men
aadhe se jyada kuch pichhe hi chhuta rah jata hai.
door rahta hoon, to—
keval ankhon se chhu pata hoon drishya
paas hota hoon to nahin dikhai deta kuch bhi.
fir vahi jagah, vahi ritu hai.
phir dekh raha hoon
naav banane vala karigar
thonk raha keel lakDi mein.
kured raha hai lakDi ke ghavon ko punः punः
ubhar raha peD ka vahi purana dard.
dekh raha hoon punः phool bechne vali bachchi ko
jiski nirih ankhen uske pet se jhaank rahin
kah rahin kitni kahaniyan.
vahin baitha hoon punः jahan sarsarati havayen
ghunghuru ki tarah bajati theen
pipal ki pattiyon ko!
ab ve bhi tali peet peet kar hans rahin.
ganga ab bhi koi chaar inch ghati hai
par hum mein duri kitni ho gai hai!
sab dekh raha hoon sivay—
tumhare.
baar baar pura lautne ke kram men
aadhe se jyada kuch pichhe hi chhuta rah jata hai.
door rahta hoon, to—
keval ankhon se chhu pata hoon drishya
paas hota hoon to nahin dikhai deta kuch bhi.
fir vahi jagah, vahi ritu hai.
phir dekh raha hoon
naav banane vala karigar
thonk raha keel lakDi mein.
kured raha hai lakDi ke ghavon ko punः punः
ubhar raha peD ka vahi purana dard.
dekh raha hoon punः phool bechne vali bachchi ko
jiski nirih ankhen uske pet se jhaank rahin
kah rahin kitni kahaniyan.
vahin baitha hoon punः jahan sarsarati havayen
ghunghuru ki tarah bajati theen
pipal ki pattiyon ko!
ab ve bhi tali peet peet kar hans rahin.
ganga ab bhi koi chaar inch ghati hai
par hum mein duri kitni ho gai hai!
sab dekh raha hoon sivay—
tumhare.
स्रोत :
रचनाकार : रवि यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.